"dil un ki mohabbat kaa jo divaana lage hai ye aisi haqiqat hai jo afsaana lage hai aalam na koi puchhe miri vahshat-e-dil kaa ghar apne agar jaaun to viraana lage hai baDhte nahin kyuun mere qadam aage ki jaanib nazdik hi shaayad dar-e-jaanaana lage hai vaise to kisi ne mujhe aisaa nahin jaanaa divaana kahaa tum ne to divaana lage hai rudaad-e-alam un se jo qaasid ne bayaan ki farmaane lage hans ke ye afsaana lage hai main ne to banaai thi faqat aap ki tasvir dil meraa magar aaj sanam-khaana lage hai ab apnaa bhi begaana nazar aataa hai 'vasfi' begaana to begaana hai begaana lage hai"
karte nahin jafaa bhi vo tark-e-vafaa ke saath — Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
"karte nahin jafaa bhi vo tark-e-vafaa ke saath ye kaun saa sitam hai dil-e-mubtalaa ke saath ab vo jabin-e-shauq kahin aur kyuun jhuke vaabasta ho gai jo tire naqsh-e-paa ke saath vaarafta-e-jamaal kaa aalam na puchhiye divaana-vaar uThti hain nazrein sadaa ke saath surkhi tumhaare haath ki kahti hai saaf saaf shaamil hai mere dil kaa lahu bhi hinaa ke saath takmil-e-aarzu ki khushi aur gham-e-hayaat donon hi ibtidaa se rahe intihaa ke saath shaamil miri hayaat mein yuun hai gham-e-hayaat jaise khabar ho apne kisi mubtadaa ke saath 'vasfi' miri hayaat ne manzil ko paa liyaa kuchh din guzaar aayaa jo ik paarsaa ke saath"
کرتے نہیں جفا بھی وہ ترک وفا کے ساتھ یہ کون سا ستم ہے دل مبتلا کے ساتھ اب وہ جبین شوق کہیں اور کیوں جھکے وابستہ ہو گئی جو ترے نقش پا کے ساتھ وارفتۂ جمال کا عالم نہ پوچھئے دیوانہ وار اٹھتی ہیں نظریں صدا کے ساتھ سرخی تمہارے ہاتھ کی کہتی ہے صاف صاف شامل ہے میرے دل کا لہو بھی حنا کے ساتھ تکمیل آرزو کی خوشی اور غم حیات دونوں ہی ابتدا سے رہے انتہا کے ساتھ شامل مری حیات میں یوں ہے غم حیات جیسے خبر ہو اپنے کسی مبتدا کے ساتھ وصفیؔ مری حیات نے منزل کو پا لیا کچھ دن گزار آیا جو اک پارسا کے ساتھ
करते नहीं जफ़ा भी वो तर्क-ए-वफ़ा के साथ ये कौन सा सितम है दिल-ए-मुब्तला के साथ अब वो जबीन-ए-शौक़ कहीं और क्यूँ झुके वाबस्ता हो गई जो तिरे नक़्श-ए-पा के साथ वारफ़्ता-ए-जमाल का आलम न पूछिए दीवाना-वार उठती हैं नज़रें सदा के साथ सुर्ख़ी तुम्हारे हाथ की कहती है साफ़ साफ़ शामिल है मेरे दिल का लहू भी हिना के साथ तकमील-ए-आरज़ू की ख़ुशी और ग़म-ए-हयात दोनों ही इब्तिदा से रहे इंतिहा के साथ शामिल मिरी हयात में यूँ है ग़म-ए-हयात जैसे ख़बर हो अपने किसी मुब्तदा के साथ 'वसफ़ी' मिरी हयात ने मंज़िल को पा लिया कुछ दिन गुज़ार आया जो इक पारसा के साथ

More by Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
View all →"mohabbat kaa jise irfaan nahin hai vo sab kuchh hai magar insaan nahin hai shuur-e-zindagi par miTne vaalo shuur-e-zindagi aasaan nahin hai talab kaa haath baDhtaa jaa rahaa hai khayaal-e-vusat-e-daamaan nahin hai khafaa be-vajh naaseh ho rahe ho tumhaari baat kuchh quraan nahin hai vo mast-e-haal hai 'vasfi' ki us ko gham-e-dil hai gham-e-dauraan nahin hai"
"jiit kar baazi-e-ulfat ko bhi haaraa jaae is tarah husn ko shishe mein utaaraa jaae ab to hasrat hai ki barbaad kiyaa hai jis ne us kaa divaana mujhe kah ke pukaaraa jaae aap ke husn ki tausif se maqsad hai miraa naqsh-e-fitrat ko zaraa aur ubhaaraa jaae tum hi batlaao ki jab apne hi begaane hain dahr mein apnaa kise kah ke pukaaraa jaae zehn-e-khuddaar pe ye baar hi ho jaataa hai ghair ke saamne daaman jo pasaaraa jaae kitni dushvaar hai paabandi-e-aain-e-vafaa aah bhi lab pe agar aae to maaraa jaae shab to kaT jaaegi yaadon ke sahaare 'vasfi' fikr is ki hai ki din kaise guzaaraa jaae"
"kyaa kyaa supurd-e-khaak hue naamvar tamaam ik roz sab ko karnaa hai apnaa safar tamaam meri nazar ne luuT liye jalva-haa-e-husn hasrat se dekhte hi rahe dida-var tamaam tum ne to apnaa kah ke mujhe luuT hi liyaa maatam-kunaan hai mere liye ghar kaa ghar tamaam maanaa ki mere lab na hile roab-e-husn se rudaad-e-dil to kah hi gai chashm-e-tar tamaam ab didani hai aap ke bimaar-e-gham kaa haal maayus aa rahe hain nazar chaara-gar tamaam raah-e-vafaa mein had se ham aage guzar gae do-gaam chal ke baiTh gae raahbar tamaam chhoDe hain ham ne naqsh-e-mohabbat har ik jagah vaaqif hamaare haal se hain baam-o-dar tamaam"
"itnaa to karam mujh par allaah tu farmaa de duniyaa ko mohabbat ki khushbu se tu mahkaa de paaband-e-salaasil kyon divaane ko kartaa hai divaane ke qadmon ko ab vusat-e-sahraa de daamaan-e-talab apnaa itnaa na kushaada kar denaa ho jise soche de is ko to kyaa kyaa de saaqi ki nigaahon ki masti mujhe kaafi hai allaah mujhe phir kyon fikr-e-mai-o-minaa de vo soz-o-gudaaz-e-dil ab ham mein kahaan baaqi jo ruuh ko taDpaa de jo qalb ko garmaa de kaabe mein tujhe DhunDun yaa dair-o-kalisaa mein paaun main kahaan tujh ko ab kuchh to ishaare de dil raahat-e-saahil kaa qaail hi nahin 'vasfi' denaa hai agar mujh ko to shorish-e-dariyaa de"
"koi nazr-e-gham-e-haalaat na hone paae aur har baat ho ye baat na hone paae jo bhi surat hai inaayat hai karam hai un kaa raaegaan un ki ye saughaat na hone paae un ki tasvir se har lamha rahe raaz-o-niyaaz muntashir shaan-e-khayaalaat na hone paae sakht dushvaar hai paabandi-e-aain-e-vafaa baat to jab hai tujhe maat na hone paae jaan de dijiye aadaab-e-mohabbat ke liye dekhiye khaami-e-jazbaat na hone paae bazm mein un kaa koi zikr jo aa jaataa hai hukm hotaa hai miri baat na hone paae husn-e-kirdaar se hasti ko sajaa lo 'vasfi' zindagi nazr-e-khuraafaat na hone paae"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"