SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Khayal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi an-dekhi fazaa tasvir karnaa chaahiye khvaab ki buniyaad par taa'mir karnaa chaahiye main bhaTaktaa phir rahaa huun vaahimon ke darmiyaan gard lipTi ruuh ki tathir karnaa chaahiye jin dinon divaangi Thahri hui ho zaat mein ek duniyaa un dinon taskhir karnaa chaahiye jis sadaa mein sau tarah ke rang jhilmil karte hon vo sadaa har haal mein tasvir karnaa chaahiye jald-baazi de gai hai rat-jagon ke silsile faisle mein thoDi si taakhir karnaa chaahiye ab bagule mujh mein hain aur main bagulon mein 'khayaal' dasht mein divaangi zanjir karnaa chaahiye"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"jaisi honi ho vo raftaar nahin bhi hoti raah is samt ki hamvaar nahin bhi hoti main tahi-dast laDaai ke hunar sikhtaa huun kabhi is haath mein talvaar nahin bhi hoti phir bhi ham log the rasmon mein aqidon mein judaa gar yahaan biich mein divaar nahin bhi hoti vo miri zaat se inkaar kiye rakhtaa hai gar kabhi surat-e-inkaar nahin bhi hoti jis ko bekaar samajh kar kisi kone mein rakhein aisaa hotaa hai ki bekaar nahin bhi hoti dil kisi bazm mein jaate hi machaltaa hai 'khayaal' so tabiat kahin be-zaar nahin bhi hoti"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"dasht o junun kaa silsila mere lahu mein aa gayaa ye kis jagah pe main tumhaari justuju mein aa gayaa vo sarv-qaamat ho gayaa hai dekhte hi dekhte jaane kahaan se zor saa us ki numu mein aa gayaa bas chand lamhe pesh-tar vo paanv dho ke palTaa hai aur nuur kaa sailaab saa is aabju mein aa gayaa chaaron taraf hi titliyon ke raqs hone lag gae tu aa gayaa to baagh saaraa rang-o-bu mein aa gayaa main jhumte hi jhumte 'ahmad' tamaashaa ban gayaa jab aks us ke raqs kaa mere subu mein aa gayaa"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"ghubaar abr ban gayaa kamaal kar diyaa gayaa hari bhari ruton ko meri shaal kar diyaa gayaa qadam qadam pe kaasa le ke zindagi thi raah mein so jo bhi apne paas thaa nikaal kar diyaa gayaa main zakhm zakhm ho gayaa lahu vafaa ko ro gayaa laDaai chhiD gai to mujh ko Dhaal kar diyaa gayaa gulaab-rut ki deviyaan nagar gulaab kar gaiin main surkh-ru huaa use bhi laal kar diyaa gayaa vo zahr hai fazaaon mein ki aadmi ki baat kyaa havaa kaa saans lenaa bhi muhaal kar diyaa gayaa"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"ghubaar-e-abr ban gayaa kamaal kar diyaa gayaa hari-bhari ruton ko meri shaal kar diyaa gayaa qadam qadam pe kaasa le ke zindagi thi raah mein so jo bhi apne paas thaa nikaal kar diyaa gayaa main zakhm zakhm ho gayaa lahu vafaa ko ro gayaa laDaai chhiD gai to mujh ko Dhaal kar diyaa gayaa gulaab-rut ki deviyaan nagar gulaab kar gaiin main surkh-ru huaa use bhi laal kar diyaa gayaa tu aa ke mujh ko dekh to ghubaar ke hisaar mein tire firaaq mein ajiib haal kar diyaa gayaa vo zahr hai fazaaon mein ki aadmi ki baat kyaa havaa kaa saans lenaa bhi muhaal kar diyaa gayaa"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"dasht mein vaadi-e-shaadaab ko chhu kar aayaa main khuli-aankh hasin khvaab ko chhu kar aayaa us ko chhu kar mujhe mahsus huaa hai aise jaise main resham-o-kim-khvaab ko chhu kar aayaa mujh ko maalum hai poron ke damakne kaa javaaz raat main khvaab mein mahtaab ko chhu kar aayaa jism ke saath miri ruuh bhi nam hone lagi jab se us dida-e-pur-aab ko chhu kar aayaa ruuh ki kaai isi taur se chhaTnaa thi so main subh-dam mimbar-o-mehraab ko chhu kar aayaa murtaish kirnon kaa raqs ek ghaDi bhi na thame chaand kis tarz ke taalaab ko chhu kar aayaa"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"zindagi khauf se tashkil nahin karni mujhe raat se zaat ki takmil nahin karni mujhe kisi darvesh ke hujre se abhi aayaa huun so tire hukm ki taamil nahin karni mujhe chhoD di dasht-navardi bhi ziyaan-kaari bhi zindagi ab tiri tazlil nahin karni mujhe dil ke baazaar mein zanjir-zani honi nahin aankh bhi aankh rahe jhiil nahin karni mujhe main ki ilhaad ke girdaab mein aayaa huaa huun ab kisi ilm ki tahsil nahin karni mujhe laDte rahnaa hai tasalsul se mujhe subh talak aur talvaar bhi tabdil nahin karni mujhe"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"main vahshat-o-junun mein tamaashaa nahin banaa sahraa mire vajud kaa hissa nahin banaa is baar kuza-gar ki tavajjoh thi aur samt varna hamaari khaak se kyaa kyaa nahin banaa soi hui anaa mire aaDe rahi sadaa koshish ke baavajud bhi kaasa nahin banaa ye bhi tiri shikast nahin hai to aur kyaa jaisaa tu chaahtaa thaa main vaisaa nahin banaa varna ham aise log kahaan Thahrte yahaan ham se falak ki samt kaa ziina nahin banaa jitne kamaal-rang the saare liye gae phir bhi tire jamaal kaa naqsha nahin banaa rokaa gayaa hai vaqt se pahle hi meraa chaak mujh ko ye lag rahaa hai main puuraa nahin banaa"
Ahmad KhayalAhmad Khayal
Quote
"dariyaa mein dasht dasht mein dariyaa saraab hai is puuri kaaenaat mein kitnaa saraab hai rozaana ik faqir lagaataa hai ye sadaa duniyaa saraab hai are duniyaa saraab hai muusaa ne ek khvaab-e-haqiqat banaa diyaa vaise to gahre paani mein rasta saraab hai puuri tarah se haath mein aayaa nahin kabhi vo husn-e-be-misaal bhi aadhaa saraab hai khultaa nahin hai ret hai paani ki aur kuchh meri nazar ke saamne pahlaa saraab hai suraj ki tez dhuup mein dhoka har ek shai kaali ghaTaa si raat mein saaya saraab hai"
Ahmad KhayalAhmad Khayal