SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaqin-o-ilm ki fazaa na shahr mein na gaanv mein kisi kaa koi muddaaa na shahr mein na gaanv mein samajh sake jo raaste mein gardishon ki chaal ko koi bhi aisaa rahnumaa na shahr mein na gaanv mein sisak rahi hain izzatein uchhal rahi hain pagDiyaan sharaafaton se vaasta na shahr mein na gaanv mein vatan mein luuT ho rahi taraqqiyon ke naam par numud-e-subh-e-irtiqaa na shahr mein na gaanv mein hon munaqid qadam-qadam mohabbaton ki mahfilein huaa hai aisaa faisla na shahr mein na gaanv mein"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"hazaar maslahat-e-vaqt saath saath rahi junun ke saamne baazi khirad ki maat rahi jahaan bhi main ne imaarat kaa ehtiraam kiyaa vahin pe ruuTh ke mujh se miri hayaat rahi tiri nigaah-e-karam par yaqin kyaa aayaa fareb-e-husn mein ye saari kaaenaat rahi vo ik kali ne chaTak kar chaman ko samjhaa di jo baat-chit sitaaron se saari raat rahi khirad ne laakh dikhaain vafaa ki tasvirein miri nigaah magar jaanib-e-furaat rahi vo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehraab gharaz ki ho ke mohabbat ki vaardaat rahi ye apne apne samajhne kaa farq hai 'raaje' kahaan nigaah-e-karam nazr-e-iltifaat rahi"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTlaai nahin jaati hai kyaa shai putlaa-e-khaaki mein jo paai nahin jaati huzur-e-husn mein ye ishq ki khuddaariyaan naadaan tamannaa arz ki jaati hai farmaai nahin jaati mujhe ai dil usi kuche usi mahfil mein phir le chal tabiat mai-kade mein mujh se bahlaai nahin jaati miraa ronaa mire bas mein nahin hai naaseh-e-mushfiq ghaTaa ye khud baras jaati hai barsaai nahin jaati zaraa saa guftugu mein moD ho to chaunk uThti huun miri divaangi se itni daanaai nahin jaati na vo divaangi hai ab na vo sahraa na vo kaanTe magar talvon se shaan-e-aabla-paai nahin jaati un aankhon se ziyaa-e-mehr ki ummid ai 'raaje' jin aankhon mein mohabbat ki ramaq paai nahin jaati"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"chaunk uThe aql vaale ye kyaa kah diyaa husn ko main ne apnaa khudaa kah diyaa nur-e-dil se hai raushan jahaan-e-vafaa dil ko main ne charaagh-e-vafaa kah diyaa phuul muskaae kaliyon ne angDaai li ai nasim-e-sahar tu ne kyaa kah diyaa main ne dil mein koi baat rakkhi nahin main ne har baat ko barmalaa kah diyaa meri rudaad-e-gham khaa gai hai mujhe sunne vaalon ne to vaah-vaa kah diyaa log le jaaeinge su-e-daar-o-rasan ham ne dil kaa agar muddaaa kah diyaa apnaa sheva rahaa 'raaje' kyaa saadgi ham ne un ki jafaa ko vafaa kah diyaa"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"dard ko kitnaa chain milaa hai parvaanon ki mahfil mein chaaragari dam toD gai hai naa-daanon ki mahfil mein apnon ki mahfil mein dil par tanz ke nashtar barse hain kis darja ikhlaas milaa hai begaanon ki mahfil mein aaj vafaa par zikr kareinge ahl-e-khirad se divaane aaj junun ki shama jalegi farzaanon ki mahfil mein ab ke ham bhi vahshat-e-dil ko bahlaane le jaaeinge ab ke bahaarein raqs kareingi viraanon ki mahfil mein chaand ki kirnon ki baahon mein sone vaale jaag uThein halchal mach jaae na mere armaanon ki mahfil mein ham saudaagar ashk-e-vafaa ke kaun hamein pahchaanegaa kaun haqiqat ko samjhegaa afsaanon ki mahfil mein dar-dar ham ne Thokarein khaain dair-o-haram bhi ghuum aae 'raaje' magar insaan mile hain paimaanon ki mahfil mein"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"haan tire pyaar ki bahaar huun main is kahaani kaa ikhtisaar huun main be-qaraari mein ik qaraar huun main zarre-zarre se aashkaar huun main ai miri ziist ki hasin ummid subh kaa teri e'tibaar huun main mishal-e-raah zindagi hai tu aur manzil ki raazdaar huun main kaun jaanegaa kaun samjhegaa kis qadar kitni be-qaraar huun main miri aankhon ki raushni hai tu tu hai suraj tiraa hisaar huun main zulmaton ke khilaaf ai 'raaje' ek shamshir-e-aab-daar huun main"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"junun-e-ishq mein shauq-e-ziyaan tak kaun pahunchegaa yahaan tak ham chale aae yahaan tak kaun pahunchegaa tumhaari bazm mein ye soch kar ham muskuraae hain tumhaari bazm mein soz-e-nihaan tak kaun pahunchegaa koi mandir mein baiThaa hai koi masjid mein baiThaa hai bataao justuju-e-laa-makaan tak kaun pahunchegaa jahaan har vaqt ho pesh-e-nazar bas maut kaa khaTkaa vahaan phir maqsad-e-umr-e-ravaan tak kaun pahunchegaa ye duniyaa kho rahi hai jalva-haa-e-husn duniyaa mein tumhaare husn aur mere bayaan tak kaun pahunchegaa yaqin-e-dushmanaan to hai yaqin-e-dostaan kyaa hai jahaan meri nazar pahunchi vahaan tak kaun pahunchegaa jise dekho vahi 'raaje' talabgaar-e-masarrat hai hamaare ranj-o-gham ki daastaan tak kaun pahunchegaa"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"jazba-e-hamsari har rukh se ayaan hotaa hai teri mahfil mein jahaan meraa bayaan hotaa hai aaina hotaa hai jab mere muqaabil ai dost teri surat tiraa rukh us se ayaan hotaa hai ik hasin phuul kaa paikar hai suhaani shab hai phir mire siine mein ik dard javaan hotaa hai dekhnaa jaanib-e-gul-zaar zaraa ahl-e-qafas baat kyaa hai ye udhar kaisaa dhuaan hotaa hai main tiraa aaina huun tu hai miraa aks-e-hasin zarre-zarre se tiraa jalva ayaan hotaa hai mere dil mein hai vahin maskan-e-yaad-e-gham-dost Tisein uThti hain jahaan dard jahaan hotaa hai raah-e-ulfat kaa tasavvur bhi kabhi ai 'raaje' ahl-e-daanish ke liye baar-e-garaan hotaa hai"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"jab bhi siine mein kisi but ko sajaayaa ham ne ik hijaab aap ke chehre se uThaayaa ham ne naam lene se tiraa baaz na aayaa phir bhi dil-e-kambakht ko samjhaayaa bujhaayaa ham ne teri tasvir pe kuchh soch ke aksar apnaa naam likh likh ke kai baar miTaayaa ham ne ek ehsaas ki bandish ke sivaa kuchh bhi nahin aap ke pyaar se is raaz ko paayaa ham ne kabhi is dil ke varaq par jo likhi thi tahrir teraa khat paDh ke use aaj miTaayaa ham ne aaj kis darja bulandi pe hai qismat apni aap ki bazm mein dil apnaa jalaayaa ham ne 'raaje' ham kis se kahein kaun sunegaa fariyaad is jahaan mein koi insaan na paayaa ham ne"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"kin manzilon mein gardish-e-lail-o-nahaar hai un kaa karam bhi meri tabiat pe baar hai meri zabaan pe harf-e-shikaayat kaa muddaaa un ki zabaan pe vaada-e-be-e'tibaar hai dekhe ulaT ke koi jo taarikh ke varaq har naghma meraa zaamin-e-fasl-e-bahaar hai ik kashmakash si ho gai maut-o-hayaat mein aankhon ko meri jab se tiraa intizaar hai khud apne aap jaan le apne maqaam ko nau-e-bashar zaraa bhi agar burdbaar hai phaili hui hai jab se chaman mein khizaan ki baat simTaa huaa saa jalva-e-husn-e-bahaar hai khaataa hai kitnaa gham koi piitaa hai kitni mai 'raaje' ye apne zarf pe daar-o-madaar hai"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"na tirgi ke liye hain na raushni ke liye shab-o-sahar ke taqaaze hain bandagi ke liye hamaaraa khuun bhi haazir hai ai khirad-mando tumhaare daur ki be-kaif zindagi ke liye savaad-e-shaam to hai aam bazm-e-fitrat mein magar tulu-e-sahar hai kisi kisi ke liye rah-e-talab mein andheron ko kosne vaalo kisi ne dil bhi jalaayaa hai raushni ke liye kuchh aaine bhi tiri anjuman mein TuuTe hain tire labon ke tabassum tiri khushi ke liye faqih-e-shahr se meraa salaam kah denaa ki zindagi bhi ibaadat hai zindagi ke liye ridaa-e-bint-e-inab ban gai bisaat-e-nujub ye ehtimaam hai 'raaje' kis aadmi ke liye"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"ghair se un ki mulaaqaat kahaan thi pahle aaj jo baat hai vo baat kahaan thi pahle ab to be-baat hi rahte ho kashida-khaatir be-rukhi mujh se ye be-baat kahaan thi pahle mere haalaat ne kuchh us ko tasalli di hai mutmain gardish-e-haalaat kahaan thi pahle ab to har baat pe taana hi mujhe miltaa hai aap ki bazm mein ye baat kahaan thi pahle ho ke barbaad main samjhi huun maqaam-e-ulfat varna mujh mein ye karaamaat kahaan thi pahle aap hi meri tabaahi kaa baneinge mujib meri daanist mein ye baat kahaan thi pahle ghaur se dekhiye ye faiz-e-havas hai 'raaje' is qadar aamad-e-aafaat kahaan thi pahle"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"ek aisaa azm-e-raasikh ab hamaare dil mein hai gardish-e-ayyaam bhi khud in dinon mushkil mein hai apni ulfat par bahut kuchh tabsire hote rahe aazmaaish meri khaamoshi ki har mahfil mein hai rahrav-e-manzil na samjhaa aaj tak ye falsafa kaarvaan-e-zindagi kaa har qadam manzil mein hai is khushi kaa ho buraa majbur kitnaa kar diyaa soch kar hi rah gae ham kaisi khvaahish dil mein hai teri meri kahne vaale soch lenaa ek baar jhuuT khulne par tiri izzat kisi mahfil mein hai saaebaan to hai nahin koi bhi raah-e-ishq mein soch kar rah rah ke ye ahl-e-khirad mushkil mein hai ham se 'raaje' dushmanon kaa bhi buraa hotaa nahin dosti kaa paas itnaa to hamaare dil mein hai"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"dariyaa-e-nur-o-rang hai nikhat hai zindagi paighambar-e-khulus-o-mohabbat hai zindagi chaaho to har qadam pe tumhein manzilein milein socho to hausla hai shujaa'at hai zindagi ye imtiyaaz-o-farq ye nafrat hiqaaratein aur mazhab-e-vafaa ki shari'at hai zindagi meri nazar nahin nigah-e-shaikh-o-barhaman pasti nahin hai 'arsh ki rifat hai zindagi phir shaam-e-hijr aaegi sail-e-alam liye phir ro ke ham kaheinge ki furqat hai zindagi galiyon ki khaak chhaani to moti mile hain ye kah ke ham na soe ki raahat hai zindagi 'raaje' jo kuchh bhi faisla ahl-e-khirad karein mere liye to sirf mohabbat hai zindagi"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi