SHAWORDS

zikr aae to mire lab se duaaein niklein — Gulzar

HomeGulzarGhazal
"zikr aae to mire lab se duaaein niklein shama jalti hai to laazim hai shuaaein niklein vaqt ki zarb se kaT jaate hain sab ke siine chaand kaa chhalkaa utar jaae to qaashein niklein dafn ho jaaein ki zarkhez zamin lagti hai kal isi miTTi se shaayad miri shaakhein niklein chand ummidein nichoDi thiin to aahein Tapkin dil ko pighlaaein to ho saktaa hai saansein niklein ghaar ke munh pe rakhaa rahne do sang-e-khurshid ghaar mein haath na Daalo kahin raatein niklein"
Urdu

ذکر آئے تو مرے لب سے دعائیں نکلیں شمع جلتی ہے تو لازم ہے شعاعیں نکلیں وقت کی ضرب سے کٹ جاتے ہیں سب کے سینے چاند کا چھلکا اتر جائے تو قاشیں نکلیں دفن ہو جائیں کہ زرخیز زمیں لگتی ہے کل اسی مٹی سے شاید مری شاخیں نکلیں چند امیدیں نچوڑی تھیں تو آہیں ٹپکیں دل کو پگھلائیں تو ہو سکتا ہے سانسیں نکلیں غار کے منہ پہ رکھا رہنے دو سنگ خورشید غار میں ہاتھ نہ ڈالو کہیں راتیں نکلیں

Hindi

ज़िक्र आए तो मिरे लब से दुआएँ निकलें शम्अ' जलती है तो लाज़िम है शुआएँ निकलें वक़्त की ज़र्ब से कट जाते हैं सब के सीने चाँद का छलका उतर जाए तो क़ाशें निकलें दफ़्न हो जाएँ कि ज़रख़ेज़ ज़मीं लगती है कल इसी मिट्टी से शायद मिरी शाख़ें निकलें चंद उम्मीदें निचोड़ी थीं तो आहें टपकीं दिल को पिघलाएँ तो हो सकता है साँसें निकलें ग़ार के मुँह पे रखा रहने दो संग-ए-ख़ुर्शीद ग़ार में हाथ न डालो कहीं रातें निकलें

zikr aa.e to mire lab se duā.eñ nikleñ
Gulzar
Gulzar
Gulzar
poet96 quotes

More by Gulzar

View all →
Quote
"tinkaa tinkaa kaanTe toDe saari raat kaTaai ki kyuun itni lambi hoti hai chaandni raat judaai ki niind mein koi apne-aap se baatein kartaa rahtaa hai kaal-kunein mein gunjti hai aavaaz kisi saudaai ki siine mein dil ki aahaT jaise koi jaasus chale har saae kaa pichhaa karnaa aadat hai harjaai ki aankhon aur kaanon mein kuchh sannaaTe se bhar jaate hain kyaa tum ne uDti dekhi hai ret kabhi tanhaai ki taaron ki raushan faslein aur chaand ki ek daraanti thi saahu ne girvi rakh li thi meri raat kaTaai ki"
GulzarGulzar
Quote
"peD ke patton mein halchal hai khabar-daar se hain shaam se tez havaa chalne ke aasaar se hain naakhudaa dekh rahaa hai ki main girdaab mein huun aur jo pul pe khaDe log hain akhbaar se hain chaDhte sailaab mein saahil ne to munh Dhaanp liyaa log paani kaa kafan lene ko tayyaar se hain kal tavaarikh mein dafnaae gae the jo log un ke saae abhi darvaazon pe bedaar se hain vaqt ke tiir to siine pe sambhaale ham ne aur jo niil paDe hain tiri guftaar se hain ruuh se chhile hue jism jahaan bikte hain ham ko bhi bech de ham bhi usi baazaar se hain jab se vo ahl-e-siyaasat mein hue hain shaamil kuchh adu ke hain to kuchh mere taraf-daar se hain"
GulzarGulzar

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri