✦ ✦ ✦
zara parda haTa do samne se bijliyan chamken
mira dil jalva-gah-e-tur ban jaa.e to achchha ho
✦ ✦ ✦
kucha-e-yar men ho raushni apne dam ki
ka.aba o dair karen gabr o musalman abad
✦ ✦ ✦
bastiyan hi bastiyan hain gumbad-e-aflak men
saikDon farsang majnun se bayaban rah gaya
✦ ✦ ✦
karta hai kya ye mohtasib-e-sang-dil ghazab
shishon ke saath dil na kahin chuur chuur hon
✦ ✦ ✦
bahr-e-hasti sa koi dariya-e-be-payan nahin
asman-e-nil-gun sa sabza-e-sahil kahan
✦ ✦ ✦
chhuT-puTa vaqt hai bahta hua dariya Thahra
sub.h se shaam hui dil na hamara Thahra
✦ ✦ ✦
nakhuda hai maut jo dam hai so hai bad-e-murad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yaar ka
✦ ✦ ✦
khana-e-zanjir se misl-e-sada Darta huun ab
yaad aata hai kaf-e-pa men khaTakna khaar ka
✦ ✦ ✦
sa.i-e-la-hasil mudava-e-mariz-e-ishq hai
thamna mumkin nahin girti hui divar ka
✦ ✦ ✦
maut se pahle jahan men chand sanson ka azaab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aa.e hain
✦ ✦ ✦
khamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron men safar kar rahe hain ham
✦ ✦ ✦
ham bhi tire beTe hain zara dekh hamen bhi
ai khak-e-vatan tujh se shikayat nahin karte
Back1 / 20+