SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tajassus kaahe kaa kyaa ho gayaa hai vo bichhDaa kab hai tujh mein kho gayaa hai vahi ik shakhs jo kuchh bhi nahin thaa mujhe apnaa ke sab kuchh ho gayaa hai chhaTaa to kyaa hai tere gham kaa baadal baras kar aur gahraa ho gayaa hai mohabbat mein to raatein jaagti hain koi kuchh soch kar hi so gayaa hai vo itne sang-dil pahle kahaan the miraa milnaa qayaamat ho gayaa hai mujhe be-maut ab marnaa paDegaa sunaa hai koi meraa ho gayaa hai ghazal kah kar gham-e-jaanaan se 'anjum' taalluq aur gahraa ho gayaa hai"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"guzreinge tere daur se jo kuchh bhi haal ho khud kaun chaahtaa hai ki jiinaa muhaal ho main ne tamaam-umr guzaari hai dil ke saath laao mire huzur jo amr-e-muhaal ho ye soch kar fareb-e-mohabbat mein aa gae ham itne khush kahaan jo natija malaal ho main jaise ajnabi koi apne dayaar mein tum jaise mere zehn mein koi savaal ho dil ke muaamalaat hi yaaro ajiib hain apni khabar nahin hai to kis kaa khayaal ho ham ehtiyaat-e-dida-o-dil se guzar chuke aa jaae saamne jo khudaa-e-jamaal ho soz-e-gham-e-hayaat se 'anjum' gurez kar lohaa nahin hai dil jo tapaane se laal ho"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"koshish-e-zabt nahin ai dil-e-naashaad nahin iltijaa apni hadon mein ho to fariyaad nahin qissa-e-dard kisi aur ki rudaad nahin ek meri hi ghazal hai jo mujhe yaad nahin choT khaa kar bhi labon par mire fariyaad nahin aur kyaa hai jo ye taufiq-e-khudaa-daad nahin tum kabhi pursish-e-haalaat ki zahmat to karo kaun si baat hai aisi jo mujhe yaad nahin kis qadar tuul thi miaad-e-asiri tauba ab bhi ye vahm saa hotaa hai ki aazaad nahin tu ne kis ke liye kaanTon ko sajaayaa tu jaan main ne kyon phuul chune the ye mujhe yaad nahin yuun to har rang mein hai tere karam ki taarikh qaabil-e-zikr koi baat mujhe yaad nahin apne hi saae mein guzraa huun har ik daur se main tum mire saath kahaan tak the mujhe yaad nahin raat-din sarf-e-ibaadat to nahin hai 'anjum' lekin un mein bhi nahin jin ko khudaa yaad nahin"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"jab bhi ye baat chali hai ki khudaa hai koi meri tasvir mujhe saunp gayaa hai koi soch phir soch ye meaar-e-vafaa hai koi kaam aa jaae to samjhein ki khudaa hai koi meri qismat mire maathe hi pe likh di hoti khul to jaataa ki gunahgaar-e-vafaa hai koi aaj se ishq ki taarikh badal jaaegi aaina laao mujhe dekh rahaa hai koi log betaab hain taaid-e-sadaaqat ke liye ek aavaaz to aae ki khudaa hai koi faaslon mein kisi tafriq kaa ehsaas na thaa ek hote hi ye samjhe ki judaa hai koi aur kuchh tazkira-e-soz-e-tamannaa 'anjum' sab ko maalum to ho tujh se milaa hai koi"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"har shakhs vafaa se haT chukaa hai shishon pe ghubaar aT chukaa hai dil-taa-ba-dimaagh phaT chukaa hai ye shahr kaa shahr ulaT chukaa hai chehron pe damak kahaan se aae suraj kaa vaqaar ghaT chukaa hai rishton mein khulus hi kahaan thaa pahle bhi ye duudh phaT chukaa hai izhaar-e-khulus karne vaalaa andar se bahut palaT chukaa hai itne bhi udaas kab the ham log zaahir hai ki dil simaT chukaa hai taarikh-e-vafaa mein kyaa milegaa aankhon mein jo vaqt kaT chukaa hai ab saamne bhi vo aaein to kyaa dil apni taraf palaT chukaa hai dil hai ki usi ki nazr 'anjum' jis dard kaa bhaav ghaT chukaa hai"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"jab tak mausam biit na jaae chehron par kyaa surkhi aae dil ab un ke naaz uThaae pyaar kiyaa hai choT bhi khaae ishq mein ye lamhaat bhi aae simTi dhuup na phaile saae luuT jahaan tak luuTaa jaae shaayad phir ye daur na aae aag bhi barse abr bhi chhaae mausam kyaa jo tanhaa aae un ko dar dar DhunDne vaalaa ho saktaa hai khud kho jaae dil par ab kyaa qahr nahin hai kis ki aankh mein aansu aae apni chhaanv mein chalne vaalaa pahle har divaar giraae saaya to hai dhuup kaa TukDaa chhaanv kahaan jo Thahraa jaae ab tak manzil ek tasavvur aage jo kuchh vaqt bataae 'anjum' koi to apnaa hogaa sochaa lekin soch na paae"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"ye kyaa shikva ki vo apnaa nahin hai mohabbat khuun kaa rishta nahin hai jo main ne kah diyaa ho kar rahegaa miraa mashrab gham-e-fardaa nahin hai bahut pahle main us ko paDh chukaa huun meri qismat mein jo likkhaa nahin hai ghaTaa rahtaa hai dil mein kuchh dhuaan saa ye baadal aaj tak barsaa nahin hai javaani jitne munh utni hi baatein mohabbat aaj bhi rusvaa nahin hai vafaa mein raahatein kyaa DhunDte ho vafaa divaar hai saaya nahin hai ye baat ahl-e-nazar kab jaante hain akelaa to hai dil tanhaa nahin hai sahi apne na ban paae kisi ke koi apnaa na ho aisaa nahin hai mizaaj-e-yaar se naalaan ho 'anjum' tumhein shaayad ghazal kahnaa nahin hai"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"hudud-e-zaat mein auron kaa zikr hi kyaa hai khud aadmi bhi na samjhaa ki aadmi kyaa hai ye faasle jo tire qurb ki zamaanat hain simaT gae to bataaungaa zindagi kyaa hai hami ko khaak samajh lo tumhaari umr-e-daraaz ye tazkira to mukammal ho aadmi kyaa hai hijaab-e-zaat se baahar kahaan abhi ham log abhi ye kaun bataae ki aadmi kyaa hai kahaa na thaa ki mohabbat kaa tazkira na karo kise khabar thi ki mearaaj-e-zindagi kyaa hai savaal ye hai ki tum kyaa nigaah rakhte ho niyaaz-mand to vaaqif hai bandagi kyaa hai ravaa nahin hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar kabhi kabhi to bataao ki zindagi kyaa hai abhi to mujh se khudaai ki had mein baat karo khudaa bano to bataanaa ki aadmi kyaa hai jabin-e-shauq pe sajdon ke daagh ai 'anjum' ye bandagi hai to meaar-e-bandagi kyaa hai"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"sochtaa rahtaa huun takmil-e-vafaa kaise ho aadmi bhi vo nahin hai to khudaa kaise ho ishq ko hausla-e-tark-e-vafaa kaise ho lafz maani ki sadaaqat se judaa kaise ho main to puchhungaa ki tum sab ke khudaa kaise ho meri aavaaz farishton ki sadaa kaise ho ek gham ho to bikhar jaae mire chehre par ghair-mahdud masaaib hain ziyaa kaise ho sochne vaalon ki niyyat ko khudaa hi jaane baat vaalon ko nahin fikr-e-vafaa kaise ho us ne majbur-e-vafaa jaan ke munh pher liyaa mujh se ye bhuul hui puchh liyaa kaise ho ik sulagtaa huaa dil tum se jalaayaa na gayaa jaane tum mukhlis-e-arbaab-e-vafaa kaise ho kis ki surat mein nahin jalva-e-khun-e-mazdur khun-e-mazdur ki qimat bhi adaa kaise ho ishq naa-vaaqif-e-aadaab-e-talab hai 'anjum' husn aamaada-e-izhaar-e-vafaa kaise ho"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"mohabbat kar chuki hai kaam apnaa mujhe maalum hai anjaam apnaa nahin is mai-kade mein kaam apnaa jahaan mai ho paraai jaam apnaa mohabbat to mohabbat hi rahegi zarurat kuchh bhi rakh le naam apnaa muqaddar bhi badalnaa jaante hain guzaarish hi nahin hai kaam apnaa jo khud apni nazar se gir chuke hain unhein bhi gardish-e-ayyaam apnaa tum aur ye zahmat-e-tajdid-e-aalam mujhi ko saunp dete kaam apnaa pareshaani muqaddar ban chuki hai pareshaani mein DhunD aaraam apnaa khudaai rukh badalnaa chaahti hai mire maathe pe likh do naam apnaa zamaana de na de paighaam 'anjum' zarurat khud karegi kaam apnaa"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"mutmain baiThaa huun khud ko jaan kar aur kyaa miltaa khudaa ko maan kar mere dushman ki sharaafat dekhiye daar kartaa hai mujhe pahchaan kar zehn-o-dil tafriq ke qaail nahin kyaa karun apnaa paraayaa jaan kar dosto rudaad-e-manzil phir kabhi raasta chup thaa mujhe pahchaan kar zindagi se ab bhi samjhautaa nahin ji liye teri zarurat jaan kar apne andar raaste milne lage ruk gayaa thaa khud ko manzil jaan kar sher to 'anjum' ataa-e-ghaib hai faaeda kyaa lafz-o-maani chhaan kar"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"apni had tak bhi jo mukhtaar nahin hai ai dost kaun kahtaa hai gunahgaar nahin hai ai dost ishq iizaa sahi aazaar nahin hai ai dost zindagi ret ki divaar nahin hai ai dost mere shikvon pe gumaan-e-talab-e-mehr-o-vafaa meri aadat miraa kirdaar nahin hai ai dost kaun qaatil hai kise khuun pukaare meraa ek hi haath mein talvaar nahin hai ai dost aa hi jaataa hai nigaahon mein surur-e-hasti dil to itnaa bhi gunahgaar nahin hai ai dost mere iflaas ko ghairat ne panaahein di hain zindagi mere liye baar nahin hai ai dost hote hote hi gham-e-dil kaa mudaavaa hogaa ek din kaa to ye aazaar nahin hai ai dost apne saae ki nazaakat se qadam rukte hain dhuup mere liye divaar nahin hai ai dost"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"tulu-e-mehr ne phulon ki zindagi kam ki ye kyaa khushi hai ki taqdir khul gai gham ki jalaao khuun rukh-e-shama zard hai yaaro lagaao aag ki nikhre to aabru gham ki labon tak aai hui muskuraahaTon ko na rok tiri balaa se jo baDh jaae zindagi gham ki na kar yaqin ki bedaar hain chaman vaale bhare chaman mein luTi hai bahaar shabnam ki jinhein shuur-e-gham-dost raas aataa hai huzur-e-dost bhi karte hain aarzu gham ki miri taraf se bhi us dar pe ek sajda-e-shauq jahaan khushi ke baraabar ho aabru gham ki jafaa-shiaar duaa de mire tabassum ko hazaar baar baDhaa di hai aabru gham ki guzar chukaa huun har ik zindagi se main 'anjum' miraa kalaam hai taarikh saare aalam ki"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"bandagi karte karte khudaa ho gayaa aadmi ko khudaa jaane kyaa ho gayaa vo sitamgar khudaa-e-vafaa ho gayaa tujh ko ai ghairat-e-ishq kyaa ho gayaa aa ki taarikh-e-dil phir murattab karein fikr-e-maazi na kar jo huaa ho gayaa zindagi hi mujhe chhoD kar chup nahin khud bhi hairaan huun main ye kyaa ho gayaa ham bahaaron ki minnat hi karte rahe rang-e-gulshan huaa thaa havaa ho gayaa chupke chupke miraa zikr hotaa rahaa rafta rafta har ik aashnaa ho gayaa tujh se to qurb hai tere dar par to hain ham khudaa tak na pahunche to kyaa ho gayaa ziist thoDi bahut kaam aane lagi kuchh na kuchh maut kaa aasraa ho gayaa kis tajassus mein 'anjum' pareshaan ho saath kab thaa jo koi judaa ho gayaa"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni
Quote
"kashmakash yuun to musalsal hi zamaane se rahi aap ke ahd mein kuchh aur bahaane se rahi zindagi dard kaa meaar baDhaane se rahi ham na roein to hansi ghair ko aane se rahi khud hi kuchh khuun jalaao ki ujaalaa ho jaae shama to khaana-e-be-nur tak aane se rahi sabr vaalon ki zabaan vaqt bhi ban jaataa hai meri izaa-talabi baat baDhaane se rahi be-jhijak rang uchhaalein chamanistaan vaale gham-nasibon ki khabar lauT ke aane se rahi ham to barbaad-e-nasheman hue lekin sayyaad khud chaman ki bhi koi chiiz Thikaane se rahi saahab-e-vaqt gharibon se khaTaktaa kyon hai muflisi taaj-e-mah-o-mehr to paane se rahi aap kitne hi parastaar-e-vafaa hon 'anjum' zindagi aap ko mahbub banaane se rahi"
Anjum Fauqi BadayuniAnjum Fauqi Badayuni