SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJan Nisar Akhtar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aankhein churaa ke ham se bahaar aae ye nahin hisse mein apne sirf ghubaar aae ye nahin ku-e-gham-e-hayaat mein sab umr kaaT di thoDaa saa vaqt vaan bhi guzaar aae ye nahin khud ishq qurb-e-jism bhi hai qurb-e-jaan ke saath ham duur hi se un ko pukaar aae ye nahin aankhon mein dil khule hon to mausam ki qaid kyaa fasl-e-bahaar hi mein bahaar aae ye nahin ab kyaa karein ki husn jahaan hai aziiz hai tere sivaa kisi pe na pyaar aae ye nahin vaadon ko khun-e-dil se likho tab to baat hai kaaghaz pe qismaton ko sanvaar aae ye nahin kuchh roz aur kal ki muravvat mein kaaT lein dil ko yaqin-e-vaada-e-yaar aae ye nahin"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"bahut dil kar ke honTon ki shagufta taazgi di hai chaman maangaa thaa par us ne ba-mushkil ik kali di hai mire khalvat-kade ke raat din yunhi nahin sanvre kisi ne dhuup bakhshi hai kisi ne chaandni di hai nazar ko sabz maidaanon ne kyaa kyaa vusatein bakhshin pighalte aabshaaron ne hamein dariyaa-dili di hai mohabbat naa-ravaa taqsim ki qaael nahin phir bhi miri aankhon ko aansu tere honTon ko hansi di hai miri aavaargi bhi ik karishma hai zamaane mein har ik darvesh ne mujh ko duaa-e-khair hi di hai kahaan mumkin thaa koi kaam ham jaise divaanon se tumhin ne giit likhvaae tumhin ne shaairi di hai"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"ek to nainaan kajraare aur tis par Duube kaajal mein bijli ki baDh jaae chamak kuchh aur bhi gahre baadal mein aaj zaraa lalchaai nazar se us ko bas kyaa dekh liyaa pag-pag us ke dil ki dhaDkan utri aae paael mein pyaase pyaase nainaan us ke jaane pagli chaahe kyaa taT par jab bhi jaave soche nadiyaa bhar luun chhaagal mein subh nahaane juuDaa khole naag badan se aa lipTein us ki rangat us ki khushbu kitni milti sandal mein gori is sansaar mein mujh ko aisaa teraa ruup lage jaise koi diip jalaa ho ghor andhere jangal mein pyaar ki yuun har buund jalaa di main ne apne siine mein jaise koi jalti maachis Daal de pi kar botal mein aaj pata kyaa kaun se lamhe kaun saa tufaan jaag uThe jaane kitni dard ki sadiyaan guunj rahi hain pal pal mein"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"har ek ruuh mein ik gham chhupaa lage hai mujhe ye zindagi to koi bad-duaa lage hai mujhe jo aansuon mein kabhi raat bhiig jaati hai bahut qarib vo aavaaz-e-paa lage hai mujhe main so bhi jaaun to kyaa meri band aankhon mein tamaam raat koi jhaanktaa lage hai mujhe main jab bhi us ke khayaalon mein kho saa jaataa huun vo khud bhi baat kare to buraa lage hai mujhe dabaa ke aai hai siine mein kaun si aahein kuchh aaj rang tiraa saanvlaa lage hai mujhe ab ek aadh qadam kaa hisaab kyaa rakhiye abhi talak to vahi faasla lage hai mujhe hikaayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai zamaana ghaur se suntaa huaa lage hai mujhe"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"har ek shakhs pareshaan-o-darba-dar saa lage ye shahr mujh ko to yaaro koi bhanvar saa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kyaa kahe koi vo be-khabar to nahin phir bhi be-khabar saa lage har ek gham ko khushi ki tarah baratnaa hai ye daur vo hai ki jiinaa bhi ik hunar saa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghanimat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatar saa lage kise khabar hai ki duniyaa kaa hashr kyaa hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se Dar saa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv Tik na sakein har aadmi koi ukhDaa huaa shajar saa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi kaa zamaana bhi mukhtasar saa lage"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"ranj-o-gham maange hai andoh-o-balaa maange hai dil vo mujrim hai ki khud apni sazaa maange hai chup hai har zakhm-e-gulu chup hai shahidon kaa lahu dast-e-qaatil hai jo mehnat kaa sila maange hai tu bhi ik daulat-e-naayaab hai par kyaa kahiye zindagi aur bhi kuchh tere sivaa maange hai khoi khoi ye nigaahein ye khamida palkein haath uThaae koi jis tarah duaa maange hai raas ab aaegi ashkon ki na aahon ki fazaa aaj kaa pyaar nai aab-o-havaa maange hai baansuri kaa koi naghma na sahi chikh sahi har sukut-e-shab-e-gham koi sadaa maange hai laakh munkir sahi par zauq-e-parastish meraa aaj bhi koi sanam koi khudaa maange hai saans vaise hi zamaane ki ruki jaati hai vo badan aur bhi kuchh tang qabaa maange hai dil har ik haal se begaana huaa jaataa hai ab tavajjoh na taghaaful na adaa maange hai"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"khud-ba-khud mai hai ki shishe mein bhari aave hai kis balaa ki tumhein jaadu-nazari aave hai dil mein dar aave hai har subh koi yaad aise juun dabe-paanv nasim-e-sahari aave hai aur bhi zakhm hue jaate hain gahre dil ke ham to samjhe the tumhein chaaragari aave hai ek qatra bhi lahu jab na rahe siine mein tab kahin ishq mein kuchh be-jigari aave hai chaak-e-daamaan-o-girebaan ke bhi aadaab hain kuchh har divaane ko kahaan jaama-dari aave hai shajar-e-ishq to maange hai lahu ke aansu tab kahin jaa ke koi shaakh hari aave hai tu kabhi raag kabhi rang kabhi khushbu hai kaisi kaisi na tujhe ishva-gari aave hai aap-apne ko bhulaanaa koi aasaan nahin baDi mushkil se miyaan be-khabari aave hai ai mire shahr-e-nigaaraan tiraa kyaa haal huaa chappe chappe pe mire aankh bhari aave hai saahibo husn ki pahchaan koi khel nahin dil lahu ho to kahin dida-vari aave hai"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"laakh aavaara sahi shahron ke fuTpaathon pe ham laash ye kis ki liye phirte hain in haathon pe ham ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi be-tarah imaan le aae the jin baaton pe ham koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin muft kaa ilzaam rakh dete hain barsaaton pe ham zulf se chhanti hui us ke badan ki taabishein hans diyaa karte the aksar chaandni raaton pe ham ab unhein pahchaante bhi sharm aati hai hamein fakhr karte the kabhi jin ki mulaaqaaton pe ham"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"jism ki har baat hai aavaargi ye mat kaho ham bhi kar sakte hain aisi shaaeri ye mat kaho us nazar ki us badan ki gungunaahaT to suno ek si hoti hai har ik raagni ye mat kaho ham se divaanon ke bin duniyaa sanvarti kis tarah aql ke aage hai kyaa divaangi ye mat kaho kaT saki hain aaj tak sone ki zanjirein kahaan ham bhi ab aazaad hain yaaro abhi ye mat kaho paanv itne tez hain uThte nazar aate nahin aaj thak kar rah gayaa hai aadmi ye mat kaho jitne vaade kal the utne aaj bhi maujud hain un ke vaadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho dil mein apne dard ki chhiTki hui hai chaandni har taraf phaili hui hai tirgi ye mat kaho"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"ufuq agarche pighaltaa dikhaai paDtaa hai mujhe to duur saveraa dikhaai paDtaa hai hamaare shahr mein be-chehra log baste hain kabhi kabhi koi chehra dikhaai paDtaa hai chalo ki apni mohabbat sabhi ko baanT aaein har ek pyaar kaa bhukaa dikhaai paDtaa hai jo apni zaat se ik anjuman kahaa jaae vo shakhs tak mujhe tanhaa dikhaai paDtaa hai na koi khvaab na koi khalish na koi khumaar ye aadmi to adhuraa dikhaai paDtaa hai lachak rahi hain shuaaon ki siDhiyaan paiham falak se koi utartaa dikhaai paDtaa hai chamakti ret pe ye ghusl-e-aaftaab tiraa badan tamaam sunahraa dikhaai paDtaa hai"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"tum pe kyaa biit gai kuchh to bataao yaaro main koi ghair nahin huun ki chhupaao yaaro in andheron se nikalne ki koi raah karo khun-e-dil se koi mishal hi jalaao yaaro ek bhi khvaab na ho jin mein vo aankhein kyaa hain ik na ik khvaab to aankhon mein basaao yaaro bojh duniyaa kaa uThaaungaa akelaa kab tak ho sake tum se to kuchh haath baTaao yaaro zindagi yuun to na baanhon mein chali aaegi gham-e-dauraan ke zaraa naaz uThaao yaaro umr-bhar qatl huaa huun main tumhaari khaatir aakhiri vaqt to suuli na chaDhaao yaaro aur kuchh der tumhein dekh ke ji luun Thahro meri baalin se abhi uTh ke na jaao yaaro"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"ham se bhaagaa na karo duur ghazaalon ki tarah ham ne chaahaa hai tumhein chaahne vaalon ki tarah khud-ba-khud niind si aankhon mein ghuli jaati hai mahki mahki hai shab-e-gham tire baalon ki tarah tere bin raat ke haathon pe ye taaron ke ayaagh khub-surat hain magar zahr ke pyaalon ki tarah aur kyaa is se ziyaada koi narmi bartun dil ke zakhmon ko chhuaa hai tire gaalon ki tarah gungunaate hue aur aa kabhi un sinon mein teri khaatir jo mahakte hain shivaalon ki tarah teri zulfein tiri aankhein tire abru tire lab ab bhi mashhur hain duniyaa mein misaalon ki tarah ham se maayus na ho ai shab-e-dauraan ki abhi dil mein kuchh dard chamakte hain ujaalon ki tarah mujh se nazrein to milaao ki hazaaron chehre meri aankhon mein sulagte hain savaalon ki tarah aur to mujh ko milaa kyaa miri mehnat kaa sila chand sikke hain mire haath mein chhaalon ki tarah justuju ne kisi manzil pe Thaharne na diyaa ham bhaTakte rahe aavaara khayaalon ki tarah zindagi jis ko tiraa pyaar milaa vo jaane ham to naakaam rahe chaahne vaalon ki tarah"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"ashaar mire yuun to zamaane ke liye hain kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hain ab ye bhi nahin Thiik ki har dard miTaa dein kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain socho to baDi chiiz hai tahzib badan ki varna ye faqat aag bujhaane ke liye hain aankhon mein jo bhar loge to kaanTon se chubheinge ye khvaab to palkon pe sajaane ke liye hain dekhun tire haathon ko to lagtaa hai tire haath mandir mein faqat diip jalaane ke liye hain ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar
Quote
"tumhaare jashn ko jashn-e-farozaan ham nahin kahte lahu ki garm bundon ko charaaghaan ham nahin kahte agar had se guzar jaae davaa to ban nahin jaataa kisi bhi dard ko duniyaa kaa darmaan ham nahin kahte nazar ki intihaa koi na dil ki intihaa koi kisi bhi husn ko husn-e-faraavaan ham nahin kahte kisi aashiq ke shaane par bikhar jaae to kyaa kahnaa magar is zulf ko zulf-e-pareshaan ham nahin kahte na bu-e-gul mahakti hai na shaakh-e-gul lachakti hai abhi apne gulistaan ko gulistaan ham nahin kahte bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin shaguft-e-gul ko aashiq kaa garebaan ham nahin kahte hazaaron saal biite hain hazaaron saal biteinge badal jaaegi kal taqdir-e-insaan ham nahin kahte"
Jan Nisar AkhtarJan Nisar Akhtar