Shayari
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
The most powerful and inspiring verses by Allama Iqbal — poet-philosopher of the East.
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa
ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ki main aap kaa saamnaa chaahtaa huun
khudi vo bahr hai jis kaa koi kinaara nahin
tu aabju ise samjhaa agar to chaara nahin
main tujh ko bataataa huun taqdir-e-umam kyaa hai
shamshir-o-sinaan avval taaus-o-raubaab aakhir
andaaz-e-bayaan garche bahut shokh nahin hai
shaayad ki utar jaae tire dil mein miri baat
mazhab nahin sikhaataa aapas mein bair rakhnaa
hindi hain ham vatan hai hindostaan hamaaraa
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
maanaa ki teri diid ke qaabil nahin huun main
tu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
uqaabi ruuh jab bedaar hoti hai javaanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmaanon mein
hue madfun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaale
tamaanche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikle
sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
jis khet se dahqaan ko mayassar nahin rozi
us khet ke har khosha-e-gandum ko jalaa do
bhari bazm mein raaz ki baat kah di
baDaa be-adab huun sazaa chaahtaa huun
ishq tiri intihaa ishq miri intihaa
tu bhi abhi naa-tamaam main bhi abhi naa-tamaam
khudaavandaa ye tere saada-dil bande kidhar jaaein
ki darveshi bhi ayyaari hai sultaani bhi ayyaari
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
par nahin taaqat-e-parvaaz magar rakhti hai
khudi ko kar buland itnaa ki har taqdir se pahle
khudaa bande se khud puchhe bataa teri razaa kyaa hai
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girton ko thaam le saaqi
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah mein shokhi to dilbari kyaa hai
anokhi vaza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke yaa-rab rahne vaale hain
roz-e-hisaab jab miraa pesh ho daftar-e-amal
aap bhi sharmsaar ho mujh ko bhi sharmsaar kar
tu shaahin hai parvaaz hai kaam teraa
tire saamne aasmaan aur bhi hain
uTTho miri duniyaa ke gharibon ko jagaa do
kaakh-e-umaaraa ke dar-o-divaar hilaa do