Shayari
dam liyaa thaa na qayaamat ne hanuz
phir tiraa vaqt-e-safar yaad aayaa
Verses for those who carry people in their hearts long after they are gone.
dam liyaa thaa na qayaamat ne hanuz
phir tiraa vaqt-e-safar yaad aayaa
mujhe kharaab kiyaa us ne haan kiyaa hogaa
usi se puchhiye mujh ko khabar ziyaada nahin
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
mai-khaane mein kyuun yaad-e-khudaa hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-minaa nahin hotaa
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
main ziyaada huun bahut us ke liye ab tak bhi
aur mere liye vo saare kaa saaraa kam hai
silvaTein hain mire chehre pe to hairat kyuun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa
kitne naadaan hain tire bhulne vaale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paDi ho jaise
khush-haal ghar sharif tabiat sabhi kaa dost
vo shakhs thaa ziyaada magar aadmi thaa kam
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
dil mein zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ki jo thaa jal gayaa
huun giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad
varna baaqi hai taaqat-e-parvaaz
kachehri mein chaman ki har taraf fariyaad bulbul hai
kiye ho in dino mein gul kuun shaayad pesh-kaar apnaan
tum se chhuT kar bhi tumhein bhulnaa aasaan na thaa
tum ko hi yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham
rahtaa nahin huun bojh kisi par ziyaada der
kuchh qarz thaa agar to adaa bhi huaa huun main
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
duniyaa ne teri yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe
masruf thaa main kuchh bhi na karne ke baavajud
dil-girafta hi sahi bazm sajaa li jaae
yaad-e-jaanaan se koi shaam na khaali jaae
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein