SHAWORDS

sone hamein kab deti hai aavaaz kisi ki — Farhat Zahid

HomeFarhat ZahidGhazal
"sone hamein kab deti hai aavaaz kisi ki khvaabon mein bhi dar aai hai aavaaz kisi ki jab duur jaziron pe koi jaa base apnaa lahron pe safar karti hai aavaaz kisi ki uThte hain qadam jab bhi kisi dasht ki jaanib qadmon ko jakaD leti hai aavaaz kisi ki ye log tamaashaai hain bas giit suneinge kyaa un ko jo bhar aai hai aavaaz kisi ki aankhon mein palaT aati hai tasvir paraai mere liye binaai hai aavaaz kisi ki sadiyon se yahaan baiThe hain ham gosh-bar-aavaaz ab tak to nahin aai hai aavaaz kisi ki"
Urdu

سونے ہمیں کب دیتی ہے آواز کسی کی خوابوں میں بھی در آئی ہے آواز کسی کی جب دور جزیروں پہ کوئی جا بسے اپنا لہروں پہ سفر کرتی ہے آواز کسی کی اٹھتے ہیں قدم جب بھی کسی دشت کی جانب قدموں کو جکڑ لیتی ہے آواز کسی کی یہ لوگ تماشائی ہیں بس گیت سنیں گے کیا ان کو جو بھر آئی ہے آواز کسی کی آنکھوں میں پلٹ آتی ہے تصویر پرائی میرے لیے بینائی ہے آواز کسی کی صدیوں سے یہاں بیٹھے ہیں ہم گوش بر آواز اب تک تو نہیں آئی ہے آواز کسی کی

Hindi

सोने हमें कब देती है आवाज़ किसी की ख़्वाबों में भी दर आई है आवाज़ किसी की जब दूर जज़ीरों पे कोई जा बसे अपना लहरों पे सफ़र करती है आवाज़ किसी की उठते हैं क़दम जब भी किसी दश्त की जानिब क़दमों को जकड़ लेती है आवाज़ किसी की ये लोग तमाशाई हैं बस गीत सुनेंगे क्या उन को जो भर आई है आवाज़ किसी की आँखों में पलट आती है तस्वीर पराई मेरे लिए बीनाई है आवाज़ किसी की सदियों से यहाँ बैठे हैं हम गोश-बर-आवाज़ अब तक तो नहीं आई है आवाज़ किसी की

sone hameñ kab detī hai āvāz kisī kī
Farhat Zahid
Farhat Zahid
Farhat Zahid
poet42 quotes

More by Farhat Zahid

View all →

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari