Quote
"dard ki daulat-e-naayaab ko rusvaa na karo vo nazar raaz hai us raaz kaa charchaa na karo vusat-e-dasht mein divaane bhaTak jaate hain dosto aahu-e-ram-khurda kaa pichhaa na karo tum muqaddar kaa sitaara ho mire paas raho tum jabin-e-shab-e-namnaak pe ubhraa na karo pas-e-divaar bhi divaar kaa aalam hogaa tum yunhi rauzan-e-divaar se jhaankaa na karo ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaaro jab havaa tez chale raah mein Thahraa na karo yaa dil-o-dida ko tanvir-e-mohabbat bakhsho yaa dam-e-subh zamaane mein ujaalaa na karo ye jahaan-e-guzaraan haath kise aayaa hai pichhe muD muD ke kisi shakhs ko dekhaa na karo bhaagte lamhe ko kab rok sakaa hai koi vo to ik saaya hai saae ki tamannaa na karo sar salaamat nahin rahte hain zabaan kaTti hai pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo pyaas bujhti hai kahaan tapte bayaabaanon ki miri aankhon miri aankho yunhi barsaa na karo ziist hai tez-qadam aage nikal jaaegi tum kisi moD pe rukne kaa iraada na karo kuchh idhar saae hain jo baDh ke lipaT jaate hain 'akhtar' is raah se ho kar kabhi guzraa na karo"







