Shayari
bhaage the ham bahut so usi ki sazaa hai ye
ho kar asiir daabte hain raahzan ke paanv
The pain and beauty of waiting — verses for those who know the art of longing.
bhaage the ham bahut so usi ki sazaa hai ye
ho kar asiir daabte hain raahzan ke paanv
maanaa ki teri diid ke qaabil nahin huun main
tu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
raushni ab raah se bhaTkaa bhi deti hai miyaan
us ki aankhon ki chamak ne mujh ko be-ghar kar diyaa
in aablon se paanv ke ghabraa gayaa thaa main
ji khush huaa hai raah ko pur-khaar dekh kar
dil mein aa raah-e-chashm-e-hairaan siin
khul rahe hain miri palak ke paaT
vaamaandgaan-e-raah to manzil pe jaa paDe
ab tu bhi ai 'nazir' yahaan se qadam taraash
baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke raahon mein
chhoTi chhoTi khushiyon se hi ham ne dil ko shaad kiyaa
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise
hazrat-e-naaseh gar aavein diida o dil farsh-e-raah
koi mujh ko ye to samjhaa do ki samjhaaeinge kyaa
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhi puchhte raho to kyaa gunaah ho
yaqin chaand pe suraj mein e'tibaar bhi rakh
magar nigaah mein thoDaa saa intizaar bhi rakh
kaun taaqon pe rahaa kaun sar-e-raahguzar
shahr ke saare charaaghon ko havaa jaanti hai
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-majaaz mein
ki hazaaron sajde taDap rahe hain miri jabin-e-niyaaz mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
rishton kaa e'tibaar vafaaon kaa intizaar
ham bhi charaagh le ke havaaon mein aae hain
shaikh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagi tabaah na ki
na tan mein khuun faraaham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vuzu hi sahi
abhi to jaag rahe hain charaagh raahon ke
abhi hai duur sahar thoDi duur saath chalo
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
jaan-sapaari daagh katthaa chunaa hai chashm-e-intizaar
vaaste mehmaan gham ke dil hai biiDaa paan kaa
guzar jaa aql se aage ki ye nuur
charaagh-e-raah hai manzil nahin hai!
jaantaa hai ki vo na aaeinge
phir bhi masruf-e-intizaar hai dil
maqaam 'faiz' koi raah mein jachaa hi nahin
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale