Shayari
vo bhi gunge bane rahe ham bhi
guftugu qissa-mukhtasar na hui
mai ko jo istilaah mein kahte hain dukht-e-raz
vo mughbacha hai rindon kaa saalaa kahein jise
مے کو جو اصطلاح میں کہتے ہیں دخت رز
وہ مغبچہ ہے رندوں کا سالا کہیں جسے
मय को जो इस्तिलाह में कहते हैं दुख़्त-ए-रज़
वो मुग़बचा है रिंदों का साला कहें जिसे

vo bhi gunge bane rahe ham bhi
guftugu qissa-mukhtasar na hui
saakinaan-e-shahr ab hoshyaar honaa chaahiye
member aur voter kaa kuchh meaar honaa chaahiye
hamein batlaa na dein aashiq jo hain ru-e-kitaabi par
sabaq hai kyaa koi maashuq jis ko yaad karte hain
ilm mein jhingur se baDh kar kaamraan koi nahin
chaaT jaataa hai kitaabein imtihaan koi nahin
chaae mein Daal kar ushshaaq use pi jaate
dar-haqiqat lab-e-maashuq jo shakkar hotaa
vahshat mein har ik naqsha ulTaa nazar aataa hai
majnun nazar aati hai lailaa nazar aataa hai
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
rindon ko paabandi-e-duniyaa kahaan
kashti-e-mai ko nahin langar ki chaah
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
saaqiyaa tishnagi ki taab nahin
zahr de de agar sharaab nahin
jaam-e-aqiq zard hai nargis ke haath mein
taqsim kar rahaa hai mai-e-arghavaan basant