SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAslam Mahmood(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"rang saare apne andar raftagaan ke hain ham ki barg-e-raaegaan nakhl-e-ziyaan ke hain shisha-e-umr-e-ravaan se khauf aataa hai aks is mein saaat-e-kam-mehrbaan ke hain ham ko kyaa laa-haasili hi ishq mein gar hai ham to khugar yuun bhi kaar-e-raaegaan ke hain tere kuche ki havaa puchhe hai ab ham se naam kyaa hai kyaa nasab hai ham kahaan ke hain ham ko kyaa arz o samaa ke sab khazaanon se ham to aashiq ek ism-e-jaavedaan ke hain mere partav ne tilism-e-tirgi toDaa aur ab raushan manaazir khaak-daan ke hain ham ko kyaa mauj-e-fanaa se khauf aaegaa muntazir ham khud zavaal-e-rang-e-jaan ke hain imtihaan ye sakhtiyaan ye gardishein 'aslam' sab ishaare ek chashm-e-mehrbaan ke hain"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"kiyaa gardishon ke havaale use chaak par rakh diyaa ki banne bigaDne kaa har faisla khaak par rakh diyaa mujhe qasr-e-taabir ki us ne sab kunjiyaan saunp diin magar chhin kar khvaab aankhon se aflaak par rakh diyaa sivaa raakh hone ke ab koi chaara bachaa hi nahin sharaar-e-havas kis ne ye mere khaashaak par rakh diyaa koi hai jo girdaab-e-gham se bachaae hue hai mujhe ki ik mehrbaan haath phir chashm-e-namnaak par rakh diyaa koi kaam 'aslam' banaa hi nahin vahshaton ke baghair jalaa kar charaagh-e-junun taaq-e-idraak par rakh diyaa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"ai mire ghubaar-e-sar tu hi to nahin tanhaa raaegaan to main bhi huun mere har khasaare par mere ye mukhaalif kyaa shaadmaan to main bhi huun dasht ye agar apni vusaton pe naazaan hai mujh ko is se kyaa lenaa zarra hi sahi lekin meri apni vusat hai be-karaan to main bhi huun dar-ba-dar bhaTakti hai dasht o shahr o sahraa mein apnaa sar paTakti hai ai havaa-e-avaara teri hi tarah be-ghar be-amaan to main bhi huun kuuch kar gae jaane kitne qaafile jin kaa kuchh nishaan nahin miltaa main bhi huun kamar-basta yaani rah-rav-e-raah-e-raftagaan to main bhi huun tu jo ek shoala hai chob-e-khushk huun main bhi apnaa haal yaksaan hai der hai bhaDakne ki phir to raakh hai tu bhi phir dhuaan to main bhi huun"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"bujh gae manzar ufuq par har nishaan maddham huaa lamha lamha saaraa rang-e-aasmaan maddham huaa thak gae ham-raah mere jaagne vaale sabhi aakhir-e-shab mujh mein bhi ik shor-e-fughaan maddham huaa mahv ho jaaungaa main bhi ek din har zehn se aainon mein jaise aks-e-raftagaan maddham huaa raat Dhalte Dhalte aai subh ki dahliz tak dil ne lai tabdil kar di saaz-e-jaan maddham huaa haasil o darkaar ki har fikr zaail ho gai ik nazar uTThi har ik rang-e-ziyaan maddham huaa ab kahaan vo sahraa-zaad o paas-daaraan-e-junun sahraa sahraa vahshaton kaa har nishaan maddham huaa harf-e-dil-daari nahin rasm-e-dil-aazaari nahin lahja-e-har-mehrbaan naa-mehrbaan maddham huaa ik charaagh ik aaina meri mataa-e-be-bahaa rah gayaa harf-e-yaqin naqsh-e-gumaan maddham huaa har nishaan-e-baam-dar jab miT gayaa 'aslam' to kyaa zor-e-tufaan tham gayaa aab-e-ravaan maddham huaa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"main hajv ik apne har qaside ki rad mein tahrir kar rahaa huun ki aap-apne se huun mukhaatab khud apni tahqir kar rahaa huun kahaan hai fursat nashaat o gham ki ki khud ko taskhir kar rahaa huun lahu mein girdaab Daaltaa huun nafas ko shamshir kar rahaa huun miri kahaani raqam hui hai havaa ke auraaq-e-muntashir par main khaak ke rang-e-ghair-faani ko apni tasvir kar rahaa huun main sang-o-khisht-e-anaa ki baarish mein kab kaa mismaar ho chukaa huun ab inkisaari ki narm miTTi se apni taamir kar rahaa huun ye ishq ki hai fusun-taraazi ki vahshaton ki karishma-saazi kamand khushbu pe Daaltaa huun havaa ko zanjir kar rahaa huun shanvaa-vari ke usuul mujh ko bataaegaa koi kyaa ki main ne kiyaa hai maujon kaa khair-maqdam bhanvar ki tauqir kar rahaa huun tum apne dariyaaon par biThaao hazaar pahre magar mujhe kyaa main saare khvaabon ko sab saraabon ko apni jaagir kar rahaa huun"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"mizha pe khvaab nahin intizaar saa kuchh hai bahaar to nahin aks-e-bahaar saa kuchh hai mujhe milaa na kabhi farsh-e-gul pe bhi aaraam yahi lagaa ki kahin nok-e-khaar saa kuchh hai jo paas thaa isi saudaa-e-sar ki nazr huaa na dhajjiyaan hi bachi hain na taar saa kuchh hai tamaam umr jise main ubuur kar na sakaa darun-e-zaat mire be-kanaar saa kuchh hai guzar gai mujhe chhu kar kisi khayaal ki rau ufuq se taa-ba-ufuq rang-zaar saa kuchh hai khayaal-o-khvaab hue sab visaal ke lamhe nazar mein sirf chamaktaa ghubaar saa kuchh hai ye haal hai ki havaaon se uljhaa jaataa huun lahu mein ab ke ajab intishaar saa kuchh hai"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"pattharon par vaadiyon mein naqsh-e-paa meraa bhi hai raaston se manzilon tak silsila meraa bhi hai paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf aur ab ke raasta badlaa huaa meraa bhi hai habs ke aalam mein bhi zinda huun teri aas par ai havaa-e-taaza darvaaza khulaa meraa bhi hai baadalon se ai zamin tu hi nahin hai naa-umid raaegaan saa ab ke kuchh harf-e-duaa meraa bhi hai be-basaarat shahr mein be-chehragi ke darmiyaan ik diyaa jaltaa huaa ik aaina meraa bhi hai dekhtaa huun main bhi sab ke saath duniyaa ko magar ik alag zauq-e-nazar ik zaaviya meraa bhi hai tirgi mein aaj agar main huun to ho saktaa hai kal dastaras mein chaand ho aakhir khudaa meraa bhi hai"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"aks jal jaaeinge aaine bikhar jaaeinge khvaab in jaagti aankhon mein hi mar jaaeinge ham ki dil-daada kahaan raunaq-e-baazaar ke hain be-niyaazaana hi duniyaa se guzar jaaeinge jin ko dastaar ki khvaahish hai unhein kyaa maalum maarka ab ke vo Thahraa hai ki sar jaaeinge koi manzil nahin raste hain faqat chaaron taraf jo nikal aae hain ghar se vo kidhar jaaeinge dekh aa kar ki tire hijr mein bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagtaa thaa ki mar jaaeinge ham ki sharminda-e-asbaab nahin hone ke hukm jab hogaa to be-rakht-e-safar jaaeinge ham se dariyaa jo gurezaan hai to ham bhi ik din kisi tapte hue sahraa mein utar jaaeinge ham ko dariyaa se na maujon se na kashti se gharaz ab ke us paar hamein le ke bhanvar jaaeinge"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"kyuun mujh se gurezaan hai main teraa muqaddar huun ai umr-e-ravaan khush huun main tujh ko mayassar huun main aap bahaar apni main apnaa hi manzar huun khud apne hi khvaabon ki khushbu se mo'attar huun be-rang na vaapas kar ik sang hi de sar ko kab se tiraa taalib huun kab se tire dar par huun jab jaisi zarurat ho ban jaataa huun vaisaa hi khud apni tabi'at mein shisha huun na patthar huun lamhon ke tasalsul mein marzi hai miri shaamil main vaqt ki shah-rag par rakkhaa huaa khanjar huun aasuda huun main apne viraana-e-hasti mein duniyaa tujhe milne ke imkaan se baahar huun jab chaahun simaT kar main zarre mein samaa jaaun vus'at mein to vaise hi sahraa huun samundar huun"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"nae paikar nae saanche mein Dhalnaa chaahtaa huun main mizaaj-e-zindagi yaksar badalnaa chaahtaa huun main zamin teri kashish ne rok rakkhaa hai mujhe varna hudud-e-khaak se baahar nikalnaa chaahtaa huun main numu kaa josh Thokar maartaa rahtaa hai siine mein lahu kaa chashma huun kab se ubalnaa chaahtaa huun main guzarte jaa rahe hain qaafile tu hi zaraa ruk jaa ghubaar-e-raah tere saath chalnaa chaahtaa huun main main apne barf ke paikar se khud uktaa gayaa huun ab chamak mujh par mire suraj pighalnaa chaahtaa huun mein sadaaein dasht detaa hai mujhe vahshat bulaati hai so khaak-e-ishq apne sar pe malnaa chaahtaa huun main idhar se bhi koi guzre ki main jis se kahun 'aslam' charaagh-e-rahguzar huun aur jalnaa chaahtaa huun main"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"main ek ret kaa paikar thaa aur bikhar bhi gayaa ajab thaa khvaab ki main khvaab hi mein Dar bhi gayaa havaa bhi tez na thi aur charaagh mar bhi gayaa main saamne bhi rahaa zehn se utar bhi gayaa na ehtiyaat koi kaam aayaa ishq ke saath jo rog dil mein chhupaa thaa vo kaam kar bhi gayaa ajab thi hijr ki saaat ki jaan pe ban aai kaDaa thaa vaqt vo dil par magar guzar bhi gayaa havaa se dosti jis ko thaa mashvara meraa usi charaagh ki lau se main aaj Dar bhi gayaa kabhi na mujh ko Daraaegaa mere baatin se ye ahd kar ke miraa aaina mukar bhi gayaa kinaare vaale mujhe bas sadaaein dete rahe bhanvar ko naav banaa kar main paar utar bhi gayaa main khaak-e-paa sahi kam-tar mujhe na jaan ki main ghubaar ban ke uThaa aasmaan par bhi gayaa main apne jism ke andar thaa aafiyat se magar lahu ke sail-e-balaa-khez mein ye ghar bhi gayaa khataa ye thi ki main aasaaniyon kaa taalib thaa sazaa ye hai ki miraa tisha-e-hunar bhi gayaa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"na malaal-e-hijr na muntazir hain havaa-e-shaam-e-visaal ke ham asiir apni hi zaat ke kisi khvaab ke na khayaal ke mire shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ik jahaan ki numud kar tire bahr o bar ko to rakh diyaa hai kabhi kaa main ne khangaal ke vo hamin the jin ke kamaal ki hai ye kaaenaat bhi mo'tarif vahi ham ki aaj tamaash-bin hue khud hi apne zavaal ke jo navaah-e-jaan mein muqim hain unhin mausamon kaa tilism hai kabhi jaam uchhaale nashaat ke kabhi rang uDaae malaal ke vahi subh o shaam ke marhale vahi khaal o aab ke silsile vahi qisse naan-o-namak ke hain vahi jhagDe maal-o-manaal ke tiraa aaina huun main zindagi tire aks kaa main amiin huun hai miri shikast tiraa ziyaan mujhe rakh bachaa ke sambhaal ke mire kaar-zaar-e-hayaat mein na koi najib na kam-nasab yahaan naam sirf hunar kaa hai yahaan charche bas hain kamaal ke nahin gardishon mein jo vaqt ki ho ataa vo saaat-e-maavaraa na to ibtidaa ho na intihaa na hon silsile mah o saal ke"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"dasht marub hai kitnaa miri viraani se munh takaa kartaa hai har dam miraa hairaani se log dariyaaon pe kyuun jaan diye dete hain tishnagi kaa to taalluq hi nahin paani se ab kisi bhaav nahin miltaa kharidaar koi gir gai hai miri qimat miri arzaani se khud pe sau jabr kiye dil ko bahut samjhaayaa raas aai kahaan duniyaa hamein aasaani se ab ye samjhe ki andheraa bhi zaruri shai hai bujh gaiin aankhein ujaalon ki faraavaani se ajnabi aahaTein anjaan sadaaein mujh mein main to baaz aayaa kharaabe ki nigahbaani se aa gayaa kaun ye aaj us ke muqaabil 'aslam' aaina TuuT gayaa aks ki taabaani se"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"dekh ke arzaan lahu surkhi-e-manzar khamosh baazi-e-jaan par miri tegh bhi shashdar khamosh aks miraa muntashir aur ye aalam ki hai ek ik aaina chup ek ik patthar khamosh tegh-e-nafas ko bahut naaz thaa raftaar par ho gai aakhir mire khuun mein nahaa kar khamosh arsa-e-hairat mein gum aaina-khaane mire khema-e-mizhgaan mein hain khvaab ke paikar khamosh khauf se sab dam-ba-khud fikr se chehre udaas mauj-e-havaa kyuun hai chup kyuun hai samundar khamosh koi alaamat to ho koi nishaan to mile kyuun hai lahu be-sadaa ho gae kyuun sar khamosh"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal miraa mujhe aziiz hai ye kucha-e-malaal miraa abhi to honaa hai ik raqs-e-be-misaal miraa diye ki lau se abhi dekhnaa visaal miraa vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa to kyaa ye vaqt yunhi raundtaa rahegaa mujhe Daraataa rahtaa hai mujh ko yahi savaal miraa javaaz rakhtaa huun main apne zinda hone kaa ki ek khvaab se hai silsila bahaal miraa havaa ki dosti achchhi na dushmani achchhi charaagh pahle na thaa ab hai ham-khayaal miraa main aks ban ke isi se ubharnaa chaahtaa huun so mere aaina-gar aaina ujaal miraa lahu ki nazr huaa ek ek khvaab-e-numu havaa ke saath gayaa khema-e-khayaal miraa kabhi main shoala thaa ab sirf raakh huun 'aslam' halaak kar ke rahaa mujh ko ishtiaal miraa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"raat aati hai to taaqon mein jalaate hain charaagh khvaab zinda hain so aankhon mein jalaate hain charaagh aandhiyaan ab hamein mahsur kiye baiThi hain ab to ham sirf khayaalon mein jalaate hain charaagh Thokarein khaate hue umr kaTi apni so ham dusron ke liye raahon mein jalaate hain charaagh tanz kartaa huaa guzraa thaa havaa kaa jhonkaa tab se ham tez havaaon mein jalaate hain charaagh tishna-lab aaeinge dariyaaon ke Thukraae hue isi baais to saraabon mein jalaate hain charaagh khvaab bikhre hain hamaare yahaan har gaam so ham shaam hote hi kharaabon mein jalaate hain charaagh"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"har rang-e-tarab mausam o manzar se nikaalaa ik raasta phir sai-e-mukarrar se nikaalaa chalne lagi har samt se jab baad-e-khush-aasaar ik aur bhanvar ham ne samundar se nikaalaa deti rahi aavaaz pe aavaaz ye duniyaa sar ham ne na phir khaak ki chaadar se nikaalaa kam paD gai parvaaz ko jab vusat-e-aflaak ik aur falak apne hi shahpar se nikaalaa ham dil se rahe tez havaaon ke mukhaalif jab tham gayaa tufaan to qadam ghar se nikaalaa ab kaifiyat o rang nazar aai jo duniyaa mausam nayaa phir apne hi andar se nikaalaa aasaar nazar aae na sairaabi-e-dil ke thak-haar ke saudaa-e-numu sar se nikaalaa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood
Quote
"jal rahaa huun to ajab rang o samaan hai meraa aasmaan jis ko samajhte ho dhuaan hai meraa le gai baandh ke vahshat use sahraa ki taraf ek dil hi to thaa ab vo bhi kahaan hai meraa dekh le tu bhi ki ye aakhiri manzar hai miraa jis ko kahte hain shafaq rang-e-ziyaan hai meraa apnaa hi zor-e-tanaffus na miTaa de mujh ko in dinon zad pe miri khema-e-jaan hai meraa zarra-e-khaak bhi hotaa hai kabhi baar-e-giraan kabhi lagtaa hai ki ye saaraa jahaan hai meraa ab ufuq-taa-ba-ufuq mein huun har aaine mein jaise har samt o jihat aks-e-ravaan hai meraa ruk gayaa aa ke jahaan qaafila-e-rang-o-nashaat kuchh qadam aage zaraa baDh ke makaan hai meraa"
Aslam MahmoodAslam Mahmood