SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Jahangir(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hukm de qirtaas par rangin nazaara phunk duun misraa-e-tar mein sunahraa istiaara phunk duun ramz ki baara-dari mein zabt vaajib gar na ho main tayaqqun se ta'ajjub kaa minaara phunk duun mushtari kaa taaj pahne zuhl par asvaar huun gaah sayyaara jalaaun gaah taaraa phunk duun haan isi dariyaa tale aaindagaan kaa shahr hai aatishin lab se agar paani kaa dhaaraa phunk duun ek favvaare ke gesu ek chaubaare ki aankh chashm-e-nazzaara jalaa kar har ishaara phunk duun qalb se uThti hui shaakh-e-tamavvuj hukm de kyaa tanaffus ke sharar se baagh saaraa phunk duun"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"kaam aaiin ta'alluq ki baisaakhiyaan chand maathon pe mahtaab Taanke gae aakhiri saf mein baiThe huon ki kaho kab uThaayaa gayaa aur haanke gae shama-daan-e-ghazal se bhaDakti hui balli-maaraan mein koi haveli nahin gomti ke kinaare andheraa huaa marsiya sun ke majlis se baanke gae chiq uThaai to duniyaa ke baazaar mein khvaahishon ki najaasat kaa ambaar thaa ham ne bajtaa huaa har kaToraa sunaa aur khiDki se chup-chaap jhaanke gae zard sikkon kaa sanduq khultaa rahaa baaT chaDhte rahe maal tultaa rahaa chaar jaanib se boli baDhaai gai sher beche gae lafz aanke gae shaah shaanon pe rakkhe hue takht par devtaa ki samaajat mein masruf thaa bad-duaaein ugalte hue bad-zabaan aah bharte rahe dhuul phaanke gae aakhiri bastiyon ki kahaani suno surkh inTon ki bhaTTi bujhaai gai phuul reti ke niche dabaae gae chaah miTTi ke Tilon se Dhaanke gae jaan-kani ki aziyyat mein gham-khvaar kyaa ek marte hue ko azaadaar kyaa kab lahad mein kahin shama rakkhi gai kyaa kafan mein kabhi phuul Taanke gae"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"firozi tasbih kaa gheraa haath mein jalva-afgan thaa naaranji shamon se hujra khair ki shab mein raushan thaa raah-ravon ne dasht-e-safar mein har ummid sanvaari thi ranj ki raah pe chalne vaalon kaa har khvaab muzayyan thaa raat hui hai khema to naaqe se utaaraa jaaegaa diip kahaan rakkhaa hai jis mein kuchh zaitun kaa roghan thaa rangon ki ye qaab ulaT de tasviron par maaTi lep khoj jo sone ke sikkon kaa ik goshe mein bartan thaa chiin mein sunte hain shaayad ab aaina ijaad huaa varna ik taalaab hi apni aaraaish kaa darpan thaa maatam ki aavaaz uThaai zanjiron ke halqon ne haath bandhe the gardan se par girya shaam-taa-madyan thaa"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"is se pahle kahin imkaan ke minaare par ham mile honge kisi dusre sayyaare par yaar labrez nigaahon se ziyaarat teri raushni aae gire chashm ke andhiyaare par aa tahayyur ke kisi baagh utar jaate hain aur milte hain kamaalaat ke favvaare par manzar-e-misr mein yaaqub ko yusuf dekhe yuun rahe aankh tire husn ke nazzaare par haath aa jaae tabassum kaa tire phuul kabhi paanv paD jaae kabhi aah ke angaare par shorish-e-shahr-e-mubaahaat ki zillat se pare ek hujra hai miraa ijz ke chaubaare par"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"sunaa hai kichaD ke sukhne par hayaat cholaa badal rahi thi shajar se niche utar ke khilqat nahif qadmon pe chal rahi thi vasia raqbe kaa be-nihaayat khatir malba simaT rahaa thaa zaiif taare ki dhonkni se muhib zulmat ubal rahi thi tavaaf karti havaa kaa ronaa mataaf mein ghul machaa rahaa thaa haram ke phaaTak se bain karti koi savaari nikal rahi thi vabaa ki aafat kaa taaziyaana siyaah pushton pe paD chukaa thaa nigaar-khaane ke taaqche mein khabar ki haanDi ubal rahi thi falak ke koThe pe dekhtaa huun nayaa sitaara chamak rahaa hai zamin pe girne se qabl shaayad shuaa qarnon se chal rahi thi salaam karti hui sahar kaa kivaaD chaupaT khulaa huaa thaa falak kaa nilam chamak rahaa thaa nadi mein chaandi pighal rahi thi safar kaa safha khulaa to us par fanaa kaa naqsha banaa huaa thaa hamaaraa nashsha utar chukaa thaa hamaari masti sanbhal rahi thi"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"khushk roTi toDni hai sard paani chaahiye kyaa kisi girje ki kunDi khaTkhaTaani chaahiye ai samaaat us fazaa mein aaj bhi maujud hai haan navaa-e-naghma-e-kun tujh ko aani chaahiye kaahinaa ham se rivaayat kaa mukammal matn sun batn mein jalti hui sham-e-maaani chaahiye saabiqa naqshe pe taaza saltanat ijaad ho aasmaan niilaa banaanaa ghaas dhaani chaahiye gum-shuda suraj ko rotaa hai miraa yaum-e-saped surmai shab ko charaagh-e-aan-jahaani chaahiye husn ke gaare mein aab-e-ishq ki chhinTein milaa champai rangat mein aatish sansanaani chaahiye jism ki gosha-nashini aur kitne roz hai banda-e-rabb-e-ali ko laa-makaani chaahiye"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"gaathaa paDh kar aatish dhonki gangaa se ashnaan main ne har yug nazr guzaari har piDhi mein daan dhyaan lagaa kar aankhein mundin baiThaa ghuTne Tek miThaa lafz bhajan ban utraa sachchaa she'r gunaan maan dharti ko pesh-sukhan ke rang-birange phuul bhaag bhari ko bheinT sunahre misre kaa lobaan saaya sachchal shaah ki ajrak raushan miir charaagh amrohe se uTh kar aae ham baagh-e-multaan sayyaare par zardi utri dariyaa miTTi khushk haathi par haudaj kasvaao naaqe par paalaan ai dharti ke tyaagi uTh kar ghor khalaa mein baiTh agli gaaDi ki ghanTi tak tu hai aur rahmaan farsh lapeTe taare jhaaDe narsange ki phunk paalan-haaraa tu daataa hai kar jo chaahe Thaan manzar aab-o-taab sameTe shaayad hai maujud lams haqiqat 'aks mujassam aavaazon par kaan"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"vajd karti ik duaa kachche makaanon se uThi raushni tasbih ke rangin daanon se uThi surkh aafat se muzayyan takhta-e-gul ki sahar shab ko naaranji qayaamat shama-daanon se uThi sabza-o-gul sab achaanak nilgun hone lage yak-ba-yak jab zard maaTi aasmaanon se uThi laad laane ke liye sarsabz anguron kaa ras hukm aate hi magas chhatte ke khaanon se uThi main sukhan rab-e-ahad ke fazl se karne lagaa istiaaron ki chamak mere khazaanon se uThi ghanTiyaan naaqus taashe sab gulaab-e-subh hain par sahar-khezi ki khushbu bas azaanon se uThi"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"gerve kapDe badan par haath lohe ke kaDe le malaamat-daar suufi dar pe tere aa paDe ikhtiyaaraat-e-dayaar-e-dahr haasil hon mujhe mehr se sonaa-kashidon maah se chaandi jhaDe bhej de mujh ko jahaan-e-hissiyaat-o-lams mein shor se uljhe samaaat aankh se manzar laDe surkh inTon ki gali tak jaaein ham divaana-vaar dafatan apni nigah us ke dariche par paDe us taaffun-gaah saa ik aur sayyaara bhi ho peD marte hon jahaan taalaab mein paani saDe har masihaa-e-zamaan ko khair-maqdam chaahiye taaj ho kaanTon kaa sar par mekh haathon mein gaDe"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"khalq se pahle bataa de kyaa tiraa mauzua hai chitrkaaraa sun yahaan taaza-kashi mamnua hai phuul nazzaare se aage raushni karne ki shai rang ki kaari-gari mein aag bhi majmua hai dasht mein ai shah tiri hargiz amal-daari nahin ye azaa-khaana dayaar-e-hukm se marfua hai zaaicha-saazaa hamaare khvaab ki taqtia kar faal-giraa ye bataa kyaa ab duaa masmua hai vahm kaa suraj huun meraa kyaa taayyun ho sake is tayaqqun-gaah mein meri kiran maqtua hai jal bujhi hogi kisi Dheri mein sarkanDon ki aag kaatib-e-man hausla rakh ab sukhan matbua hai"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"jashn manaao rone vaale girya bhuul ke mast rahein saarangi ke tiir samaaat mein imshab paivast rahein iraani ghaaliche ke chau-gard nashistein qaaem hon kafuri shamon se raushan paiham ahl-e-hast rahein kasavaayaa jaae ghoDon se lakDi ke pahiyon kaa rath tabl alam asvaar payaade saare bandobast rahein rang-e-saped-o-siyaah sunahri sab shaklon mein zaahir hon aag se apni raakh uThaa kar sonaa chaandi jast rahein naqqaare par choT maraatib kaa elaan sunaati hai phuus ki kuTiyaaein marmar ki divaaron se past rahein ek taraf kuchh honT mohabbat ki raushan aayaat paDhein ik saf mein hathiyaar sajaae saare jang-parast rahein"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"tu zabaan-e-dehli-o-lahaur kaa parvardigaar main sukut-e-gilgit-o-askar do-paara-e-chanaar bakriyaan roz-e-azal se koh ki rasta shanaas ai sunahri ziin vaale nuqrai rath ke savaar gulshan-e-izhaar ke do khsrav-o-sarmast phuul rang se raushan zamin-e-hind az-taa kohsaar yaar ham do mukhtalif duniyaaon ke tashrih gar tu kisi firqe kaa shaair main lisaan-e-kirdgaar ungliyon mein raushni dete zamurrad ke charaagh marmarin baazu kaa halqa surkh yaaquti hisaar raushni taarik raste se zamin tak aa gai biij ko shauq-e-numu ne kar diyaa hai aashkaar"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"is se pahle kahin imkaan ke minaare par ham mile honge kisi dusre sayyaare par yaar labrez nigaahon se ziyaarat teri raushni aae gire chashm ke andhiyaare par aa tahayyur ke kisi baagh utar jaate hain aur milte hain kamaalaat ke favvaare par manzar-e-misr mein yaaqub ko yusuf dekhe yuun rahe aankh tire husn ke nazaare par haath aa jaae tabassum kaa tire phuul kabhi paanv paD jaae kabhi aah ke angaare par shorish-e-subh digar-gun mein sambhalne ke liye haath rakhtaa huun mohabbat ke guhar-paare par"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"ruk dekh yaar khinch le tasvir vaqt par akhroT toDti hai gilahri darakht par shaayad kahin se abr-e-karam kaa zuhur ho dariyaa pe ek aankh lagaa ek dasht par khiDki mein subh vaadi-e-kailaash kaa zuhur utre avadh ki shaam kisi roz takht par rath se hatheliyon pe utarti are ghazab makhmal ghasiTti hai zamin-e-karakht par gul surkh rang ghaas hari nilgun falak ai kirdgaar shukr tire bandobast par takhliq kaa tilism kabhi dekhne chalein ham aakhiruzzamaan bhi hain baab-e-alast par"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"shiraaz ki mai marv ke yaaqut sambhaale main koh-e-damaavand se aa pahunchaa himaale hove to rahe shisha-o-aahan ki hukumat kaansi ki miri tegh hai miTTi ke pyaale har shakhs ba-andaaz-e-digar vaasil-e-shak thaa uTThaa main tiri bazm se iqaan sambhaale ab ishq-e-navardi hi Thikaane se lagaae sho'la na jalaae mujhe girdaab uchhaale hone ki khabar bhi na tiraa hijr-zada de bhar leve kabhi aah kabhi sham' jalaa le bose kaa talazzuz ho kabhi tauf ki raahat armaan miraa ye dil-e-kaafir bhi nikaale ibhaam ke reshon se banaa baagh-e-takhayyul ho jaae kabhi chashm-e-tahayyur ke havaale"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"bad-nasibi ki suuli pe niind aa gai khvaab dekhaa magar khvaab ne kyaa diyaa khush-gumaani ki khush-rang qindil ne naa-muraadon ko sahraa mein bhaTkaa diyaa shaamiyaane mein dariyaan lapeTi gaiin dost uThne lage kuchh ne kandhaa diyaa bain karte hui aurtein haT gaiin aur mere janaaze ko rasta diyaa do ghaDi mein miri asr Dhalti hui uTh ke maghrib ki divaar se jaa lagi aur maadum hote hue chaand ne aah bharti hui shab ko pursa diyaa main tavaqquf ke kone mein gosha-nashin 'mir' saahib ki tasvir taktaa rahaa shabd parde ke pichhe se zaahir hue sher ne jhuk ke haathon ko bosa diyaa aasmaani sahifon ki taarikh hai naa-shanaason mein haadi sataae gae paak-baazon pe tohmat lagaai gai paarsaaon ko duniyaa ne dhoka diyaa jab zamaane ke haathon sataae hue chand saadaat multaan mein bas gae maai dharti ne maathon ki taazim ki shaah-e-dariyaa ne talvon ko bosa diyaa yaar ‘ahmad-jahaangir' jiite raho shahr mein khair-maqdam kaa hangaam thaa vaah barbat ko sahraa mein pheink aae ho aur mashal ko miTTi mein dafnaa diyaa"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"zanjiron se bandhaa huaa har ek yahudi taktaa thaa koson duur se baabul kaa raushan minaar chamaktaa thaa ghaar ki rangin tasviron ko aur zamaane dekheinge ham ne bas vo naqsh kiyaa jo us lamhe ban saktaa thaa ik shaffaaf dariche mein kuchh rang birange manzar the gul-daanon mein phuul farozaan aatish-daan bhaDaktaa thaa main jis masnad par thaa vo to ik goshe mein rakkhi thi aur daricha chupke se manzar ki samt saraktaa thaa baarish chhappar tez havaaein misri jaise sindhi giit yaar saraae ke chulhe par miThaa qahva paktaa thaa jangal gaanv parinde insaan qisse mein sab laakhon the sayyaare kaa suraj lekin tanhaai mein yaktaa thaa"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir