SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aatish-e-ishq mein kyaa kyaa nahin jalte dekhaa dil to kyaa chiiz hai lohe ko pighalte dekhaa qadr-e-duniyaa-e-do-roza hai fanaa hone se barg-rezi ko isi baagh mein phalte dekhaa roz-e-mahshar ki daraazi ki qasam detaa huun kah to de koi ki din hijr kaa Dhalte dekhaa ku-e-qaatil mein ye pakvaan hai ye khaanaa hai bhunte dekhe jigar haathon ko talte dekhaa hijr-e-jaanaan mein kahin jiine se marnaa behtar zindagaani ke maze ko yahin khalte dekhaa parvarish teri hai maahi-o-samundar se inaan koi paani mein koi aag mein palte dekhaa chaukDi bhuul gae mere havaas-e-khamsa us ki bagghi ko saDak par jo nikalte dekhaa misl-e-auraaq-e-shajar ranj-e-khizaan mein ai 'rashk' jis ko dekhaa kaf-e-afsos hi malte dekhaa"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"ghair dushman hue yaaraan-e-vatan bhuul gae aap jab se mujhe ai mushfiq-e-man bhuul gae meri fariyaad se baat ahl-e-sukhan bhuul gae zamzame naghma-saraayaan-e-chaman bhuul gae is qadar gardish-e-taqdir se ghabraa gae ham sadma-e-kajravi-e-charkh-e-kuhan bhuul gae kyaa kahein ranj-e-gharib-ul-vatani ki lazzat shaam-e-gham dekhte hi subh-e-vatan bhuul gae is qadar duur hue aalam-e-arvaah se ham naam kyaa surat-e-yaaraan-e-vatan bhuul gae shab-e-furqat jo khayaal aaya tiri aankhon kaa saare aafaat ba-yak-chashm-zadan bhuul gae khaak mein saunpte hi baat na puchhi afsos ek hi roz mein yaaraan-e-vatan bhuul gae rukh-o-qadd-o-badan-o-ghuncha-lab aisaa bhaayaa ki ham ai 'rashk' gul-o-sarv-o-saman bhuul gae"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"in buton se jo rah-o-rasm hai jaari rakhnaa ai khudaa-vand-e-jahaan baat hamaari rakhnaa paalki aur janaaze mein nahin aisaa farq jo nibhe gor tak ai dil vo savaari rakhnaa ai gham-o-dard-o-alam aish-e-jahaan faani hai kaam aaegaa mulaaqaat tumhaari rakhnaa gulshan-e-husn-e-butaan phule phale yaa-allaah is chaman mein asar-e-baad-e-bahaari rakhnaa chashm-e-bulbul kaa kamar-band rag-e-gul si kamar gul-badan ki tumhein zebaa hai kaTaari rakhnaa aashnaa dost nahin bahr-e-fanaa ai munim chashma-e-faiz hai daulat ise jaari rakhnaa dil ki taaqat ghaTe yaa nuur ghaTe aankhon se chaahiye khaatir-e-pur-nur tumhaari rakhnaa laakh ahbaab sataaein lab-e-shikva na khulein madad ai hausla tu baat hamaari rakhnaa hamin barson rahe hain tere liye khaana-ba-dosh kuchh jagah dil mein jo rakhnaa to hamaari rakhnaa ham se baatein rahein auron se rahe khaamoshi itni ai ghuncha-dahan baat hamaari rakhnaa vo muvahhid huun ki din raat hai raaziq se duaa ek sarkaar se rozi miri jaari rakhnaa sar-e-haasid ke liye tegh-e-zabaan kaafi hai mujh mein aadat mire ustaad ki jaari rakhnaa 'rashk' jab tak rahe mahmud rahe duniyaa mein aabru bande ki ai hazrat-e-baari rakhnaa"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"khudaa hai shaahid ki is sanam saa kisi sanam kaa badan na dekhaa suni nazaakat suni halaavat kamar ko misl-e-dahan na dekhaa riyaaz-e-duniyaa ki kyaa haqiqat riyaaz-e-jannat go hai tamanna kisi ne ai andalib-o-qumri vo sarv gul-pairahan na dekhaa hazaaron mazmun ham ne baandhe chhupaa jo mu-e-nazar kamar se liye tasavvur ne laakhon bose jo ru-e-ghuncha-dahan na dekhaa khayaal-e-yaaqub mein na aataa gumaan pairaahan-e-pisar kaa hazaar afsos us ne teraa puraanaa bhi pairahan na dekhaa banaae madfan ajiib ghar hai kab inhidaam-e-makaan kaa Dar hai rah-e-fanaa raah-e-be-khatar hai yahaan gham-e-raah-zan na dekhaa ghazal kaa har sher garm-tar hai kalaam-e-'rashk' aatish-o-sharar hai ye sohbat-e-'mehr' kaa asar hai ki sard is kaa sukhan na dekhaa"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"ham siyah-bakhton ko suuli par chaDhaanaa aur hai daar-e-isaa aur hai zulf-e-chalipaa aur hai khud-bakhud qurbaan hone ke liye jaate hain log raah-e-maqtal aur hai kaabe kaa rastaa aur hai kis ne dekhaa hai khudaa ko dekhte hain tum ko sab tur-e-musaa aur hai koThaa tumhaaraa aur hai naama-e-jaanaan hai yaa likkhaa miri taqdir kaa khat ki inshaa aur hai likhne ki imlaa aur hai aaina aaina-e-aariz ko pahunche munh kahaan aks denaa aur hai hairaan karnaa aur hai dil kahaan ai 'rashk' dast-e-kotah-e-vahshat kahaan meraa sahraa aur hai majnun kaa sahraa aur hai"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"jin dinon kuchh aur iraada thaa bahaanaa aur thaa vo zamaanaa aur thaa vo kaar-khaana aur thaa saajidaan-e-ku-e-jaanaan kaa zamaana aur thaa junbishein vo aur thiin vo aastaanaa aur thaa daagh-e-dil kyunkar luTaa detaa main haatim ki tarah vo khazaana aur thaa meraa khazaanaa aur thaa kyon na kartaa vo shikaar-afgan dil-e-ushshaaq said har nishaana aur thaa dil kaa nishaana aur thaa mere arz-e-haal mein paDhne lage tum nal-daman vo fasaana aur thaa meraa fasaana aur thaa zakhmi-e-tir-e-nigah tegh-e-zabaan se mar gae tiir khaanaa aur thaa talvaar khaanaa aur thaa shaah-e-khaibar-gir se marhab ko nisbat kaun thi dar hilaanaa aur thaa mugdar hilaanaa aur thaa aashiq-e-saadiq ko maashuq-e-haqiqi chaahiye qais-e-abla aur thaa bahlol-e-daanaa aur thaa din-e-ahmad se na the ai 'rashk' adyaan-e-salaf vo zamaana aur thaa aglaa zamaana aur thaa"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"dil na qaabu mein hai na dilbar hai maut is zindagi se behtar hai aaiye jab mizaaj mein aae khaana-e-dil huzur kaa ghar hai ai ajal khaana-e-jahaan se nikaal ki ye ehsaan had se baahar hai rone baiThun to log kahte hain abr-e-tar hai ki dida-e-tar hai kahti hai khubi-e-khiraam-e-butaan kabk paa-posh ke baraabar hai thak gae ku dukaan-e-sang-andaaz teraa divaana hai ki patthar hai khush hain is sarv-e-naaz se gul-o-sarv dost-parvar hai banda-parvar hai puchhte kyaa ho is faqir kaa haal ab to takiya faqat khudaa par hai vahi achchhe jo khaana-viraan hain ghar banaanaa fasaad kaa ghar hai khvaab mein bu-e-yaar aati hai farsh to farsh ghar moattar hai kyon na chamke ghazal tamaam ai 'rashk' munh kaa mazmun maah-e-anvar hai"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"sab mujhe be-sar-o-paa kahte hain ai mohabbat ise kyaa kahte hain jo kuchh us but ko barahman ne kahaa ham kahin us se sivaa kahte hain main jo rouun use kahte hain maraz vo hanse us ko davaa kahte hain jhuk ke qaatil ko munaasib hai salaam is ko taslim-o-razaa kahte hain kyaa huaa kahiye jo us but ko khudaa log bandon ko khudaa kahte hain kaatib aa jaae to qaasid na mile use qismat kaa likhaa kahte hain 'rashk' se baat bhi karte nahin aap kahiye is baat ko kyaa kahte hain"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"kyaa navaa-e-abas ai ghuncha-dahan karte hain baagh mein teri sifat murgh-e-chaman karte hain guftugu bazm-e-jahaan mein hai tiri baaton ki zikr teraa hi tamaam ahl-e-sukhan karte hain tujh ko le jaaein chaman mein to bigaD jaae havaa ham faqat khaatir-e-murghaan-e-chaman karte hain jism-e-khaaki mein miri ruuh yahi karti hai qafas-e-tang mein jo murgh-e-chaman karte hain sarv-qad ghuncha-dahan sumbul-o-gul gesu-o-rukh tujh ko kyaa dekhte hain sair-e-chaman karte hain dekhne aate hain meraa tan-e-pur-daagh ai 'rashk' log juuhi mein tamaashaa-e-chaman karte hain"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"sisak rahe hain kai naa-tavaan se baahar qadam nikaal kisi din makaan se baahar kalaam-e-yaar ki taarif kis zabaan se ho hai khush-bayaani-e-jaanaan bayaan se baahar na hone mein hi hai lutf-e-dahan raho khaamosh samajh ke baat nikaalo zabaan se baahar hamaare saath hai paimaana-e-dil ai khammaar nikaal shisha-o-saaghar dukaan se baahar karegaa charkh miri gor se bhi kaj-baazi koi zamin nahin aasmaan se baahar tumhaare ghar se agar naam luun nikalne kaa nikaal do mujhe saare jahaan se baahar baraae-jalva kasif-o-latif yaksaan hain na aap jism se baahar na jaan se baahar kiyaa mujhe samar-e-nakhl-e-aah ne mamnun vo baarhaa nikal aae makaan se baahar vo sher kyaa ki maaani hon batn-e-shaair mein ghalat ye hai rahe maghz ustukhvaan se baahar asar talammuz-e-'naasikh' kaa kyon na ho ai 'rashk' tamaam tarz-e-sukhan hai bayaan se baahar"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"raabta hai lab-e-jaanaan se hamein kaam hai chashma-e-haivaan se hamein munh lagaayaa hai to aab-e-haivaan dijiye chaah-e-zanakhdaan se hamein dhuup se bhi hai ziyaada parhez saaya-e-daaman-e-ehsaan se hamein chashma-e-chashm kahaan abr kahaan bahs kyaa baarish-o-baaraan se hamein ulfat-e-sar hai na afsar kaa khayaal kyaa ilaaqa sar-o-saamaan se hamein na nikaalegaa kabhi bakht-e-siyaah zulmat-e-shaam-e-gharibaan se hamein chhuT gai sohbat-e-jaanaan ai 'rashk' ranj hai rabt-e-tan-o-jaan se hamein"
M
Meer Ali Ausat Rashk
Quote
"mire naalon mein ham-sar josh-e-dariyaa ho nahin saktaa miraa ham-gard sahraa mein bagulaa ho nahin saktaa davaa se hijr kaa bimaar achchhaa ho nahin saktaa duaa se dekhein ho saktaa hai kuchh yaa ho nahin saktaa vo bulbul huun ki fasl-e-gul mein ghaughaa ho nahin saktaa vo tuuti huun ki aaine se goyaa ho nahin saktaa giraan-jaani bhi is sanjidgi ke saath hai mujh mein ki koh-e-kohkan paasang meraa ho nahin saktaa chhupaao shakl yaa taqrir par be-parda kahtaa huun ki mujh ko tum se tum ko mujh se pardaa ho nahin saktaa vo zarra huun ki khurshid-e-qayaamat bhi na chamkaae vo qatra huun samundar se bhi dariyaa ho nahin saktaa vo gumrah huun ki khizr aae hidaayat ko to gumraah ho vo murda huun ki iisaa se bhi zinda ho nahin saktaa vo vahshi huun ki mujh se bhaagtaa hai aahu-e-vahshat vo majnun huun koi ham-pesha meraa ho nahin saktaa vo sar-gashta huun vahshat har qadam chakraati hai mujh se mire daure mein koi sar-ba-sahraa ho nahin saktaa qubul-e-khaatir-o-lutf-e-sukhan ai 'rashk' aur hi hai nahin to shaairon se aur kyaa kyaa ho nahin saktaa"
M
Meer Ali Ausat Rashk