Quote
"khaDe hain muusaa uThaao pardaa dikhaao tum aab-o-taab-e-aariz hijaab kyuun hai ki khud tajalli bani hui hai hijaab-e-aariz na ruk sakegi ziyaa-e-aariz jo sadd-e-rah ho naqaab-e-aariz vo hogi be-parda rakh ke pardaa ghazab ki chanchal hai taab-e-aariz chhupaa na munh donon haath se yuun taDapti hai barq-e-taab-e-aariz lagaa na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztiraab-e-aariz jo un ko lipTaa ke gaal chumaa hayaa se aane lagaa pasina hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyuun kar sharaab-e-aariz pari jo dekhe kahe taDap kar jo huur dekhe kahe phaDak kar tumhaaraa gesu javaab-e-gesu tumhaaraa 'aariz javaab-e-aariz huzur ghunghaT uThaa ke aaein baDi chamak kis mein hai dikhaaein idhar rahe aaftaab-e-mahshar udhar rahe aaftaab-e-aariz chhupaanaa kyaa ek kaa thaa manzur aaj tak hain jo chaar mashhur zabur tauret mushaf injil paanchvin hai kitaab-e-aariz na kyuun ho daa'vaa baraabari kaa vahaan milaa til yahaan suvaidaa ye nuqta-e-intikhaab-e-aariz hai vo nuqta-e-intikhaab-e-aariz paDaa huun ghash mein mujhe sunghaa do pasina chehre kaa zulf ki bu nahin hai kam lakhlakhe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulaab-e-aariz jo shoala-ru munh chhupaa ke niklaa dhuaan sar-e-raah kuchh kuchh uTThaa lagi vo aatish bane hai jal kar naqaab-e-aariz kabaab-e-aariz na jhepo subh-e-visaal dekho tum aankh se aankh to milaao liye hain gin gin ke main ne bose zabaan par hai hisaab-e-aariz karo na ghusse se laal chehraa bhavon mein Daalo na bal khudaaraa nahin majaal-e-jalaal-e-abru nahin hai taab-e-itaab-e-aariz jo gaal par gaal ham rakheinge shab-e-visaal un ke haath uTheinge tamaanche maareinge pyaar se vo bajeingge chang-o-rubaab-e-aariz kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visaal mein lutf de rahaa hai shabaab-e-zaanu shabaab-e-baazu shabaab-e-sina shabaab-e-aariz janaab-e-'maail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hogaa kaamil paDhaao quraan ke badle is ko bayaaz-e-gardan kitaab-e-aariz"







