SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMaroof Dehlvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"falak ke haathon jidhar munh uThaae jaataa huun udhar se juun gul-e-baazi tapaancha khaataa huun kabhi hai aankhon mein zar diida pe nigah un ki ki main har ek se aankh apni ab churaataa huun havaa ke ghoDe pe jab vo savaar hote hain to paa ke vaqt main kyaa kyaa maze uDaataa huun khilaafi un ke vo aankhein jo yaad aati hain to apni aankhon ko ro ro ke main sujaataa huun balaa se gar nahin milte vo mujh se par 'maaruf' unhon kaa shahr main aashiq to main kahaataa huun"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi
Quote
"na ham mahv-e-khayaal abru-e-kham-daar sote hain sipaahi hain zi-bas baandhe hue talvaar sote hain tumhaaraa sote sote chaunk paDnaa khab gayaa dil mein ki aksar khud-bakhud ho ho ke ham bedaar sote hain ilaahi ham ko hai kis kaa khayaal-e-khvaab-o-be-daari jo laakhon haar uThte hain hazaaron yaar sote hain nigaah-e-mast-e-saaqi mein hai kyaa daaraa-e-be-hoshi ki saaghar lag rahaa hai munh se aur mai-khvaar sote hain na kar vasvaas dil mein chal vahaan 'maaruf' be-khaTke ki darbaan unghtaa hai aur chaukidaar sote hain"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi
Quote
"chupke chupke ek to Tiis aap jamaani auron se tis ulTi ham ko tohmat aa ke lagaani auron se ham se to bas baandhe rakhti sharm ki paTTi aankhon par chori chori mahfil mein par aankh laDaani auron se auron ke to ham se na kahne ham se le kar ji ki baat juun ki tuun sab baat ye kyuun ji jaa ke sunaani auron se mujh se kaho ho aahein bhar bhar huuk jigar mein uThti hai aur yunhi dar-parda apni chaah jataani auron se laung khilaaein ham jo kabhi to us ko Daalo munh se thuuk aur ye kyuun ji roz mufaarreh chhinke khaani auron se auron ke to ghar mein jaa kar dauD ke piini aap sharaab mere aage pi nahin sakte maang ke paani auron se ham jo paDhein koi sher to kahnaa sher se ham ko zauq nahin 'mir'-hasan ke ghar mein kahaani jaa ke paDhaani auron se parda is mein kyaa hai pyaare duniyaa mein 'maaruf' hai ye aashiq se hai bair tujhe aur ulfat jaani auron se"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi
Quote
"na khvaahish hai gadaai ki na hai armaan shaahi kaa ilaahi ishq de bande ko mahbub-e-ilaahi kaa agar rakkhe tire kuche ki sarhad se qadam baahar gumaan phir khizr par le jaaein ham gum-karda raahi kaa yahaan to daagh-e-khun daaman se dhoyaa tu ne ai haamil vahaan ik din khilegaa gul hamaari be-gunaahi kaa bahut aashiq to maqtul-e-nigaah-o-ghamza hain lekin ye teraa nim-jaan bismil hai teri kam-nigaahi kaa ghulaami 'khusrav'-e-dehli ki hai 'maaruf' fakhr apnaa ki ham aashiq hai ham maashuq mahbub-e-ilaahi kaa"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi
Quote
"le chalo mujh ko us aaina-e-rukhsaar ke paas khaak us ziist pe jo yaar na ho yaar ke paas nargis-e-chashm kaa mat rakh dil-e-ranjur khayaal yaani bimaar ko rakhte nahin bimaar ke paas sar miraa tan se agar duur kiyaa sar sadqe rakhiyo qaatil to mujhe apni hi divaar ke paas chashm-e-mast us ki se aakhir ko hoi ham bhi kharaab hai yahi us ki sazaa baiThe jo mai-khvaar ke paas yuun khayaal us kaa sar-afraaz kare hai 'maaruf' shah qadam-ranja kare juun kasu naadaar ke paas"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi
Quote
"puchho na kuchh kaTe hai ab auqaat kis tarah hai ye hi gham ki aaeinge vo haat kis tarah 'maaruf' se ye main ne jo puchhaa ki in dinon batlaa tire guzarte hai auqaat kis tarah kahne lagaa ki rote guzartaa hai mujh ko din phir main kahaa ki din to huaa raat kis tarah bolaa ki raat vaqt-e-mulaaqaat-e-yaar hai puchhaa jo main ki shakl-e-mulaaqaat kis tarah bolaa ki ham ko ek munaajaat yaad hai main ne kahaa sunin vo munaajaat kis tarah be-ikhtiyaar ro ke kahaa dil lagaa kahin kahne ki baat hai ye kahun baat kis tarah"
Maroof DehlviMaroof Dehlvi