Shayari
aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
یاد آئے ہیں اف گنہ کیا کیا
ہاتھ اٹھائے ہیں جب دعا کے لئے
याद आए हैं उफ़ गुनह क्या क्या
हाथ उठाए हैं जब दुआ के लिए

aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
tiri javaan umangon ko ho gayaa hai kyaa
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naaseh
guzarti hai jo divaanon pe divaane samajhte hain
log kahte rahe qarib hai vo
ham ne DhunDaa to duur duur na thaa
saaf kahiye ki pyaar karte hain
ye nigaahon kaa qaul-e-mubham kyaa
ye raat yunhi basar ho gai to kyaa hogaa
tire baghair sahar ho gai to kyaa hogaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
nasha kar lein nashe kaaTein manaaein hijr yaadon kaa
hamein maan baap ne is vaaste thoDe hi paalaa thaa
main vo to bhuul baiThaa huun jo mujh ko yaad rakhnaa thaa
magar jo bhuul jaanaa thaa mujhe vo yaad hai ab tak
rahne de taklif-e-tavajjoh dil ko hai aaraam bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein teraa naam bahut
vo kisi bhule hue naghme ki dhun ke maanind
zehn mein hai to magar yaad nahin aataa hai