Quote
"aqaaed vahm hain mazhab khayaal-e-khaam hai saaqi azal se zehn-e-insaan basta-e-auhaam hai saaqi haqiqat-aashnaai asl mein gum-karda raahi hai urus-e-aagahi parvurda-e-ibhaam hai saaqi mubaarak ho zaifi ko khirad ki falsafa-raani javaani be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqi havas hogi asir-e-halqa-e-nek-o-bad-e-aalam mohabbat maavaraa-e-fikr-e-nang-o-naam hai saaqi abhi tak raaste ke pech-o-kham se dil dhaDaktaa hai miraa zauq-e-talab shaayad abhi tak khaam hai saaqi vahaan bhejaa gayaa huun chaak karne parda-e-shab ko jahaan har subh ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqi mire saaghar mein mai hai aur tire haathon mein barbat hai vatan ki sar-zamin mein bhuuk se kohraam hai saaqi zamaana barsar-e-paikaar hai pur-haul shoalon se tire lab par abhi tak naghma-e-khayyaam hai saaqi"







