"qarib aa ki khazaana huun laal-o-gauhar kaa hazaar ret sahi ret huun samundar kaa khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa ye raahe-gaahe kaa milnaa bhi koi milnaa hai jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar kaa tamaam-shahr hai hangaama-e-nashaat mein gum magar ye karb ye sannaaTaa mere andar kaa sadaa kisi ki ho aataa hai apne-aap se khauf main vo gharib ki ghar kaa rahaa na baahar kaa kabhi na khul ke hansaa huun na royaa ji-bhar ke rakhaa hai main ne hamesha qadam baraabar kaa kabhi kabhi kaa ho qissa to koi dukh bhi sune uThaae bojh bhalaa kaun zindagi-bhar kaa gurez hai use meri gali se yuun jaise yahaan jo aayaa to ho jaaegaa vo patthar kaa asir-e-daam fareb-e-zabaan huaa aakhir na e'tibaar jise aayaa dida-e-tar kaa gham-e-zamaana hai vo tegh-e-tishna-kaam 'anjum' uDe hain paanv agar vaar bach gayaa sar kaa"
koi sadaa na duur talak naqsh-e-paa koi — Anwar Anjum
"koi sadaa na duur talak naqsh-e-paa koi vo moD hai ki miltaa nahin raastaa koi haan dil ki dhaDkanon se sadaa chhin lo magar chup-chaap hi jo aa ke yahaan bas gayaa koi maanaa ki tere dar pe jhukin aa ke manzilein par ham saa bhi milaa tujhe sach sach bataa, koi dil ki zabaan bahut hai koi ho jo ahl-e-dil honTon se kyaa bataae bhalaa muddaaa koi aankhein jo band kiin to vo ubhre hain aaftaab baahar ki dhuup se na rahaa vaasta koi hairaan ho ke dil se ye puchhaa nigaah ne kyaa vaaqai milaa na tujhe aashnaa koi yaa aasmaan tak nahin jaati miri navaa yaa aasmaan pe suntaa nahin hai navaa koi jitne khayaal utne hi rangon ke daaere miltaa nahin kisi se kahin silsila koi us saada-dil ko kyaa khabar is unch-nich ki 'anjum' ke paas jaa ke bane kyaa baDaa koi"
کوئی صدا نہ دور تلک نقش پا کوئی وہ موڑ ہے کہ ملتا نہیں راستا کوئی ہاں دل کی دھڑکنوں سے صدا چھین لو مگر چپ چاپ ہی جو آ کے یہاں بس گیا کوئی مانا کہ تیرے در پہ جھکیں آ کے منزلیں پر ہم سا بھی ملا تجھے سچ سچ بتا، کوئی دل کی زباں بہت ہے کوئی ہو جو اہل دل ہونٹوں سے کیا بتائے بھلا مدعا کوئی آنکھیں جو بند کیں تو وہ ابھرے ہیں آفتاب باہر کی دھوپ سے نہ رہا واسطہ کوئی حیران ہو کے دل سے یہ پوچھا نگاہ نے کیا واقعی ملا نہ تجھے آشنا کوئی یا آسمان تک نہیں جاتی مری نوا یا آسماں پہ سنتا نہیں ہے نوا کوئی جتنے خیال اتنے ہی رنگوں کے دائرے ملتا نہیں کسی سے کہیں سلسلہ کوئی اس سادہ دل کو کیا خبر اس اونچ نیچ کی انجمؔ کے پاس جا کے بنے کیا بڑا کوئی
कोई सदा न दूर तलक नक़्श-ए-पा कोई वो मोड़ है कि मिलता नहीं रास्ता कोई हाँ दिल की धड़कनों से सदा छीन लो मगर चुप-चाप ही जो आ के यहाँ बस गया कोई माना कि तेरे दर पे झुकीं आ के मंज़िलें पर हम सा भी मिला तुझे सच सच बता, कोई दिल की ज़बाँ बहुत है कोई हो जो अहल-ए-दिल होंटों से क्या बताए भला मुद्दआ' कोई आँखें जो बंद कीं तो वो उभरे हैं आफ़्ताब बाहर की धूप से न रहा वास्ता कोई हैरान हो के दिल से ये पूछा निगाह ने क्या वाक़ई मिला न तुझे आश्ना कोई या आसमान तक नहीं जाती मिरी नवा या आसमाँ पे सुनता नहीं है नवा कोई जितने ख़याल उतने ही रंगों के दाएरे मिलता नहीं किसी से कहीं सिलसिला कोई उस सादा-दिल को क्या ख़बर इस ऊँच-नीच की 'अंजुम' के पास जा के बने क्या बड़ा कोई

More by Anwar Anjum
View all →"shikaayaton mein bhi us ko ajab mazaa aayaa ki bad-gumaan thaa magar duur tak chalaa aayaa qadam qadam pe fasilein harif thiin lekin main sakht-jaan thaa un ko phalaangtaa aayaa idhar-udhar nai galiyon mein jaa nikaltaa thaa bahut dinon mein mujhe ghar kaa raasta aayaa sambhaal rakkhi thi main ne huzur barson se mataa-e-dil thi so yaaron mein baanTtaa aayaa"
"tu chaand hai to chaand-nagar mujh se chhin le main kyaa karungaa khaak-basar mujh se chhin le ab teri be-rukhi kaa bhi aataa hai yuun khayaal jaise koi mataa-e-digar mujh se chhin le tu khud hi apni tarz-e-sitam par nigaah rakh main kyaa kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le Daste raheinge zehn ko kab tak mushaahidaat yaarab ye imtiyaaz-e-nazar mujh se chhin le pahchaanti nahin hai use jab kisi ki aankh be-kaar hai nishaan-e-hunar mujh se chhin le ru-e-sahar tu khair mujhe kyaa dikhaaegaa tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le"
"kyaa ravish rakkhi hai phir aap ne auron ke liye gar yahi tarz-e-mulaaqaat hai apnon ke liye rasm-e-ulfat bhi agar aap ke aadaab mein hai to uThaa rakkhi hai vo kaun se vaqton ke liye jaan kaa rog banaa li jo mohabbat ham ne ab vo sunte hain ki tafrih hai logon ke liye teri baatein ye tiraa harf-e-tasalli jaise saamne rakh de khilaune koi bachchon ke liye kabhi aalam thaa ki har khat thaa tiraa dida-e-tar rah gae ab to ye auraaq havaalon ke liye mere chehre pe ho kyuun rang-e-shikaayat 'anjum' mere daaman kaa har ik taar hai yaaron ke liye"
"jahaan-bhar se na yuun meraa tazkira kiije main dil kaa raaz huun dil se miraa gila kiije ye kyaa yaqin ki samajh legaa har ishaara vo labon kaa farz nigaahon se kyuun adaa kiije nasib mein jo kabhi subh kaa ujaalaa ho to mil hi jaaegaa har raat kyaa duaa kiije khulus ko bhi yahaan maslahat kaheinge log bhalaa yahi hai kisi se na jo bhalaa kiije dar-e-havas pe hai har-lahza ik nai dastak jo khud se chhupte na phirye to aur kyaa kiije ye ji mein hai ki tiraa but taraash kar barson tire huzur khaDe arz-e-muddaaa kiije tumhaare haal se ham be-khabar nahin 'anjum' par ab bataao ki kyaa ranj ke sivaa kiije"
"meri har soch mein poshida kahaani us ki sach bataaun to huun khud main bhi nishaani us ki us ko israar ki nazdik na aauun us ke mujh pe kuchh aisaa fusun ek na maani us ki mujh se miltaa hai to yuun jaise na ho munh mein zabaan aur mahfil mein koi dekhe ravaani us ki ghar tiraa laakh puraanaa sahi lekin 'anjum' dekh tasvir na ho jaae puraani us ki"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"