SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"baDhaa jab us ki tavajjoh kaa silsila kuchh aur khushi se phail gayaa gham kaa daaera kuchh aur natija dekh ke maanaa mire masihaa ne kuchh aur dard thaa meraa hui davaa kuchh aur main apne aap ko kis aaine mein pahchaanun ki ek 'aks miraa kuchh hai dusraa kuchh aur agar kahin koi divaar saamne aai buland ho gayaa paani kaa hausla kuchh aur kuchh aise dekhtaa hai vo mujhe ki lagtaa hai dikhaa rahaa hai mujhe meraa aaina kuchh aur natija dekhne sunne ke baa'd ye niklaa bayaan-e-vaaqia kuchh amr-e-vaaqia kuchh aur guzar muhaal na hotaa hamaaraa basti mein jo uThtin chhoD ke divaarein raasta kuchh aur"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"nahin hai bahr-o-bar mein aisaa mere yaar koi ki jis khitte kaa miltaa ho na daavedaar koi yunhi buniyaad kaa darja nahin miltaa kisi ko khaDi ki jaaegi mujh par abhi divaar koi pataa chalne nahin detaa kabhi fariyaadiyon ko lagaa kar baiTh jaataa hai kahin darbaar koi nigaahein us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi bachaataa phirtaa huun dariyaa mein apni kashti-e-jaan kabhi is paar hai koi bhi us paar koi usi kaa qahr barpaa hai usi kaa faiz jaari har ik majbur kaa hai maalik-o-mukhtaar koi kahlvaayaa hai us ne phaand kar divaar aa jaanaa agar darvaaze par baiThaa ho pahre-daar koi"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"Thahar Thahar ke miraa intizaar kartaa chal ye sakht-raah bhi ab ikhtiyaar kartaa chal safar ki raat hai har gaam ehtiyaat barat palaT palaT ke andheron pe vaar kartaa chal liye jaa kaam tu apni firaakh-dasti se qadam qadam pe mujhe zer-e-baar kartaa chal idhar udhar jo khaDe ho gae hain tere liye unhein bhi apne safar mein shumaar kartaa chal kisi Thikaane pe tujh ko agar pahunchnaa hai to naqsh-e-paa kaa mire e'tibaar kartaa chal na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko ye sab rukaavaTein hain in ko paar kartaa chal"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"main ye dekh ke bhi rukaa nahin ki ghubaar thaa mujhe raaste kaa pata nahin ki ghubaar thaa vo hujum saa jo umaD paDaa thaa mire liye mujhe dekhne ko milaa nahin ki ghubaar thaa miri rif’atein mujhe yak-ba-yak na samajh sakin kahin munkashif main huaa nahin ki ghubaar thaa mire saae ko na darakht the na ‘imaaratein mujhe aasmaan kaa pata nahin ki ghubaar thaa kai baar mere qarib se vo guzar gayaa mujhe phir bhi koi gila nahin ki ghubaar thaa kabhi paanv rakkhaa to phunk kar ki na uTh sake kabhi tole par to uDaa nahin ki ghubaar thaa mujhe Thokaron ne giraa diyaa to pata chalaa koi saamne se haTaa nahin ki ghubaar thaa"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"ubal paDaa yak-ba-yak samundar to main ne dekhaa khulaa jo raaz-e-sukut lab par to main ne dekhaa utar gayaa rang-e-ru-e-manzar to main ne dekhaa haTi nigaah-e-bahaar yaksar to main ne dekhaa na jaane kab se vo andar andar sulag rahaa thaa milaa jo divaar mein mujhe dar to main ne dekhaa tamaam gard-o-ghubaar dil se nikal chukaa thaa baras chukaa abr-e-ashk khul kar to main ne dekhaa nishaan qadmon ke raaste mein chamak rahe the guzar gayaa vo nazar bachaa kar to main ne dekhaa milaa ke miTTi mein rakh di us ne ibaadat us ki jo mere aage na kham kiyaa sar to main ne dekhaa"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"talvaar khinchte hue paayaa gayaa mujhe qaatil banaa ke hosh mein laayaa gayaa mujhe meraa hi khuun thaa jo pilaayaa gayaa mujhe jab sair ho gayaa to bataayaa gayaa mujhe kyaa shahr thaa ki rukte hi ik bhiiD lag gai fauran hi raaste se haTaayaa gayaa mujhe ik dusre ko dekh na sakte the raaste donon ke darmiyaan basaayaa gayaa mujhe Duube hue makaan ki chhat par khaDaa thaa main manzar mein naqsh-e-aab dikhaayaa gayaa mujhe saahil pe laa ke raasta us paar ho gayaa dariyaa mein Dubne se bachaayaa gayaa mujhe ik roz meri had kaa taayyun kiyaa gayaa phir ek roz had se baDhaayaa gayaa mujhe"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"jo mujh pe bhaari hui ek raat achchhi tarah to phir guzar bhi gae saanehaat achchhi tarah main baar baar giraayaa gayaa bulandi se mujhe to ho gayaa haasil sabaat achchhi tarah kitaab saa miraa chehra tiri nigaah mein hai bayaan kar miri zaat o sifaat achchhi tarah tu apne siine se mujh ko yuun hi lagaae rakh samajh luun taa-ki tire dil ki baat achchhi tarah tujhe banaayaa gayaa hai jo ashraf-ul-makhluq samo ke zaat mein rakh kaaenaat achchhi tarah kisi ne zahr milaa kar na de diyaa ho tujhe main chakh to luun tire qand o nabaat achchhi tarah"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"hain aur kai ret ke tufaan mire aage phailegaa abhi aur bayaabaan mire aage baahar nahin koi bhi miri had-e-nazar se makhfi hai koi koi numaayaan mire aage hasti miri sahraa hai saraab us kaa muqaddar aakhir use honaa hai pashemaan mire aage huun miil ke patthar ki tarah raahguzar mein manzil pe nazar rakhte hain insaan mire aage tai ho na saki duri-e-manzil ye alag hai har moD pe raushan rahaa imkaan mire aage kaandhe pe mire bojh rahaa rakht-e-safar kaa yuun niklaa kiye be-sar-o-saamaan mire aage jo sulh-o-safaai mein hain pichhe abhi 'raahi' rahte hain baham dast-o-garebaan mire aage"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"miri giraft mein hai taaer-e-khayaal miraa magar uDaae liye jaa rahaa hai jaal miraa yaqin itnaa nahin meraa jitnaa nabz kaa hai miri zabaan se suntaa nahin vo haal miraa kamaal ki vo imaarat miri hui mismaar khanDar ki shakl mein baaqi rahaa zavaal miraa fazaa mein jhonk de aandhi ke baad paani bhi uDaai khaak to ab khuun bhi uchhaal miraa zabaan apni badalne pe koi raazi nahin vahi javaab hai us kaa vahi savaal miraa main sar kiye hue baiThaa huun ik nai choTi kuchh aur faasle se dekh ab kamaal miraa"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"vahi saahil vahi manjdhaar mujh ko banaayaa us ne khevan-haar mujh ko zabaan ki dhaar se dekhaa milaa kar lagi kuchh tez kam talvaar mujh ko biThaa rakkhaa mujhe saae mein jis ne giraani thi vahi divaar mujh ko jinhein hai naaz apne faaslon par pakaDne dein zaraa raftaar mujh ko kabhi hoti na phir laDne ki himmat mili ab tak na aisi haar mujh ko kisi ne bhej kar kaaghaz ki kashti bulaayaa hai samundar paar mujh ko kabhi Duubi na teri naav 'raahi' sikhaayaa tairnaa be-kaar mujh ko"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"aage aage shar phailaataa jaataa huun pichhe pichhe apni khair manaataa huun patthar ki surat be-his ho jaataa huun kaisi kaisi choTein sahtaa rahtaa huun aakhir ab tak kyuun na tumhein aayaa main nazar jaane kahaan kahaan to dekhaa jaataa huun saanson ke aane jaane se lagtaa hai ik pal jiitaa huun to ik pal martaa huun dariyaa baalu moram Dho kar laataa hai main us kaa sab maal uDaa le aataa huun ab to main haathon mein patthar le kar bhi aaine kaa saamnaa karte Dartaa huun"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi