Quote
"ye daastaan-e-dil hai kyaa ho adaa zabaan se aansu Tapak rahe hain lafzein milein kahaan se hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayaan se kuchh vo kahein nazar se kuchh ham kahein zabaan se ye rote rote hansnaa tartib-e-zikr-e-gham hai aayaa huun ibtidaa par chheDaa thaa darmiyaan se haasil to zindagi kaa thi zindagi yahin ki ab main huun ik janaaza uThvaa do aastaan se is tul-e-khaamushi kaa zor-e-bayaan bhi dekhaa thi baat mere dil ki nikli tiri zabaan se jab husn khud-numaa hai aur ishq rakhna-afgan is kashmakash mein parda niklegaa darmiyaan se maidaan-e-imtihaan mein ai be-gharaz mohabbat dil ki zamin tu ne Takraa di aasmaan se us raazdaar-e-gham ki haalat na puchh jis ko kahnaa to hai bahut kuchh mahrum hai zabaan se ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyuun hon khud raasta badal kar bichhDaa huun kaarvaan se har gaam par ThiThaknaa har baar muD ke taknaa o muskuraane vaale kyaa le chalaa yahaan se zaahir fareb-e-vaada phir e'tibaar itnaa vo likh gayaa dilon par jo kah diyaa zabaan se aaankhon se baaghbaan ki shoale nikle rahe hain tinke dabaae munh mein niklaa huun aashiyaan se dil kaa sakun ganvaa kar hon aarzu pashemaan kuchh le ke rakh na chhoDaa kyuun jins-e-raaegaan se"







