SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAasi Ghazipuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo kyaa hai tiraa jis mein jalva nahin hai na dekhe tujhe koi andhaa nahin hai kahaan daaman-e-husn aashiq se aTkaa gul-e-daagh-e-ulfat mein kaanTaa nahin hai kiyaa hai vahaan us ne paimaan-e-fardaa yahaan hai vo shab jis ko fardaa nahin hai vo kahte hain main zindagaani huun teri ye sach hai to un kaa bharosaa nahin hai miri ziist kyuun kar na ho jaavedaani jo martaa hai us par vo martaa nahin hai vahi khaak uDaanaa vahi gardishein hain ye maanaa ki aashiq bagulaa nahin hai gulu-gir hai un bhavon kaa tasavvur garebaan mein apne kanThaa nahin hai in aankhon ko jab se basaarat mili hai sivaa tere kuchh main ne dekhaa nahin hai miri hasratein is qadar bhar gai hain ki ab tere kuche mein rastaa nahin hai vo dil kyaa jo dilbar ki surat na pakDe vo majnun nahin hai jo lailaa nahin hai kamaal-e-zuhur-e-tajalli se jaanaa jo pinhaan nahin hai vo paidaa nahin hai"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"qatra vahi ki ru-kash-e-dariyaa kahein jise yaani vo main hi kyuun na huun tujh saa kahein jise vo ik nigaah ai dil-e-mushtaaq is taraf aashob-gaah-e-hashr-e-tamanaa kahein jise bimaar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai vo dard dil mein de ki masihaa kahein jise ai husn-e-jalva-e-rukh-e-jaanaan kabhi kabhi taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazaaraa kahein jise is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sadaa kahaan haan baat vo kahun ki na kahnaa kahein jise ye bakhshish apne banda-e-naachiz ke liye thoDi si punji aisi ki duniyaa kahein jise ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chheDiye aahang-e-saaz-e-dard ki naalaa kahein jise paimaana-e-nigaah se aakhir chhalak gayaa sar josh-e-zauq-e-vasl-e-tamannaa kahein jise 'aasi' jo gul se gaal kisi ke hue to kyaa maashuq vo ki sab se niraalaa kahein jise"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"usi ke jalve the lekin visaal-e-yaar na thaa main us ke vaaste kis vaqt be-qaraar na thaa koi jahaan mein kyaa aur tarah-daar na thaa tiri tarah mujhe dil par to ikhtiyaar na thaa khiraam jalve ke naqsh-e-qadam the laala-o-gul kuchh aur us ke sivaa mausam-e-bahaar na thaa vo kaun naala-e-dil thaa qafas mein ai sayyaad ki misl-e-tir-e-nazar aasmaan shikaar na thaa ghalat hai hukm-e-jahannam kise huaa hogaa ki mujh se baDh ke to koi gunaahgaar na thaa vafur-e-be-khudi-e-bazm-e-mai na puchho raat koi ba-juz nigah-e-yaar hoshiyaar na thaa lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin koi libaas na thaa jo ki mustaaar na thaa to mahv-e-gul-ban-o-gulzaar ho gayaa 'aasi' tiri nazar mein jamaal-e-khayaal-e-yaar na thaa"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"tire kuche kaa rahnumaa chaahtaa huun magar ghair kaa naqsh-e-paa chaahtaa huun jahaan tak ho tujh se jafaa chaahtaa huun ki main imtihaan-e-vafaa chaahtaa huun khudaa se tiraa chaahnaa chaahtaa huun meraa chaahnaa dekh kyaa chaahtaa huun kahaan rang-e-vahdat kahaan zauq-e-vaslat main apne ko tujh se judaa chaahtaa huun baraabar rahi hadd-e-yaar-o-mohabbat kisi ko main be-intihaa chaahtaa huun kahaan hai tiri barq-e-josh-e-tajalli ki main saaz-o-barg-e-fanaa chaahtaa huun vo jab kho chuke mujh ko hasti se apni to kahte hain ab main milaa chaahtaa huun junun-e-mohabbat mein pand-e-adu kyaa bhalaa main kisi kaa buraa chaahtaa huun tabiat ki mushkil-pasandi to dekho hasinon se tark-e-vafaa chaahtaa huun jo dil main ne chaahaa to kyaa khaak chaahaa ki dil bhi to be-muddaaa chaahtaa huun ye hasrat ki lazzat ye zauq-e-tamannaa shab-e-vasl un se hayaa chaahtaa huun sivaa is ke main kyaa kahun tum se 'aasi' ki darvesh ho tum duaa chaahtaa huun"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"kuchh kahun kahnaa jo meraa kijiye chaahne vaale ko chaahaa kijiye hausla tegh-e-jafaa kaa rah na jaae aaiye khun-e-tamannaa kijiye fitna-e-roz-e-qayaamat hai vo chaal aaj vo aate hain dekhaa kijiye kis ko dekhaa un ki surat dekh kar ji mein aataa hai ki sajda kijiye fitne sab barpaa kiye hain husn ne meri ulfat ko na rusvaa kijiye hur-e-jannat un se kuchh baDh kar sahi ek dil kyaa kyaa tamannaa kijiye kar diyaa hairat ne mujh ko aaina be-takalluf munh dikhaayaa kijiye josh mein aa jaae rahmat ki tarah ek ik qatre ko dariyaa kijiye naam agar darkaar hai misl-e-nagin ek ghar mein jam ke baiThaa kijiye mil chuke ab milne vaale khaak ke qabr par jaa jaa ke royaa kijiye kaun thaa kal baais-e-be-pardagi aap mujh se aaj parda kijiye kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai aaj phir qaasid ravaanaa kijiye raah takte takte 'aasi' chal basaa kyuun kisi se aap vaadaa kijiye"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"na mere dil na jigar par na dida-e-tar par karam kare vo nishaan-e-qadam to patthar par tumhaare husn ki tasvir koi kyaa khinche nazar Thaharti nahin aariz-e-munavvar par kisi ne li rah-e-kaaba koi gayaa su-e-dair paDe rahe tire bande magar tire dar par gunaahgaar huun main vaa'izo tumhein kyaa fikr miraa mu'aamla chhoDo shafi-e-mahshar par un abruon se kaho kushtani mein jaan bhi hai isi ke vaaste khanjar khinchaa hai khanjar par pilaa de aaj ki marte hain rind ai saaqi zarur kyaa ki ye jalsa ho hauz-e-kausar par salaahiyat bhi to paidaa kar ai dil-e-muztar paDaa hai naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar patthar par vafur-e-josh-e-ziyaa aur un ke daanton kaa habaab-e-gumbad-e-gardun hai aab-e-gauhar par akhir vaqt hai 'aasi' chalo madine ko nisaar ho ke maro turbat-e-payambar par"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"itnaa to jaante hain ki aashiq fanaa huaa aur us se aage baDh ke khudaa jaane kyaa huaa shaan-e-karam thi ye bhi agar vo judaa huaa kyaa mehnat-e-talab mein na haasil mazaa huaa main aur ku-e-ishq mire aur ye nasib zauq-e-fanaa khizar ki tarah rahnumaa huaa pahchaantaa vo ab nahin dushman ko dost se kis qaid se asir-e-mohabbat rihaa huaa shaayaan-e-darguzar hai agar iztiraar mein jurm-e-daraaz-dasti-e-zauq-e-duaa huaa kyaa kyaa na us ne puure kiye muddaaa-e-dil lekin pasand use dil-e-be-muddaaa huaa us kaa pata kisi se na puchho baDhe chalo fitna kisi gali mein to hogaa uThaa huaa gul-ruyon ke khayaal ne gulshan banaa diyaa siina kabhi madina kabhi karbalaa huaa pechida thi jo sar mein havaa-e-razaa-e-dost 'aasi' murid-e-silsila-e-murtazaa huaa"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"hazaaron ki jaan le chukaa hai ye chehra zer-e-naqaab ho kar magar qayaamat karoge barpaa jo nikloge be-hijaab ho kar shanaakht us ki ho sahl kyun-kar ki jab na tab bhes ik nayaa ho vo din ko khurshid ho ke nikle to raat ko maahtaab ho kar main dil se us shaikh kaa huun qaail ki mai-kade mein paDhe tahajjud lagaae masjid mein naa're hu-haq ke mahv-e-daur-e-sharaab ho kar firaaq mein is qadar taraddud abhi tumhein kuchh khabar nahin hai baDhegi kuchh aur be-qaraari visaal mein kaamyaab ho kar na kar tu itni mazammat is ki bahisht ki chiiz hai ye vaa'iz ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aayaa sharaab ho kar vo thaa badan yaa koi gul-e-tar phir us ki khushbu vo ruh-parvar jidhar se guzre basaa vo rasta bahaa pasina gulaab ho kar janaab-e-'naasikh' ki ye hidaayat hai yaad rakhnaa tum is ko 'aasi' ghazal mein aise hon she'r jin mein kami na ho intikhaab ho kar"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"saare aalam mein teri khushbu hai ai mere rashk-e-gul kahaan tu hai barchhi thi vo nigaah dekho to lahu aankhon mein hai ki aansu hai ek dam mein hazaar daftar tai chashm-e-hasrat ghazab sukhan-go hai tu hi tu aur baal baal apnaa faakhta aur shor-e-ku-ku hai tujh ko dekhe phir aap mein rah jaae dil par itnaa kisi ko qaabu hai josh-e-ashk o tasavvur-e-qad-e-yaar sarv goyaa khaDaa lab-e-ju hai had na puchho hamaari vahshat ki dil mein har daagh chashm-e-aahu hai jis ne momin banaa liyaa ham ko vo tumhaaraa hi mushaf-e-ru hai jis ke kushte hain zinda-e-jaaved vo tumhaari hi tegh-e-abru hai dil jo be-muddaaa ho kyaa kahnaa yahi viraana aalam-e-hu hai pul bhi hai fakhr-e-jaunpur 'aasi' khvaab-gaah-e-janaab-e-shekhu hai"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"kalejaa munh ko aataa hai shab-e-furqat jab aati hai akele munh lapeTe rote rote jaan jaati hai lab-e-naazuk ke bose luun to missi munh banaati hai kaf-e-paa ko agar chumun to mehndi rang laati hai dikhaati hai kabhi bhaalaa kabhi barchhi lagaati hai nigaah-e-naaz-e-jaanaan ham ko kyaa kyaa aazmaati hai vo bikhraane lage zulfon ko chehre par to main samjhaa ghaTaa mein chaand yaa mahmil mein lailaa munh chhupaati hai karegi apne haathon aaj apnaa khuun mashshaata bahut rach-rach ke talvon mein tire mehndi lagaati hai na koi zor us ayyaar par ab tak chalaa apnaa yahaan dam TuTtaa hai aur dam mein jaan jaati hai taDapnaa tilmilaanaa loTnaa sar piTnaa ronaa shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai pachhaaDein khaa rahaa huun loTtaa huun dard-e-furqat se ajal ke paanv TuTein kyuun nahin is vaqt aati hai"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"vahaan pahunch ke ye kahnaa sabaa salaam ke baad ki tere naam ki raT hai khudaa ke naam ke baad vahaan bhi vaada-e-didaar is tarah Taalaa ki khaas log talab honge baar-e-aam ke baad gunaahgaar ki sun lo to saaf saaf ye hai ki lutf-e-rahm-o-karam kyaa phir intiqaam ke baad talab tamaam ho matlub ki agar had ho lagaa huaa hai yahaan kuuch har maqaam ke baad vo khat vo chehra vo zulf-e-siyaah to dekho ki shaam subh ke baad aae subh shaam ke baad payaam-bar ko ravaana kiyaa to rashk aayaa na ham-kalaam ho us se mire kalaam ke baad abhi to dekhte hain zarf baada-khvaaron kaa subu o khum ki bhi Thahregi daur-e-jaam ke baad ilaahi 'aasi'-e-betaab kis se chhuTaa hai ki khat mein roz-e-qayaamat likhaa hai naam ke baad"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"hirs daulat ki na izz o jaah ki bas tamannaa hai dil-e-aagaah ki dard-e-dil kitnaa pasand aayaa use main ne jab ki aah us ne vaah ki khinch gae kanaan se yusuf misr ko puchhiye hazrat se quvvat chaah ki bas suluk us kaa hai manzil us ki hai us ke dil tak jis ne apni raah ki vaaizo kaisaa buton kaa ghurnaa kuchh khabar hai summa-vajhul-laah ki yaad aai taaq-e-bait-ul-laah mein bait-e-abru us but-e-dil-khvaah ki raah-e-haq ki hai agar 'aasi' talaash khaak-e-rah ho mard-e-haq-aagaah ki"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"zakhm-e-dil ham dikhaa nahin sakte dil kisi kaa dukhaa nahin sakte vo yahaan tak jo aa nahin sakte kyaa mujhe bhi bulaa nahin sakte vaada bhi hai to hai qayaamat kaa jis ko ham aazmaa nahin sakte aap bhi bahr-e-ashk hain goyaa aag dil ki bujhaa nahin sakte un se ummid-e-vasl ai tauba vo to surat dikhaa nahin sakte un ko ghunghaT uThaane mein kyaa uzr hosh mein ham jo aa nahin sakte maangte maut ki duaa lekin haath dil se uThaa nahin sakte un ko daavaa-e-yusufi 'aasi' khvaab mein bhi jo aa nahin sakte"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"phir mizaaj us rind kaa kyunkar mile jis ko us ke haath se saaghar mile ye bhi milnaa hai ki baad-az-sad-talaash hadd-e-vahm-o-fahm se baahar mile kuchh na puchho kaisi nafrat ham se hai ham hain jab tak vo hamein kyunkar mile meri aankhein aur us ki khaak-e-paa tere kuche kaa agar rahbar mile vasl hai sar-josh-e-sahbaa-e-fanaa phir agar koi mile kyunkar mile milne ke pahle fanaa honaa zarur phir fanaa jo ho gayaa kyunkar mile 'aasi'-e-giryaan milaa mahbub se gul se shabnam jis tarah ro kar mile"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"ek jalve ki havas vo dam-e-rehlat bhi nahin kuchh mohabbat nahin zaalim to muravvat bhi nahin us ke kuche mein kahaan kashmakash bim-o-rajaa khauf-e-dozakh bhi nahin khvaahish-e-jannat bhi nahin zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaikh kyaa tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin be-niyaazi bhi uThaa luun main tire naaz ki tarah kyaa vo taaqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin kis tarah kahiye ki didaar dikhaayaa us ne baagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayaamat bhi nahin zohd-o-taqvaa o islaah-e-dar-husn-e-amal kuchh nahin mujh mein magar kyaa tiri rahmat bhi nahin jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil kaise darvesh ho kuchh tum mein karaamat bhi nahin kabhi 'aasi' se ham-aaghosh na dekhaa tujh ko asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhi nahin"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri
Quote
"taab-e-didaar ju laae mujhe vo dil denaa munh qayaamat mein dikhaa sakne ke qaabil denaa naa-tavaanon ke sahaare ko hai ye bhi kaafi daaman-e-lutf ghubaar-e-pas-e-mahmil denaa zauq mein surat-e-mauj aa ke fanaa ho jaaun koi bosa to bhalaa ai lab-e-saahil denaa haae re haae tiri uqda-kushaai ke maze tu hi khole jise vo uqda-e-mushkil denaa ek fitna hai qayaamat mein bahaar-e-firdaus juz tire kuchh bhi na chaahe mujhe vo dil denaa dard kaa koi mahal hi nahin jab dil ke sivaa mujh ko har uzv ke badle hama-tan dil denaa"
Aasi GhazipuriAasi Ghazipuri