SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Aziz Khalid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"phir tire aastaan pe le aai khinch kar lazzat-e-jabin-saai pesh-o-pas ko bahaae jaataa hai teraa sailaab-e-rang-o-raanaai koi bekas duaaein detaa hai vo tiri pursish-o-paziraai phir se betaab hai dil-e-shaidaa kisi bhule hue ki yaad aai ek parda hai khud-farebi kaa ye miraa zauq-e-naghma-pairaai matlaa-e-subh-e-nau-bahaar bane us mujassam hayaa ki paidaai nazar ehsaas-e-husn se makhmur laal-e-khush-aab mein masihaai didani hai adaa-e-mahbubi saare andaaz hain zulekhaai aafat-e-aql-o-hosh hai 'khaalid' us pari-ru kaa husn-e-sahraai"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"fath kitni khub-surat hai magar kitni garaan baarhaa rad ki hai main ne daavat-e-vasl-e-butaan naghma-e-bulbul hai faryaad-e-vidaa-e-fasl-e-gul sai-e-haasil dar-haqiqat hai mataa-e-raaegaan zinda rahne ke hain imkaanaat kyaa aasaar kyaa kaun si qadrein hain baaqi kaun si sachchaaiyaan shaa'iron kaa kaam kyaa tansiq-e-ausaaf-o-lughut yaa sanaa shaahon ki yaa madh-e-saraapaa-e-butaan zahr hai fan ke liye darbaar-daari kaa mizaaj kam-tarin-e-shart-e-goyaai hai ikhlaas-e-bayaan tere haathon par lagaa hai be-gunaahon kaa lahu jaam-e-jam mein mai nahin khun-e-siyaadish hai mughaan main to piitaa huun faqat gulnaar honTon ki sharaab sabbeh-ism-e-rabbekal-aalaa rahe vird-e-zabaan khatm hain is shokh raaanaa par tarah-daari ke rang qadd-e-baalaa jis kaa hai rashk-e-qazib-e-khaizraan jhanjhanaa uThne ko hain betaab tan biinaa ke taar kaun laae taab husn-e-be-hijaab-e-mah-vashaan be-niyaaz-e-harf hai guftaar-e-chashm-e-pur-sukhan darmiyaan-e-mahramaan-e-jaan hai naa-mahram zabaan koi tanhaai kaa gosha koi kunj-e-aafiyat 'aashiq-o-maa'shuq yakjaa hon kahaan ai aasmaan ai muhibbo raah-e-ulfat mein har ik shai hai mubaah kis ne khinchaa hai khat-e-hijraan tumhaare darmiyaan titliyaan dekhi hain baiThi khushk phulon par kabhi haajatein apni karo tum khub-ruon se bayaan ham ne nindein de ke raaton se kharide ratjage ham se kam honge ukaaz-e-dahr mein baazaargaan raat-din sunte hain tasvilaat-e-arbaab-e-hasad ehtiyaaj-e-dushmanaan bhi hai hunar ko be-gumaan jaane kin auqaat mein likhtaa thaa qaanun-o-shifaa bu-ali-sinaa vo maqtul-e-mughaan sheva-butaan maut se vahshat hai logon ko mohabbat maal se baang-e-be-hangaam hai kus-e-rahil-e-kaarvaan hai qarib ai shab zaraa subh-e-qayaamat kaa tulua TuTne ko hai azal-taabaan tanaab-e-kahkashaan tum akele aae duniyaa mein akele jaaoge zindagi ik pal hai kyaa pul par banaate ho makaan khizr zinda hai magar zindaani-e-umr-e-abad ai ajal kis kaam ki aisi hayaat-e-jaavidaan main bhi huun maanind maamun ke amir-ul-kaafrin bas-ki huun vaarafta-e-fikr-o-fan-e-yunaaniyaan hai sulaimaan ki taraf vaaqif lisaan-uttair se shaair-e-zohra-nigaahaan khaalid-e-uqda-zabaan go harim-e-aagahi ki shakl bhi dekhi nahin hai ba-zom-e-khvesh daanaa-e-rumuz-e-kun-fakaan"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"hon kyuun na munkashif asraar past-o-baalaa ke jame hain paanv zamin par sar aasmaan ko chhue jo sarnavisht mein hai us ko ho ke rahnaa hai to kis bharose pe insaan jidd-o-jahd kare ab aasmaan se sahife nahin utarte magar khulaa huaa hai dar-e-ijtihaad sab ke liye zabaan ataa kare sher un ki be-zabaani ko jo apne karb kaa izhaar kar nahin sakte bahaar-o-bahjat-o-izz-o-vaqaar us pe nisaar zabaan se maal se jaan se jo zaalimon se laDe hai aansuon mein shifaa kaisi kyaa khabar us ko bahaae makr se jo jhuT-muT ke Tasve hai bas-ki kaam ham aison kaa bhi masihaai ham aasmaan pe zinda uThaae jaaeinge"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"nakhchir huun main kashmakash-e-fikr-o-nazar kaa haq mujh se adaa ho na dar-o-bast-e-hunar kaa maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq dhobi kaa vo kuttaa huun ki jo ghaaT na ghar kaa dabtaa huun kisi se na dabaataa huun kisi ko qaael huun musaavaat-e-bani-nau-e-bashar kaa har chiiz ki hoti hai koi aakhiri had bhi kyaa koi bigaaDegaa kisi khaak-basar kaa dil-gir to be-shak huun pe naumid nahin huun raushan hai dil-e-shab mein diyaa nur-e-sahar kaa poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq mahram huun sadaa dilbar-e-angekhta-bar kaa zindaan o salaasil se sadaaqat nahin dabti hai shaan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar kaa tasvir koi banti dikhaai nahin deti kiyaa sarfa abas ham ne kiyaa khun-e-jigar kaa kyaa shughl-e-shajar kaar hai afkaar se behtar saudaa sar-e-shorida mein gar ho na samar kaa kyuun sar-khush-e-raftaar na ho ho qaafila-e-mauj rahzan kaa hai andesha na gham zaad-e-safar kaa Daali hai sitaaron pe kamand ahl-e-zamin ne zohra kaa vo afsun na fasaana vo qamar kaa har baat hai 'khaalid' ki zamaane se niraali baashinda hai shaayad kisi duniyaa-e-digar kaa"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"taqaazaa-e-dil-o-jaan kaa kahin darmaan nahin miltaa dayaar-e-dard mein taskin kaa saamaan nahin miltaa khiraaminda hain maikhaane agarche teri aankhon mein yahaan se bhi mudaavaa-e-gham-e-pinhaan nahin miltaa tiri chashm-e-tamaashaa-mast mein ghaltaan hain afsaane magar tamhid-e-ulfat kaa koi unvaan nahin miltaa kisi shai ki kami hai tere jalvon ki navaazish mein ki ab vo vaalehaana-pan vo zauq-e-jaan nahin miltaa tire andaaz ki ghaarat-gari bhi kyaa qayaamat hai ki naqd-e-zindagi-o-gauhar-e-imaan nahin miltaa kamaal-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqud hai 'khaalid' ye rutba mil to jaataa hai magar aasaan nahin miltaa"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"bhulon unhein kaise kaise kaise vo lamhe jo tere saath guzre hai raah-numaa jibillat un ki be-his nahin mausami parinde ai daanish-var mafar nahin hai iqraar-e-vajud-e-kibriyaa se jaanaa koi kaarsaaz bhi hai TuuTe ban ban ke jab iraade mehraab umuud burj qausein ras mein Duube bhare bhare se bahr-e-kaafur mein talaatum bhonraa baiThaa kanval ko chuse chaak-e-ufqi harim-e-zohra rah rah ke madan tarang jhalke jhilmil jhilmil badan kaa sonaa lahraaein laTein kamar se niche kyaa chaand si suratein banaain qurbaan ai niili chhatri vaale"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"phuli hai shafaq go ki abhi shaam nahin hai hai dil mein vo gham jis kaa koi naam nahin hai kis ko nahin kotaahi-e-qismat ki shikaayat kis ko gila-e-gardish-e-ayyaam nahin hai aflaak ke saae tale aisaa bhi hai koi jo said-e-zabun maaya-e-aalaam nahin hai chhilkon ke hain ambaar magar maghz nadaarat duniyaa mein musalmaan to hain islaam nahin hai imaan nahin momin kaa mukaafaat-e-amal par ummid-e-karam kyaa tama-e-khaam nahin hai masjid ho kharaabaat ho yaa ku-e-butaan ho is qalb-e-tapaan ko kahin aaraam nahin hai ai maah-visho laala-rukho vasl ki ham ko khvaahish to hai be-shak magar ibraam nahin hai kaifi hain mai-e-naab-e-khum-e-mehr-shuda ke ham ko talab-e-durd-e-tah-e-jaam nahin hai lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qaadir shaaer nahin jo saahab-e-ilhaam nahin hai har baat hai 'khaalid' mein pasandida o matbu ik pairvi-e-rasm-o-rah-e-aam nahin hai"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"nashaat-e-naghma bhi hai masti-e-khumaar bhi hai tire jamaal mein raanaai-e-bahaar bhi hai nigaah-e-naaz ki mahjub sehr-aagini adab-navaaz bhi hai shokh-o-sharmsaar bhi hai surur-o-sukr kaa aalam ajiib aalam hai ki khvaab-o-khamr bhi hai shoala-o-sharaar bhi hai tiri adaaon ki khu-e-ramidgi vallaah hai ek raaz ki pinhaan bhi aashkaar bhi hai sitam hai saadgi-e-chashm surma-saa jis mein vafaa kaa loch mohabbat kaa eatibaar bhi hai ik iztiraab ik ehsaas-e-tishna-kaami kaa tire huzur mein haijaan bhi qaraar bhi hai sabaa vo sarv-e-ravaan gar mile to kah us se kisi ko shaam-e-alam teraa intizaar bhi hai tu mere khanda-e-masrur-o-mutmain pe na jaa ik aarzu mire pahlu mein sogvaar bhi hai kise bataaun garaan-jaan hai is qadar 'khaalid' ki ain aalam-e-masti mein hoshiyaar bhi hai"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"vahi andaaz-e-jahaan-e-guzaraan hai ki jo thaa in nigaahon se vahi raaz ayaan hai ki jo thaa vahi rindon ki siyah-noshi-e-durd-e-tah-e-jaam vahi nazzaara sar-e-ku-e-mughaan hai ki jo thaa haae us kaif-e-nukhustin ki khumaar-angezi tiri aankhon mein vahi khvaab javaan hai ki jo thaa vahi targhib-e-tamanna ki chaman-aaraai aur pahlu mein vahi qalb-e-tapaan hai ki jo thaa lazzat-e-shauq kaa anfaas mein nam baaqi hai mire siine mein vahi soz-e-nihaan hai ki jo thaa inqilaabaat abhi gardish-e-ayyaam mein hain tire jalvon mein vahi sahr-e-ravaan hai ki jo thaa zauq-e-vaarafta ki asnaam-gari miT na saki haail-e-raah vahi sang-e-giraan hai ki jo thaa vahi aashufta-nigaahi vahi sahraa-talabi vahi ik maarka-e-sud-o-ziyaan hai ki jo thaa"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"qazaa se qarz kis mushkil se li umr-e-baqaa ham ne mataa-e-zindagi de kar kiyaa ye qarz adaa ham ne hamein kis khvaab se lalchaaegi ye pur-fusun duniyaa khurach Daalaa hai lauh-e-dil se harf-e-muddaaa ham ne karein lab ko na aaluda kabhi harf-e-shikaayat se shiaar apnaa banaayaa sheva-e-sabr-o-razaa ham ne ham us ke hain saraapaa adbadaa kar us se kyaa maangein uThaayaa hai kabhi ai muddai dast-e-duaa ham ne shahidaan-e-vafaa ki manqabat likhte rahe lekin na ki arzi khudaaon ki kabhi hamd-o-sanaa ham ne parakhne vaale parkheinge isi meaar par ham ko jahaan se kyaa liyaa ham ne jahaan ko kyaa diyaa ham ne vahi insaan jahaan jaao vahi hirmaan jidhar dekho bapaa-e-khufta ki sayyaahi-e-mulk-e-khudaa ham ne luTaa zauq-e-safar bhi kaarvaan kaa aise lagtaa hai sunaa har taaza pesh-aahang kaa shor-e-daraa ham ne sitam-aaraao sun lo aakhiri bardaasht ki had tak sahaa har naa-ravaa ham ne sunaa har naa-sazaa ham ne ye duzdida nigaahein hain ki dil lene ki raahein hain hamesha dida-o-daanista khaai hai khataa ham ne kashaakash ham se puchhe koi naa-aasuda khvaahish ki hasinon se bahut baandhe hain paimaan-e-vafaa ham ne kiyaa takmil-e-naqsh-e-naa-tamaam-e-shauq ki khaatir jau tum se ho sakaa tum ne jau ham se ho sakaa ham ne 'iraaqi' ki tarah 'khaalid' ko kyuun badnaam karte hain na dekhaa koi aisaa khush-navاa-e-benavaa ham ne"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"bu-e-nasim se kabhi baad-e-shimaal se kasb-e-nashaat kartaa huun tere jamaal se jaan-daada-e-lataafat-e-zikr-e-habib ko raghbat nahin fasaana-e-jaah-o-jalaal se us husn-e-be-hijaab ki shaadaabiyaan na puchh goyaa ki be-niyaaz hai fikr-e-maaal se ye aish kaash ishrat-e-jaaved ho sake pahlu mein dil dhaDaktaa hai khauf-e-zavaal se jal uThte hain hasin diye aarzuon ke aivaan-e-gham mein aaj bhi tere khayaal se gah gah miTaataa huun gham-e-dauraan ki talkhiyaan yaaqut-rang honTon ke aab-e-zulaal se mahtaab-vash nikharti hain afsurda shokhiyaan us chehra-e-sabih pe aks-e-malaal se"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"zamin-nazhaad hain lekin zamaan mein rahte hain makaan nasib nahin laa-makaan mein rahte hain vo Dol Daalein kisi kaar-e-paaedaar kaa kyaa jo be-sabaati-e-umr-e-ravaan mein rahte hain ham aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi hisaab-e-khaar-o-khas-e-aashiyaan mein rahte hain na bud-o-baash ko puchho ki ham faqir-manash sukhan ke maabad-e-be-saaebaan mein rahte hain kahaan talaash karoge hamein ki ham to mudaam huzuri-e-dil-e-be-khaanumaan mein rahte hain nashe ki lahr mein khum khum lunDhaa ke aab-e-hayaat saraab-e-zindagi-e-jaavedaan mein rahte hain nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"taakid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko bechain hon dil jin se vo naghme na alaapo ai ahl-e-vatan! khaao piyo shauq se lekin khelo na kabhi sar se kabhi munh se na bolo har taair-e-parraan ke par-o-baal karo qainch har banda-e-aazaad ko shishe mein utaaro ban jaae rivaayat na kahin halqa-e-zanjir har rafta ko maujud ki mizaan pe tolo pursaan-e-pareshaani-e-insaan nahin koi qismat ki girah naakhun-e-tadbir se kholo kyuun sarf-e-nazar karte ho anjaam se apne qudrat to taraf-daar kisi ki nahin logo! ham to hain faqat dil-zada-e-zauq-e-tamaashaa rum ham se abas karte ho ai zohra-nigaaho! ham chashm-e-sahar, dida-e-shab, dast-e-sabaa hain parda to hai naa-mahramon se laala-azaaro! vo qaum ki naam is kaa musalmaan hai 'khaalid' kyaa yaad hai shart antum-ul-aalaun ki us ko?"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"main baat kaun se pairaaya-e-bayaan mein karun jo sochtaa huun use kis zabaan mein likhun katar diye hain zamaane ne pankh khvaabon ke bharaa hai saaghar-e-hasrat mein aarzuon kaa khuun nahin hai kushta-e-khubaan kaa khun-bahaa koi ai ahl-e-shauq na khaao fareb harf-e-fusun kabhi hai chaand kaa haala naqaab-e-laala kabhi anile rang dikhaati hai zulf-e-ghaaliya-gun zamaam-e-raahila-e-dil khirad ke haath mein do ki maarti hai havas is navaah mein shab-khun ab is ko khaana-kharaabi kaho ki maamuri zamin mein saath khazaane ke dhans gayaa qaarun banu-tamim ho tum main salaama-bin-jindal bilaa-javaaz tumhaari sanaa main kaise karun parindgaan-e-bayaabaan karein vasila jise main us amiin ke khirman ke khosha-chinon mein huun shahid-e-ilm bhi huun zinda-e-mohabbat bhi ba-faiz-e-zauq-e-salim-o-tabiat-e-mauzun sharik-e-zumra-e-mehnat-kashaan hai shaa'ir bhi bahaa-e-sad-nafas-e-khun-chakaan hai ik mazmun anaaDi-pan na kaho meri saada-lauhi ko huun nau-niyaaz magar kuhna-mashq-e-jazb-o-junun balaa-e-jabr bhi hai paa-e-ikhtiyaar bhi hai qusur-vaar huun main yaa sadaa-e-kun-fayakun daraa-e-farra-e-farhang dekho rang-e-sukhan abul-kalaam nahin main abul-maaani huun"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"qurb nas nas mein aag bhartaa hai vasl se iztiraab baDhtaa hai main faqat ek khvaab thaa teraa khvaab ko kaun yaad rakhtaa hai aaj ki shab shab-e-qayaamat hai dil miraa be-tarah dhaDaktaa hai faqr kyaa hai ba-dost pevastan gham kaa irfaan hai aagahi kyaa hai main milaataa huun sher-o-aatish ko fan mujhe kimiyaa kaa aataa hai tosha-e-raah-e-ishq hai andoh gham dilon ko qarib laataa hai sher-e-taaza hai tohfa-e-shaaer mushk-e-naafa hiran ne uglaa hai qillat-e-kulfat-o-takalluf mein raahat-e-qalb-e-naa-shakebaa hai aish-e-naa-paaedaar par naazaan aadmi kitnaa bholaa-bhaalaa hai jaan kaa sarfa ho to ho lekin sarf karne se ilm baDhtaa hai kise paas-e-maraatib-e-alfaaz hashr-e-maani se qatl barpaa hai paa ke ghaafil kahin na Das le tumhein Daro us se jo tum se Dartaa hai maqsad isbaat-e-zaat hai us se kyaa gale kaa sabab bhi hotaa hai sachche takhliq-kaar ki maanind unghtaa hai khudaa na sotaa hai aab-o-rang-e-hayaat hai us se aarzu jaagton kaa sapnaa hai mere maulaa-karim ne mujh ko ghair-matbua zehn bakhshaa hai yuun lage jaise parda-e-simin aankh kyaa ruuh kaa daricha hai kis ne dekhaa hai parda-e-zulmaat dil ke bhedon ko kis ne paayaa hai kaun mar kar dobaara zinda huaa kaun mulk-e-fanaa se lauTaa hai kar ke yaksar mujhe nazar-andaaz kis se dil ham-kalaam rahtaa hai baavajud-e-fishaar-e-shab hama-shab husn har subh taaza hotaa hai har bun-e-mu banaa hai parda-e-saaz dil ke taaron ko kis ne chheDaa hai baat abdul-aziz-'khaalid' ki daastaan-e-amir-hamza hai"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"ik gham-nasib ko tire gham se mafar nahin fikr-e-jahaan se mukhlisi hai bhi magar nahin vo aashnaa nigaah kam-aamez hi rahi is naa-muraad dil ki duaa mein asar nahin mizhgaan harif-e-kaavish-e-naakhun na ho sakin sozish to hai pe lazzat-e-zakhm-e-jigar nahin ranj-e-giraan ke bojh se taare bhi thak gae is zulmat-e-firaaq ki shaayad sahar nahin phir bhi na jaane qalb-o-nazar muntazir hain kyon muddat se koi saaya lab-e-baam par nahin vaamaandgi-e-dasht-e-tahayyur hai aur main ye mukhtasar hayaat magar mukhtasar nahin siine ki zulmaton mein sulagtaa hai soz-e-ishq dhundli si ek yaad ki nazdik-tar nahin sahraa-e-aarzu mein jaras hai na sang-e-mil dariyaa-e-khaak-o-khun hai tiri rahguzar nahin"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"us chashm-e-mai-gusaar ki aahista naghmagi phir shoala-aafrin nazar aati hai zindagi us shokh ki nigaah mein aayaat-e-khamriyaat shaan-e-rubudgi mein adaa-e-supurdagi phir aam ho gaiin tire jalvon ki nikhatein naghma-taraaz hai tire qaamat ki naazuki ye aur baat hai ki miraa dil udaas hai ab bhi javaan hai us qad-e-raanaa ki dilbari tu dil-girafta kyon hai abhi rahguzaar mein baaqi hai naqsh-e-paa ki shafaq-rang raushni garche charaagh-e-mimbar-o-mehraab bujh gae hotaa hai phir bhi dil mein charaaghaan kabhi kabhi"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid