"khushi kaa naam sunaa hai magar khushi kyaa hai tire baghair jo guzre vo zindagi kyaa hai mujhe bhi kuchh to samajh aae zindagi kyaa hai khudaa kare tu samajh le ki dosti kyaa hai jabin hai naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar par vaaiz ab is se baDh ke bataa aur bandagi kyaa hai gham-o-khushi to bas ehsaas ki amaanat hain jahaan mein varna alam kyaa hai aur khushi kyaa hai main aaj tak ise samjhaa nahin huun ai 'daanish' ki dushmani kise kahte hain dushmani kyaa hai"
qarib tum ho to har ik se dosti si lage — Danish Aligarhi
"qarib tum ho to har ik se dosti si lage jo tum ho duur to zaat apni ajnabi si lage khudaa hi jaane hayaat apni kis tarah guzre baghair un ke to ik pal bhi ik sadi si lage tum apnaa kah ke pukaaro kabhi to bhule se ye zindagi kabhi ham ko bhi zindagi si lage navaazishaat kaa taalib nahin huun main lekin ab is tarah bhi na mil jis se be-rukhi si lage na puchh kaifiyat-e-intizaar ai hamdam ki tez dhuup bhi is vaqt chaandni si lage khushi to apne muqaddar mein hi nahin 'daanish' kisi ke gham ki ye daulat bhi 'aarzi si lage"
قریب تم ہو تو ہر اک سے دوستی سی لگے جو تم ہو دور تو ذات اپنی اجنبی سی لگے خدا ہی جانے حیات اپنی کس طرح گزرے بغیر ان کے تو اک پل بھی اک صدی سی لگے تم اپنا کہہ کے پکارو کبھی تو بھولے سے یہ زندگی کبھی ہم کو بھی زندگی سی لگے نوازشات کا طالب نہیں ہوں میں لیکن اب اس طرح بھی نہ مل جس سے بے رخی سی لگے نہ پوچھ کیفیت انتظار اے ہمدم کہ تیز دھوپ بھی اس وقت چاندنی سی لگے خوشی تو اپنے مقدر میں ہی نہیں دانشؔ کسی کے غم کی یہ دولت بھی عارضی سی لگے
क़रीब तुम हो तो हर इक से दोस्ती सी लगे जो तुम हो दूर तो ज़ात अपनी अजनबी सी लगे ख़ुदा ही जाने हयात अपनी किस तरह गुज़रे बग़ैर उन के तो इक पल भी इक सदी सी लगे तुम अपना कह के पुकारो कभी तो भूले से ये ज़िंदगी कभी हम को भी ज़िंदगी सी लगे नवाज़िशात का तालिब नहीं हूँ मैं लेकिन अब इस तरह भी न मिल जिस से बे-रुख़ी सी लगे न पूछ कैफ़ियत-ए-इंतिज़ार ऐ हमदम कि तेज़ धूप भी इस वक़्त चाँदनी सी लगे ख़ुशी तो अपने मुक़द्दर में ही नहीं 'दानिश' किसी के ग़म की ये दौलत भी 'आरज़ी सी लगे

More by Danish Aligarhi
View all →"dil ki basti ko masarrat se sajaae rakhiye yaar ke gham ko muqaddar hi banaae rakhiye zauq-e-didaar ko kuchh aur baDhaae rakhiye chaand se chehre ko chilman mein chhupaae rakhiye kal bichhaD jaaein to rah jaaeingi yaadein baaqi aaj to saare hijaabaat uThaae rakhiye ye vo daulat hai jo qismat se milaa karti hai pyaar ke dard ko siine se lagaae rakhiye phir andhere miri raahon mein na aa jaaein kahin apni ulfat se mire dil ko jalaae rakhiye chashm-e-duniyaa ko kahaan diid kaa haasil hai shu'ur ru-e-raushan ko hijaabon mein chhupaae rakhiye dil-e-'daanish' na hamesha ke liye ruk jaae aap siine se zaraa haath lagaae rakhiye"
"har dard ko maazi ki qasam bhuul gae hain ham teri khushi ke liye gham bhuul gae hain phir ai sitam-ijaad koi taaza sitam kar ab ham tiraa andaaz-e-karam bhuul gae hain jis roz se ham aae hain maikhaane mein saaqi us din se rah-e-dair-o-haram bhuul gae hain naa-vaaqif-e-aadaab-e-vafaa aap hain lekin ilzaam ye ham par hai ki ham bhuul gae hain ilzaam kise dein ki ye qismat kaa likhaa thaa 'daanish' jo hamein ahl-e-karam bhuul gae hain"
"hangaama kis liye hai bapaa tere shahr mein kyaa phir koi gharib luTaa tere shahr mein har shakhs kar rahaa hai jafaa tere shahr mein jiine kaa aa rahaa hai mazaa tere shahr mein rangin subh-o-shaam the shab bhi hasin thi dil ko magar sukun na thaa tere shahr mein is tarh ahl-e-shahr ne mujh par sitam kiye rahtaa nahin ho jaise khudaa tere shahr mein ab khud se puchhtaa huun pataa apne gaanv kaa aisaa milaa vafaa kaa sila tere shahr mein 'daanish' ko tere pyaar ne ki dushmani 'ataa pahle koi raqib na thaa tere shahr mein"
"vo ik nigaah jo le kar miraa qaraar gai qasam khudaa ki miri 'aaqibat sanvaar gai tire karam ke hain qurbaan ai gham-e-dauraan miri hayaat ko shishe mein tu utaar gai hamaare dam se hi ranginiyaan chaman mein thiin hamaare vaaste roti hui bahaar gai main tujh ko paa na sakaa ye miraa muqaddar thaa tiri talaash masaafat miri sanvaar gai hazaar tark-e-mohabbat ke baa'd bhi 'daanish' usi ki samt nazar meri baar baar gai"
"jaise is basti se naaraaz khudaa lagtaa hai apnaa hi gaanv mujhe aaj buraa lagtaa hai chaand ki sath pe patthar ke sivaa kuchh bhi nahin duur se dekho to har chehra bhalaa lagtaa hai chand baaton se samajh lete hain ham insaan ko chand maujon se hi tufaan kaa pataa lagtaa hai dekhne vaali nigaahon se jo dekho us ko chaandni raat mein suraj ki hayaa lagtaa hai ek hi shakhs kaa har vaqt tasavvur 'daanish' us se kyaa rishta hai kyaa naata hai kyaa lagtaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"