Quote
"ku-e-haram se nikli hai ku-e-butaan ki raah haae kahaan pe aa ke mili hai kahaan ki raah sad-aasmaan ba-daaman o sad-kahkashaan-ba-dosh baam-e-buland-e-yaar tire aastaan ki raah mulk-e-adam mein qaafila-e-ruh jaa basaa ham dekhte hi rah gae us bad-gumaan ki raah luTtaa rahaa hai zauq-e-nazar gaam gaam par ab kyaa rahaa hai paas jo ham lein vahaan ki raah ai zulf-e-kham-ba-kham tujhe apnaa hi vaasta hamvaar hone paae na umr-e-ravaan ki raah gul-haa-e-rang-rang hain afkaar-e-nau-ba-nau ye rahguzaar-e-sher hai kis gulsitaan ki raah 'taahir' ye manzilein ye maqaamaat ye haram allaah re ye raah ye ku-e-butaan ki raah"







