"mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh saaz ye bitti hai kyaa ye bhi kabhi kabhi samajh ishq hai tishnagi kaa naam toD de gar mile bhi jaam shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh husn ki mehrbaaniyaan ishq ke haq mein zahr hain husn ke ijtinaab tak ishq ki zindagi samajh tark-e-taalluqaat bhi ain-e-taalluqaat hai aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh aql ke kaarobaar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kaar dil ke muaamalaat mein aql ko ajnabi samajh ghuncha-o-gul ke saath saath dil ki taraf bhi ik nazar shefta-e-shaguftagi vajh-e-shaguftagi samajh aise bhi raaz hain 'khumaar' hote nahin jo aashkaar apni hi mushkilein na dekh un ki bhi bebasi samajh"
bujh gayaa dil hayaat baaqi hai — Khumar Barabankavi
"bujh gayaa dil hayaat baaqi hai chhup gayaa chaand raat baaqi hai haal-e-dil un se kah chuke sau baar ab bhi kahne ki baat baaqi hai ai khushaa khatam-e-ijtinaab magar mahshar-e-iltifaat baaqi hai ishq mein ham samajh chuke sab se ek zaalim hayaat baaqi hai naasehaan-e-karaam ke dam se shorish-e-kaaenaat baaqi hai raat baaqi thi jab vo bichhDe the kaT gai umr raat baaqi hai rahmat-e-be-panaah ke sadqe e'timaad-e-najaat baaqi hai na vo dil hai na vo shabaab 'khumaar' kis liye ab hayaat baaqi hai"
بجھ گیا دل حیات باقی ہے چھپ گیا چاند رات باقی ہے حال دل ان سے کہہ چکے سو بار اب بھی کہنے کی بات باقی ہے اے خوشا ختم اجتناب مگر محشر التفات باقی ہے عشق میں ہم سمجھ چکے سب سے ایک ظالم حیات باقی ہے ناصحان کرام کے دم سے شورش کائنات باقی ہے رات باقی تھی جب وہ بچھڑے تھے کٹ گئی عمر رات باقی ہے رحمت بے پناہ کے صدقے اعتماد نجات باقی ہے نہ وہ دل ہے نہ وہ شباب خمارؔ کس لیے اب حیات باقی ہے
बुझ गया दिल हयात बाक़ी है छुप गया चाँद रात बाक़ी है हाल-ए-दिल उन से कह चुके सौ बार अब भी कहने की बात बाक़ी है ऐ ख़ुशा ख़त्म-ए-इज्तिनाब मगर महशर-ए-इल्तिफ़ात बाक़ी है इश्क़ में हम समझ चुके सब से एक ज़ालिम हयात बाक़ी है नासेहान-ए-कराम के दम से शोरिश-ए-काएनात बाक़ी है रात बाक़ी थी जब वो बिछड़े थे कट गई उम्र रात बाक़ी है रहमत-ए-बे-पनाह के सदक़े ए'तिमाद-ए-नजात बाक़ी है न वो दिल है न वो शबाब 'ख़ुमार' किस लिए अब हयात बाक़ी है

More by Khumar Barabankavi
View all →"kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke vo mujhe mile to lekin mile suratein badal ke ye vafaa ki sakht raahein ye tumhaare paa-e-naazuk na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke vahi aankh be-bahaa hai jo gham-e-jahaan mein Duube vahi jaam jaam-e-jam hai jo baghair farq chhalke na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai ye kahaan pahunch gae ham tiri bazm se nikal ke ye charaagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehmaan tu jalaa vo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke koi ai 'khumaar' un ko mire sher nazr kar de jo mukhaalifin mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke"
"vo jo aae hayaat yaad aai bhuli-bisri si baat yaad aai haal-e-dil un se kah ke jab lauTe un se kahne ki baat yaad aai aap ne din banaa diyaa thaa jise zindagi bhar vo raat yaad aai tere dar se uThe hi the ki hamein tangi-e-kaaenaat yaad aai vaasta jab paDaa masarrat se gham ki ek ek baat yaad aai kyaa javaani gai janaab-e-'khumaar' kaise tauba ki baat yaad aai"
"kyaa huaa husn hai ham-safar yaa nahin ishq manzil hi manzil hai rasta nahin do parinde uDe aankh nam ho gai aaj samjhaa ki main tujh ko bhulaa nahin tark-e-mai ko abhi din hi kitne hue kuchh kahaa mai ko zaahid to achchhaa nahin har nazar meri ban jaati zanjir-e-paa us ne jaate hue muD ke dekhaa nahin chhoD bhi de miraa saath ai zindagi mujh ko tujh se nadaamat hai shikva nahin tu ne tauba to kar li magar ai 'khumaar' tujh ko rahmat pe shaayad bharosa nahin"
"dil ko taskin-e-yaar le Duubi is chaman ko bahaar le Duubi ashk to pi gae ham un ke huzur aah-e-be-ikhtiyaar le Duubi ishq ke kaarobaar ko aksar garmi-e-kaarobaar le Duubi haal-e-gham un se baar baar kahaa aur hansi baar baar le Duubi tere har mashvare ko ai naaseh aaj phir yaad-e-yaar le Duubi chaar din kaa hi saath thaa lekin zindagi ai 'khumaar' le Duubi"
"haal-e-gham un ko sunaate jaaiye shart ye hai muskuraate jaaiye aap ko jaate na dekhaa jaaegaa shama ko pahle bujhaate jaaiye shukriyaa lutf-e-musalsal kaa magar gaahe gaahe dil dukhaate jaaiye dushmanon se pyaar hotaa jaaegaa doston ko aazmaate jaaiye raushni mahdud ho jin ki 'khumaar' un charaaghon ko bujhaate jaaiye"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"