Quote
"saath saath ahl-e-tamannaa kaa vo muztar jaanaa allaah allaah tiraa bazm se uTh kar jaanaa rahbari kar ke miri khizr bhi chakkar mein paDe ab unhein jalva-gah-e-yaar mein aksar jaanaa daagh-e-kam-hauslagi dil ko gavaaraa na huaa varna kuchh hijr mein dushvaar na thaa mar jaanaa saadgi se ye gumaan hai ki bas ab rahm kiyaa mutmain huun ki mujhe aap ne muztar jaanaa nashshe mein bhi tire 'bekhud' ki ta'alli na gai baada-e-hosh-rubaa ko mai-e-kausar jaanaa"







