Shayari
bechaini ke lamhe saansein patthar ki
sadiyon jaise din hain raatein patthar ki
sadiyon ke baad hosh mein jo aa rahaa huun main
lagtaa hai pahle jurm ko dohraa rahaa huun main
صدیوں کے بعد ہوش میں جو آ رہا ہوں میں
لگتا ہے پہلے جرم کو دہرا رہا ہوں میں
सदियों के बाद होश में जो आ रहा हूँ मैं
लगता है पहले जुर्म को दोहरा रहा हूँ मैं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil mein 'asghar' ke khushiyon ki barsaat thi
hanste hanste vo kyuun gham-zada ho gayaa
shikaar apni anaa kaa hai aaj kaa insaan
jise bhi dekhiye tanhaa dikhaai detaa hai
mujh ko gham kaa na kabhi dard kaa ehsaas rahaa
har khushi paas thi jab tak tu mire paas rahaa