SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnjum Irfani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho meri aankhon se lahu bahtaa hai kab se puchho lamhe lamhe mein huaa jaataa huun reza reza vajh kuchh mujh se na puchho mire rab se puchho vo to suraj hai har ik baat kaa shoala hai javaab ru-ba-ru aa ke kaho yaa ki aqab se puchho yaad hai qissa-e-gham kaa mujhe har lafz abhi haal jis dard kaa jis ranj kaa jab se puchho tai havaa kaise andheron ke samundar kaa safar ghaaza-e-subh se kyaa chaadar-e-shab se puchho zakhm dekho mire talvon ke na chehre kaa ghubaar mujh pe kyaa guzri hai ye raah-e-talab se puchho kitne sahraa ki simaT aae hain siine mein mire tishnagi meri na sukhe hue lab se puchho yuun na har chehre pe ab Daalo savaali nazrein us ke kuche kaa pata tum to na sab se puchho mujh se kyaa puchhte ho saare hi lamhon kaa hisaab mil ke jis moD se ham bichhDe hain tab se puchho harf-e-haq kahne mein kyaa kyaa na hue ham pe sitam puchhnaa hi hai to bu-jahl o lahb se puchho jumbish-e-lab ki tumhein bhi hai ijaazat 'anjum' baat jo puchho bahar-haal adab se puchho"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"ab is saada kahaani ko nayaa ik moD denaa thaa zaraa si baat par ahd-e-vafaa hi toD denaa thaa mahaktaa thaa badan har vaqt jis ke lams-e-khush-bu se vahi gul-dasta dahliz-e-khizaan par chhoD denaa thaa shikast-e-saaz-e-dil kaa umr bhar maatam bhi kyaa karte ki ik din hanste hanste saaz-e-jaan hi toD denaa thaa safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete bahar-surat hamein in aablon ko phoD denaa thaa ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aakhir lahu ki aanch mein TuuTe dilon ko joD denaa thaa vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paimaan kaa kitaab-e-zindagi ke is varaq ko moD denaa thaa banaayaa hi nahin ham ne kabhi ye soch kar 'anjum' ki gautam ki tarah ik din hamein ghar chhoD denaa thaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diyaa gayaa jo aib thaa use bhi hunar kah diyaa gayaa saaya hai pyaar kaa na mohabbat ki dhuup hai divaar ke hisaar ko ghar kah diyaa gayaa in ke har ek goshe mein sadiyaan muqim hain TuuTi imaaraton ko khanDar kah diyaa gayaa khuddaari-e-anaa hai na pindaar-e-zist hai shaanon ke saare bojh ko sar kah diyaa gayaa aangan mein har makaan ke andheron kaa raaj hai mahlon ki raushni ko sahar kah diyaa gayaa kuchh khauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yaar khush-gaamiyon ko ranj-e-safar kah diyaa gayaa hairat darogh maslahat-aamez par ho kyaa be-barg jhaaDiyon ko shajar kah diyaa gayaa dekhaa kahaan hai aag ke dariyaaon kaa safar jugnu uDe to raqs-e-sharar kah diyaa gayaa kuchh ehtiraam-o-husn-e-aqidat ke josh mein har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diyaa gayaa khul jaaegaa bharam tiri mizaan-e-adl kaa do ek harf-e-jurm agar kah diyaa gayaa naa-aashnaa-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-aam hai vo raasta bhi raahguzar kah diyaa gayaa yuun khush hain jaise vaaqiatan ho gae khudaa majburiyon ke zer-e-asar kah diyaa gayaa 'anjum' yahaan tak aane mein kyaa kyaa guzar gai mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diyaa gayaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"is ne dekhaa hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah phuul pheinkaa bhi miri samt to patthar ki tarah us ke lab ko mire lab rah gae chhute chhute main bhi naakaam chalaa aayaa sikandar ki tarah rang suraj kaa sar-e-shaam huaa jaataa hai zard us kaa bhi ghar na ho viraan mire ghar ki tarah dard us ahd ki miraas hai Darnaa kaisaa dard ko oDh liyaa karte hain chaadar ki tarah log har lamha badalte hain nazariye apne zehn-e-insaan bhi tavaaif ke hai bistar ki tarah ab ki yurish mein kahin gir hi na jaae ye fasil shor rahtaa hai mire dil mein samundar ki tarah kaisaa is ahd mein paimaan-e-vafaa log ab to dost har saal badalte hain calender ki tarah lafz aate hi mire lab pe laraz jaate hain haal-e-dil sunte hain ab vo kisi afsar ki tarah vahi paabandi-e-auqaat vahi maamulaat zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah ho gayaa khaak-nashin par ye jhukaae na jhukaa kisi sar mein bhi na saudaa ho mire sar ki tarah 'anjum' is ahd mein TuuTe hue dil ke rishte joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"ab kisi andhe safar ke liye tayyaar huaa chaahtaa hai ik zaraa der mein rukhsat tiraa bimaar huaa chaahtaa hai aakhiri qist bhi saanson ki chukaa degaa chukaane vaalaa zindagi qarz se tere vo subuk-baar huaa chaahtaa hai raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-daanish munkashif aaj vahi raaz sar-e-daar huaa chaahtaa hai dil-e-vahshi ke bahalne kaa nahin ek bhi saamaan yahaan mahfil-e-zohd-e-mizaajaan se ye bezaar huaa chaahtaa hai dekh leni thi tujhe sina-e-aafat-zadagaan ki sakhti teraa har tir-e-hadaf-kaar hi bekaar huaa chaahtaa hai phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makaan khuun mein vahshi-e-khvaabida bhi bedaar huaa chaahtaa hai dard-e-dil baanTtaa aayaa hai zamaane ko jo ab tak 'anjum' kuchh huaa yuun ki vahi dard se do-chaar huaa chaahtaa hai"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"fasil-e-jism pe shab-khun sharaartein teri zaraa si bhi nahin badli hain aadatein teri ye zakhm zakhm badan aur lahu lahu ye khvaab kitaab-e-jism pe utri hain aayatein teri hisaar-e-aatish-e-namrud mein ghiraa huun main ab itni sust qadam kyuun hain rahmatein teri charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri ye mauj mauj lahu mein tire badan kaa nasha talaash kartaa hai har lamha qurbatein teri ai rashk-e-sarv-o-sanobar-qadaan khiraam-e-naaz ki raah dekh rahi hain qayaamatein teri miri havas ke samundar mein madd-o-jazr nahin pe-zavaal na hon chaand-chaahatein teri ukhaDne vaali thi jis dam tanaab saanson ki dar aaiin khema-e-dil mein bashaaratein teri ise sambhaal, huaa jaa rahaa hai zer-o-zabar ki dil pe laai hui sab hain aafatein teri adaa huaa na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr main kis zabaan se karungaa shikaayatein teri vo aankhon aankhon mein raaton kaa kaaTnaa teraa vo baaton baaton mein 'anjum' ibaadatein teri"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"lahje kaa ras hansi ki dhanak chhoD kar gayaa vo jaate jaate dil mein kasak chhoD kar gayaa mauj-e-havaa-e-gul saa vo guzraa thaa ek baar phir bhi mashaam-e-jaan mein mahak chhoD kar gayaa aayaa thaa pichhli raat dabe paanv mere ghar paazeb ki ragon mein jhanak chhoD kar gayaa larza giraft-e-lams ki lazzat se baar baar baanhon mein shaakh-e-gul ki lachak chhoD kar gayaa aayaa thaa shahr-e-gul se bulaavaa mire liye zindaan mein beDiyon ki chhanak chhoD kar gayaa thaa dekhnaa kuchh apnaa tilism-e-hunar use baagh-e-bahisht o huur o malak chhoD kar gayaa aavaara ku-ba-ku ye use DhunDhti phire paa-e-havaa mein kaisi sanak chhoD kar gayaa hanste the zakhm aur bhi khaa khaa ke zarb-e-sang raahon mein phuul duur talak chhoD kar gayaa haathon mein de ke khinch liin resham-kalaaiyaan kamre mein chuDiyon ki khanak chhoD kar gayaa aankhein na us ki baar-e-nadaamat se uTh sakin zakhmon pe mere aur namak chhoD kar gayaa palkon pe jugnuon kaa baseraa hai vaqt-e-shaam 'anjum' main paaniyon mein chamak chhoD kar gayaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"baDi farz-aashnaa hai sabaa kare khuub kaam hisaab kaa phir uDaa ke le gai ik varaq miri zindagi ki kitaab kaa kahun kyaa ki dasht-e-hayaat mein rahaa silsila vo saraab kaa kabhi hausla hi na kar saki miri aankh dariyaa ke khvaab kaa na ataa-e-dukhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saaqi-e-mai-nafas jo chaDhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharaab kaa sar-e-raah mil ke bichhaD gae thaa bas ek pal kaa vo haadsa mire sehn-e-dil mein muqim hai vahi ek lamha azaab kaa mire saath saath safar mein hai mire ghar ki saari hamaahami sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phuul gulaab kaa do farishta dast-e-balaa liye do chhalakte jaam takaa kiye mire ham-rikaab vo mauj-e-gul vahi sail-e-chashm-e-pur-aab kaa main agarche kar bhi chukaa raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham magar intizaar hai dam-ba-dam mujhe pahle khat ke javaab kaa ye jo mere saaghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai khuun ki kashid hai yahi ek umr kaa maa-hasal yahi tosha khaana-kharaab kaa zaraa soch anjum-e-naa-tavaan ye vafaa kaa zikr kahaan kahaan sar-e-bazm kar na ise bayaan ye sabaq hai sirf nisaab kaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"havaa ke haath mein yaadon ki jab pichkaariyaan hongi bhaDak uTTheingi jo bhi raakh mein chingaariyaan hongi dar-o-divaar ko hi ghar nahin kahte hain kyaa jaaun lachakti shaakh-e-gul hogi na hansti kyaariyaan hongi mire aangan mein barg-e-khushk daalaanon mein sannaaTe kushaada kamron mein dimak-zada almaariyaan hongi idhar sach bolne ghar se koi divaana niklegaa udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyaariyaan hongi ham ahl-e-dil ke jo kuchh dil mein hai lab par vahi baatein vo ahl-e-hosh hain un ke yahaan ayyaariyaan hongi hamaaraa kyaa chale jaaeinge hanste shahr se tere hamaare baa'd divaaron pe khuun ki dhaariyaan hongi saron se pur hain gaDDhe khuun kaa chhiDkaav hai har-su vo aaein be-khatar raahon mein ab hamvaariyaan hongi main shahr aayaa baDe hi shauq se lekin khabar kyaa thi yahaan aankhein bichhaae raah mein be-kaariyaan hongi vo uTThaa kaarvaan-e-subh ki aamad kaa shor 'anjum' sharik-e-bazm-e-shab mein kuuch ki tayyaariyaan hongi"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"raqs-e-junun ki garmi-e-taasir dekhnaa khultaa hai kaise halqa-e-zanjir dekhnaa ghis ghis ke pattharon ko banaayaa hai aaina dekhein vo khvaab ham ko hai taabir dekhnaa harbe sab un ke un ko hi lauTaa diye gae hairat se ban gae hain vo tasvir dekhnaa likh di zabaan-e-zakhm mein rudaad-e-zindagi jismon pe us ki shokhi-e-tahrir dekhnaa ab to vajud-e-maqtal-o-zindaan pe aa bani ab beDiyaan na tauq na zanjir dekhnaa dekhe hain baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel uTh kar zaraa karishma-e-tadbir dekhnaa qasr-e-hayaat-e-nau ki hai baarud par binaa 'anjum' ye paaedaari-e-taamir dekhnaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"dhuup aati nahin rukh apnaa badal kar dekhein chaDhte suraj ki taraf ham bhi to chal kar dekhein baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisaar ham bhi ik roz kisi shama pe jal kar dekhein saahib-e-jubba-o-dastaar se kah de koi is bulandi pe vo dekhein to sambhal kar dekhein kyaa ajab hai ki ye muTThi mein hamaari aa jaae aasmaan ki taraf ik baar uchhal kar dekhein daagh daaman pe kisi ke na koi haath hi tar kyuun na chehre pe lahu apnaa hi mal kar dekhein kis tarah samt-e-mukhaalif mein safar karte hain ham bahte dhaare se kabhi aap nikal kar dekhein khaak mein mil ke fanaa honge jo moti hain yahaan jab bhi ji chaahe ye aankhon se ubal kar dekhein yak-ba-yak jaan se guzarnaa to hai aasaan 'anjum' qatra qatra kai qiston mein pighal kar dekhein"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain us ke ishaare saare mubham hote hain har chehra har rang mein aane lagtaa hai pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain aise mein aa jaati hai apni hi yaad aaina hotaa hai aur ham hote hain bhulne lagte hain jugnu bhi apni raah palkon par jab qatra-e-shabnam hote hain mauj-e-balaa jab sar se guzarne lagti hai mazlumon ke haath hi parcham hote hain muTThi se phisle hi jaate hain har phal vasl ke lamhe taar-e-resham hote hain kyaa jaane jo divaar-o-dar kaa hai asiir raahon mein kyaa kyaa pech-o-kham hote hain koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad zakhmon par vo lamhe marham hote hain 'anjum' jalne lagte hain har samt diye dard ke hamle dil par paiham hote hain"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"ye raat Dhalte Dhalte rakh gai javaab ke liye ki teri aankhein jaagti hain kis ke khvaab ke liye kitaab dil pe likhne ki ijaazat us ne di na thi hai saada aaj bhi varaq ye intisaab ke liye miri nazar mein aa gayaa hai jab se ik sahifa-rukh kashish rahi na dil mein ab kisi kitaab ke liye hamaari mahzar-e-amal hai zer-e-faisla abhi khaDe hain sar jhukaae kab se ehtisaab ke liye puraane paD chuke kabhi ke sab tariqa-e-sitam kharaabi aur chaahiye dil-e-kharaab ke liye samajh rahe hain sab yahaan hai zindagi azaab-e-jaan magar ye bhaag-dauD hai isi azaab ke liye tamaam jism zakhmon se gulaab-zaar ho gayaa to laD rahe hain 'anjum' ab ye kis gulaab ke liye"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"itni saari shaamon mein ek shaam kar lenaa sog chand lamhon kaa mere naam kar lenaa lauT kar yaqinan main ek roz aaungaa palkon pe charaaghon kaa ehtimaam kar lenaa ik janm kaa main pyaasaa raasta bhi hai lambaa ek qulzum-e-mai kaa intizaam kar lenaa ham fanaa-nasibon ko aur kuchh nahin aataa khuun sharaab kar lenaa jism jaam kar lenaa ye parind parvaarda hai khuli fazaaon kaa sabz baagh dikhlaa kar zer-e-daam kar lenaa khaak se hamaari bhi ho kabhi guzar teraa bar-zabaan-e-sham-o-gul kuchh kalaam kar lenaa be-takallufaana aa saada-lauh logon mein rang-aashnaaon mein jashn-e-baam kar lenaa vaqt-e-shaam palkon par jhilmilaa uThein taare shaamil-e-duaa 'anjum' kaa bhi naam kar lenaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani