SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJigar Moradabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo adaa-e-dilbari ho ki navaa-e-aashiqaana jo dilon ko fath kar le vahi faateh-e-zamaana kabhi husn ki tabiat na badal sakaa zamaana vahi naaz-e-be-niyaazi vahi shaan-e-khusravaana ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana ye falak ye maah-o-anjum ye zamin ye zamaana tire husn ki hikaayat mire ishq kaa fasaana ye hai ishq ki karaamat ye kamaal-e-shaairaana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasaana ye miraa payaam kahnaa tu sabaa muaddabaana ki guzar gayaa hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat kuchh ye junun hi ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana tujhe haadsaat-e-paiham se bhi kyaa milegaa naadaan tiraa dil agar ho zinda to nafas bhi taaziyaana main huun us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise miraa ishq bhi kahaani tiraa husn bhi fasaana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana tire ishq ki karaamat ye agar nahin to kyaa hai kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana tiri duuri o huzuri kaa ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasaana mire ham-safir bulbul miraa teraa saath hi kyaa main zamir-e-dasht-o-dariyaa tu asir-e-aashiyaana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh mein tujh mein tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kyaa kyaa tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"raaz jo sina-e-fitrat mein nihaan hotaa hai sab se pahle dil-e-shaair pe ayaan hotaa hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahaan hotaa hai nahin maalum ye insaan kahaan hotaa hai jab koi haadsa-e-kaun-o-makaan hotaa hai zarra zarra meri jaanib nigaraan hotaa hai jo nazar-karda-e-saahab-nazraan hotaa hai usi divaane ke qadmon pe jahaan hotaa hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahaan hotaa hai mujh ko mahsus khud apnaa hi ziyaan hotaa hai mutazalzal hai adab-gaah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangaama kahaan hotaa hai kahin aisaa to nahin vo bhi ho koi aazaar tujh ko jis chiiz pe raahat kaa gumaan hotaa hai dil ghani ho to har ik ranj bhi dil ki raahat zehn muflis ho to har suud ziyaan hotaa hai imtihaan-gaah-e-mohabbat mein na rakkhe vo qadam maut ke naam se jis ko khafaqaan hotaa hai yahi vo manzil-e-dushvaar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyaan hotaa hai har qadam maarka-e-karb-o-balaa hai darpesh har nafas saaneha-e-marg-e-javaan hotaa hai naaz jis khaak-e-vatan par thaa mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam kaa gumaan hotaa hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"husn-e-kaafir-shabaab kaa aalam sar se paa tak sharaab kaa aalam araq-aalud chehra-e-taabaan shabnam-o-aaftaab kaa aalam vo miri arz-e-shauq-e-behad par kuchh hayaa kuchh itaab kaa aalam allaah allaah vo imtizaaj-e-latif shokhiyon mein hijaab kaa aalam hama nur-o-surur ki duniyaa hama husn-o-shabaab kaa aalam vo lab-e-juebaar o mausam-e-gul vo shab-e-maahtaab kaa aalam zaanu-e-shauq par vo pichhle pahar nargis-e-nim-khvaab kaa aalam der tak ikhtilaat-e-raaz-o-niyaaz yak-ba-yak ijtinaab kaa aalam laakh rangin-bayaaniyon pe miri ek saada javaab kaa aalam gham ki har mauj mauj-e-tufaan-khez dil kaa aalam habaab kaa aalam dil-e-mutrib samajh sake shaayad ik shikasta rubaab kaa aalam vo samaan aaj bhi hai yaad 'jigar' haan magar jaise khvaab kaa aalam"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"junun kam justuju kam tishnagi kam nazar aae na kyuun dariyaa bhi shabnam ba-hamdillaah tu hai jis kaa hamdam kahaan us qalb mein gunjaaish-e-gham tavajjoh be-nihaayat aur nazar kam khushaa ye iltifaat-e-husn-e-barham miri aankhon ne dekhaa hai vo aalam ki har aalam hai laghzish-haa-e-paiham khataa kyunkar na hoti aafiyat-soz ki jannat hi na thi meraaj-e-aadam khushaa ye nisbat-e-husn-o-mohabbat jahaan baiThe nazar aae hamin ham vo ik husn-e-saraapaa allaah allaah ki jis ki har adaa aalam hi aalam kahaan pahlu-e-khurshid-e-jahaan-taab kahaan ik naaznin doshiza shabnam masarrat zindagi kaa dusraa naam masarrat ki tamannaa mustaqil gham"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"be-gham-e-'ishq-o-be-dil-e-aagaah maut bhi jurm zindagi bhi gunaah main chalaa jaa rahaa thaa apni raah saamne aap aa gae naagaah kis kaa shikva kahaan kaa haal-e-tabaah uf vo naazuk si zer-e-lab ik aah jo tiri bazm teri jaulaan-gaah dil vahi dil vahi nigaah nigaah saaya-e-zulf-e-yaar kyaa kahnaa zindagi ko na thi kahin bhi panaah kyaa ghazab hai ki ik zamaane se aadmi ko taras rahi rahi hai nigaah 'ishq hi us ko jaantaa hai ki hai ik nigah aur bhi varaa-e-nigaah mai-kade mein kahaan janaab-e-shaikh aa hi nikle to khair bismillaah aap phulon se jholiyaan bhar lein ham ne kaanTon se kar liyaa hai nibaah ab gham-e-do-jahaan bhi raahat hai ai gham-e-'aashiqi jazaak-allaah main bahar-haal huun firaaq-nasib tu ba-har-rang hai mire hamraah"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ik yahi husn-e-yaqin taskin-e-jaan-o-dil sahi mujh se tu ghaafil nahin hai tujh se main ghaafil sahi jo bhi mil jaae mohabbat mein vahi in'aam dost dard-e-mahrumi sahi kaif-e-shikast-e-dil sahi phir bhi aankhein DhunDhti hain ik saraapaa naaz ko zindagi mein har tajalli husn ki shaamil sahi phir bhi kitni dil-nashin hai phir bhi kitni jaan-fazaa husn ki ik ik adaa zaalim sahi qaatil sahi 'ishq hi ki fitrat-e-sarkash kaa lekin kyaa 'ilaaj har-nafas rahbar sahi jaada sahi manzil sahi kis ko milti hai 'jigar' ye daulat-e-bedaad bhi laakh jaam-e-jam ke badle ek TuuTaa dil sahi"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"is 'ishq ke haathon se hargiz na mafar dekhaa utni hi baDhi hasrat jitnaa hi udhar dekhaa thaa khel saa pahle 'ishq lekin jo khulin aankhein Duubaa huaa rag rag mein vo tir-e-nazar dekhaa sab ho gai uTh uTh kar ik baaz nisaar sham' parvaanon ne kyaa jaane kyaa vaqt-e-sahar dekhaa vo ashk bhari aankhein aur dard bhare naale allaah na dikhlaae jo vaqt-e-sahar dekhaa qurbaan tiri aankhon ke sadqe tari nazron ke thaa haasil-e-sad-naavak jo zakhm-e-jigar dekhaa jaate rahe dam-bhar mein saare hi gile shikve us jaan-e-taghaaful ne jab ek nazar dekhaa ahd-e-gham-e-furqat mein dil aur jigar kaise ik zakhm idhar paayaa ik daagh udhar dekhaa thaa baais-e-rusvaai har-chand junun meraa un ko bhi na chain aayaa jab tak na idhar dekhaa is chashm-e-ghazaalein ko mai-khaana-e-dil paayaa us ru-e-nigaarin ko firdaus-e-nazar dekhaa yuun dil ko taDapne kaa kuchh to hai sabab aakhir yaa dard ne karvaT li yaa tum ne idhar dekhaa kyaa jaaniye kyaa guzri hangaam-e-junun lekin kuchh hosh ho aayaa to ujDaa huaa ghar dekhaa maathe pe pasinaa kyuun aankhon mein nami kaisi kuchh khair to hi tum ne kyaa haal-e-jigar dekhaa"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"khushaa bedaad khun-e-hasrat-e-bedaad hotaa hai sitam ijaad karte ho karam ijaad hotaa hai ba-zaahir kuchh nahin kahte magar irshaad hotaa hai ham us ke hain jo ham par har tarah barbaad hotaa hai mire naashaad rahne par vo jab naashaad hotaa hai bataaun kyaa jo meraa aalam-e-fariyaad hotaa hai yahi hai raaz-e-aazaadi jahaan tak yaad hotaa hai ki nazrein qaid hoti hain to dil aazaad hotaa hai dil-e-aashiq bhi kyaa majmua-e-azdaad hotaa hai udhar aabaad hotaa hai idhar barbaad hotaa hai vo har ik vaaqia jo surat-e-uftaad hotaa hai kabhi pahle bhi dekhaa thaa kuchh aisaa yaad hotaa hai baDi mushkil se paidaa ek vo aadam-zaad hotaa hai jo khud aazaad jis kaa har nafas aazaad hotaa hai nigaahein kyaa ki pahron dil bhi vaaqif ho nahin saktaa zabaan-e-husn se aisaa bhi kuchh irshaad hotaa hai tumhin ho taana-zan mujh par tumhin insaaf se kah do koi apni khushi se khaanamaan-barbaad hotaa hai ye maanaa nang-e-paabandi se kyaa aazaad ko matlab magar vo sharm-e-aazaadi se bhi aazaad hotaa hai tasavvur mein hai kuchh aisaa tiri tasvir kaa aalam ki jaise ab lab-e-naazuk se kuchh irshaad hotaa hai koi had hi nahin shaayad mohabbat ke fasaane ki sunaataa jaa rahaa hai jis ko jitnaa yaad hotaa hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"har haqiqat ko ba-andaaz-e-tamaashaa dekhaa khuub dekhaa tire jalvon ko magar kyaa dekhaa justuju mein tiri ye haasil-e-saudaa dekhaa ek ik zarre kaa aaghosh-e-talab vaa dekhaa aaina-khaana-e-aalam mein kahein kyaa dekhaa tere dhoke mein khud apnaa hi tamaashaa dekhaa ham ne aisaa na koi dekhne vaalaa dekhaa jo ye kah de ki tiraa husn saraapaa dekhaa dil-e-aagaah mein kyaa kahiye 'jigar' kyaa dekhaa lahrein letaa huaa ik qatre mein dariyaa dekhaa koi shaaista-o-shaayaan-e-gham-e-dil na milaa ham ne jis bazm mein dekhaa use tanhaa dekhaa"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"na dekhaa rukh-e-be-naqaab-e-mohabbat mohabbat hai shaayad hijaab-e-mohabbat barastaa hai kaif-e-shabaab-e-mohabbat har aansu hai jaam-e-sharaab-e-mohabbat 'ajab josh par hai shabaab-e-mohabbat mohabbat hai mast-e-sharaab-e-mohabbat zahe khvaab o taa'bir khvaab-e-mohabbat mohabbat hi nikli javaab-e-mohabbat mujhe kyaa paDi hai tire dar se uTThun Thaharne jo de iztiraab-e-mohabbat dil-e-zarra zarra hai tur-e-tajalli zahe jalva-e-aaftaab-e-mohabbat sabhi uTh gae diida o dil se parde na uTThaa magar ik hijaab-e-mohabbat na rakkho gharaz ham se itnaa hi kah do halaak-e-tabassum kharaab-e-mohabbat lahu ki har ik buund dil ban gai hai khushaa lazzat-e-kaamyaab-e-mohabbat hudud-e-mohabbat se bhi baDh gae ham salaamat rahe iztiraab-e-mohabbat"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"sabhi andaaz-e-husn pyaare hain ham magar saadgi ke maare hain us ki raaton kaa intiqaam na puchh jis ne hans hans ke din guzaare hain ai sahaaron ki zindagi vaalo kitne insaan be-sahaare hain laala-o-gul se tujh ko kyaa nisbat naa-mukammal se istiaare hain ham to ab Duub kar hi ubhreinge vo rahein shaad jo kinaare hain shab-e-furqat bhi jagmagaa uTThi ashk-e-gham hain ki maah-paare hain aatish-e-ishq vo jahannam hai jis mein firdaus ke nazaare hain vo hamin hain ki jin ke haathon ne gesu-e-zindagi sanvaare hain husn ki be-niyaaziyon pe na jaa be-ishaare bhi kuchh ishaare hain"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"dil gayaa raunaq-e-hayaat gai gham gayaa saari kaaenaat gai dil dhaDakte hi phir gai vo nazar lab tak aai na thi ki baat gai din kaa kyaa zikr tira-bakhton mein ek raat aai ek raat gai teri baaton se aaj to vaaiz vo jo thi khvaahish-e-najaat gai un ke bahlaae bhi na bahlaa dil raaegaan sai-e-iltifaat gai marg-e-aashiq to kuchh nahin lekin ik masihaa-nafas ki baat gai ab junun aap hai garebaan-gir ab vo rasm-e-takallufaat gai ham ne bhi vaz-e-gham badal Daali jab se vo tarz-e-iltifaat gai tark-e-ulfat bahut bajaa naaseh lekin us tak agar ye baat gai haan maze luuT le javaani ke phir na aaegi ye jo raat gai haan ye sarshaariyaan javaani ki aankh jhapki hi thi ki raat gai jalva-e-zaat ai maaaz-allaah taab-e-aaina-e-sifaat gai nahin miltaa mizaaj-e-dil ham se ghaaliban duur tak ye baat gai qaid-e-hasti se kab najaat 'jigar' maut aai agar hayaat gai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ishq hi tanhaa nahin shorida-sar mere liye husn bhi betaab hai aur kis qadar mere liye haan mubaarak ab hai mearaaj-e-nazar mere liye jis qadar vo dur-tar nazdik-tar mere liye khel hai baazicha-e-shaam-o-sahar mere liye do gul-e-baazi hain ye shams o qamar mere liye vaqf hai sayyaad ki ik ik nazar mere liye haan mubaarak ye shikast-e-baal-o-par mere liye garm hai hangaama-e-shaam-o-sahar mere liye raat din gardish mein hain shams o qamar mere liye main huun vahshi aah kis sahraa-e-aafat-khez kaa hai gul-e-viraana bhi begaana-tar mere liye us maqaam-e-ishq mein huun marhabaa ai be-khudi zarra zarra hai jahaan garm-e-safar mere liye jazb ho kar rah gayaa huun main jamaal-e-dost mein ishq hai taabinda-tar paainda-tar mere liye main nahin kahtaa ki main huun tu ho teri khalvatein haan magar sab se judaa khaas ik nazar mere liye allaah allaah main bhi kyaa naazuk-dimaagh-e-ishq huun nikhat-e-gul bhi hai vajh-e-dard-e-sar mere liye phir bhi aankhein DhunDhti hain ik saraapaa naaz ko main ne maanaa kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye rahrav-e-raah-e-talab ko khizr ki haajat nahin zarra zarra hai charaagh-e-rah-guzar mere liye apne dil mein juz tire main bhi samaa saktaa nahin meraa har har saans hai zanjir-e-dar mere liye mujh ko jannat hi jo duniyaa hai to yaa-rab bakhsh de bas yahi daamaan-e-tar chashmaan-e-tar mere liye tark-e-mai se aur bhi main to sharaabi ban gayaa roz aa jaataa hai minaa-e-sahar mere liye jis ne zaahid se bhi kaafir ke uDaa Daale hain hosh us se bhi kuchh aur saaqi tez-tar mere liye vo miraa saaghar-ba-kaf honaa pashemaani ke saath abr-e-rahmat kaa vo uThnaa jhuum kar mere liye kal shab-e-maahtaab mein ik bulbul-e-aafat-navaa markaz-e-gham ban rahaa thaa raat bhar mere liye naa-gahaan lab-haa-e-barg-e-gul se ye aai nidaa naale kartaa hai abas ai be-khabar mere liye main bhi huun apni jagah khunin-jigar khunin-kafan tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye bas ye sunnaa thaa ki paa-e-gul pe gir kar mar miTaa ban gayaa ik naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye zindagi ik tohmat-e-bejaa hai meri zaat par maut ik ilzaam-e-naa-jaaez 'jigar' mere liye main to har haalat mein khush huun lekin us kaa kyaa ilaaj DabDabaa aati hain vo aankhein 'jigar' mere liye"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"sitam-e-kaamyaab ne maaraa karam-e-laa-javaab ne maaraa khud hui gum hamein bhi kho baiThi nigah-e-baazyaab ne maaraa zindagi thi hijaab ke dam tak barhami-e-hijaab ne maaraa ishq ke har sukun-e-aakhir ko husn ke iztiraab ne maaraa khud nazar ban gai hijaab-e-nazar haae us be-hijaab ne maaraa main tiraa aks huun ki tu meraa is savaal-o-javaab ne maaraa koi puchhe ki rah ke pahlu mein tiir kyaa iztiraab ne maaraa bach rahaa jo tiri tajalli se us ko tere hijaab ne maaraa ab nazar ko kahin qaraar nahin kaavish-e-intikhaab ne maaraa sab ko maaraa 'jigar' ke sheron ne aur 'jigar' ko sharaab ne maaraa"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"yaadash-ba-khair jab vo tasavvur mein aa gayaa sher o shabaab o husn kaa dariyaa bahaa gayaa jab ishq apne markaz-e-asli pe aa gayaa khud ban gayaa hasin do aalam pe chhaa gayaa jo dil kaa raaz thaa use kuchh dil hi paa gayaa vo kar sake bayaan na hamin se kahaa gayaa naaseh fasaana apnaa hansi mein uDaa gayaa khush-fikr thaa ki saaf ye pahlu bachaa gayaa apnaa zamaana aap banaate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamaana banaa gayaa dil ban gayaa nigaah nigah ban gai zabaan aaj ik sukut-e-shauq qayaamat hi Dhaa gayaa meraa kamaal-e-sher bas itnaa hai ai 'jigar' vo mujh pe chhaa gae main zamaane pe chhaa gayaa"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ishq ko be-naqaab honaa thaa aap apnaa javaab honaa thaa mast-e-jaam-e-sharaab honaa thaa be-khud-e-iztiraab honaa thaa teri aankhon kaa kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharaab honaa thaa aao mil jaao muskuraa ke gale ho chukaa jo itaab honaa thaa kucha-e-ishq mein nikal aayaa jis ko khaana-kharaab honaa thaa mast-e-jaam-e-sharaab khaak hote gharq-e-jaam-e-sharaab honaa thaa dil ki jis par hain naqsh-e-rangaa-rang us ko saada kitaab honaa thaa ham ne naakaamiyon ko DhunD liyaa aakhirash kaamyaab honaa thaa haae vo lamha-e-sukun ki jise mahshar-e-iztiraab honaa thaa nigah-e-yaar khud taDap uThti shart-e-avval kharaab honaa thaa kyuun na hotaa sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab honaa thaa kyuun nazar hairaton mein Duub gai mauj-e-sad-iztiraab honaa thaa ho chukaa roz-e-avvalin hi 'jigar' jis ko jitnaa kharaab honaa thaa"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"kuchh is adaa se aaj vo pahlu-nashin rahe jab tak hamaare paas rahe ham nahin rahe imaan-o-kufr aur na duniyaa-o-din rahe ai ishq-e-shaad-baash ki tanhaa hamin rahe aalam jab ek haal pe qaaem nahin rahe kyaa khaak e'tibaar-e-nigaah-e-yaqin rahe meri zabaan pe shikva-e-dard-aafrin rahe shaayad mire havaas Thikaane nahin rahe jab tak ilaahi jism mein jaan-e-hazin rahe nazrein miri javaan rahein dil hasin rahe yaa-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho dast-e-junun rahe na rahe aastin rahe taa-chand josh-e-ishq mein dil ki hifaazatein meri balaa se ab vo jununi kahin rahe jaa aur koi zabt ki duniyaa talaash kar ai ishq ham to ab tire qaabil nahin rahe mujh ko nahin qubul do-aalam ki vusatein qismat mein ku-e-yaar ki do-gaz zamin rahe ai ishq-e-naalaa-kash tiri ghairat ko kyaa huaa hai hai araq araq vo tan-e-naaznin rahe dard-o-gham-e-firaaq ke ye sakht marhale hairaan huun main ki phir bhi tum itne hasin rahe allaah-re chashm-e-yaar ki mojiz-bayaaniyaan har ik ko hai gumaan ki mukhaatib hamin rahe zaalim uThaa tu parda-e-vahm-o-gumaan-o-fikr kyaa saamne vo marhala-haa-e-yaqin rahe zaat-o-sifaat-e-husn kaa aalam nazar mein hai mahdud-e-sajda kyaa miraa zauq-e-jabin rahe kis dard se kisi ne kahaa aaj bazm mein achchhaa ye hai vo nang-e-mohabbat yahin rahe sar-daadgaan-e-ishq-o-mohabbat ki kyaa kami qaatil ki tegh tez khudaa ki zamin rahe is ishq ki talaafi-e-maafaat dekhnaa rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"rakhte hain khizr se na gharaz rahnumaa se ham chalte hain bach ke duur har ik naqsh-e-paa se ham maanus ho chale hain jo dil ki sadaa se ham shaayad ki ji uThe tiri aavaaz-e-paa se ham yaa rab nigaah-e-shauq ko de aur vusatein ghabraa uThe jamaal-e-jahat-aashnaa se ham makhsus kis ke vaaste hai rahmat-e-tamaam puchheinge ek din ye kisi paarsaa se ham o mast-e-naaz husn tujhe kuchh khabar bhi hai tujh par nisaar hote hain kis kis adaa se ham ye kaun chhaa gayaa hai dil o diida par ki aaj apni nazar mein aap hain naa-aashnaa se ham"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ye din bahaar ke ab ke bhi raas aa na sake ki ghunche khil to sake khil ke muskuraa na sake miri tabaahi-e-dil par to rahm khaa na sake jo raushni mein rahe raushni ko paa na sake na jaane aah ki un aansuon pe kyaa guzri jo dil se aankh tak aae mizha tak aa na sake rah-e-khulus-e-mohabbat ke haadsaat-e-jahaan mujhe to kyaa mire naqsh-e-qadam miTaa na sake kareinge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil jo zinda rah ke maqaam-e-hayaat paa na sake nayaa zamaana banaane chale the divaane nai zamin nayaa aasmaan banaa na sake"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi