Shayari
ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne paas mire aa ki tu puraanaa lage
jalaa hai dil yaa koi ghar ye dekhnaa logo
havaaein phirti hain chaaron taraf dhuaan le kar
جلا ہے دل یا کوئی گھر یہ دیکھنا لوگو
ہوائیں پھرتی ہیں چاروں طرف دھواں لے کر
जला है दिल या कोई घर ये देखना लोगो
हवाएँ फिरती हैं चारों तरफ़ धुआँ ले कर

ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne paas mire aa ki tu puraanaa lage
surkhiyaan akhbaar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein paDe sote rahe
auraton ki aankhon par kaale kaale chashme the sab ki sab barahana thiin
zaahidon ne jab dekhaa saahilon kaa ye manzar likh diyaa gunaahon mein
sukhan ke kuchh to guhar main bhi nazr kartaa chalun
ajab nahin ki karein yaad maah o saal mujhe
zindagi jin ki rifaaqat pe bahut naazaan thi
un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin
haae ye apni saada-mizaaji atom ke is daur mein bhi
agle vaqton ki si sharaafat DhunD rahi hai shahron mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki aazurdagi bajaa lekin
vo bhi mahrum-e-yak-nigaah rahe
na nikli hasrat-e-dil ek bhi hazaar afsos
adam se aae the kyaa kyaa ham aarzu karte
shaaeri to vaardaat-e-qalb ki rudaad hai
qaafiya-paimaai ko main shaaeri kaise kahun
mil hi jaaegaa kabhi dil ko yaqin rahtaa hai
vo isi shahr ki galiyon mein kahin rahtaa hai