SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySaghar Siddiqui(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ai husn-e-laala-faam! zaraa aankh to milaa khaali paDe hain jaam! zaraa aankh to milaa kahte hain aankh aankh se milnaa hai bandagi duniyaa ke chhoD kaam! zaraa aankh to milaa kyaa vo na aaj aaeinge taaron ke saath saath tanhaaiyon ki shaam! zaraa aankh to milaa ye jaam ye subu ye tasavvur ki chaandni saaqi kahaan mudaam! zaraa aankh to milaa saaqi mujhe bhi chaahiye ik jaam-e-aarzu kitne lageinge daam! zaraa aankh to milaa paamaal ho na jaae sitaaron ki aabru ai mere khush-khiraam! zaraa aankh to milaa hain raah-e-kahkashaan mein azal se khaDe hue 'saaghar' tire ghulaam! zaraa aankh to milaa"
Saghar SiddiquiSaghar Siddiqui
Quote
"mataa-e-kausar-o-zamzam ke paimaane tiri aankhein farishton ko banaa deti hain divaane tiri aankhein jahaan-e-rang-o-bu uljhaa huaa hai un ke Doron mein lagi hain kaakul-e-taqdir suljhaane tiri aankhein ishaaron se dilon ko chheD kar iqraar karti hain uThaati hain bahaar-e-nau ke nazraane tiri aankhein vo divaane zamaam-e-laala-o-gul thaam lete hain jinhein mansub kar deti hain viraane tiri aankhein shagufon ko sharaaron kaa machaltaa ruup deti hain haqiqat ko banaa deti hain afsaane tiri aankhein"
Saghar SiddiquiSaghar Siddiqui
Quote
"har shai hai pur-malaal baDi tez dhuup hai har lab pe hai savaal baDi tez dhuup hai chakraa ke gir na jaaun main is tez dhuup mein mujh ko zaraa sambhaal baDi tez dhuup hai de hukm baadalon ko khayaabaan-nashin huun jaam-o-subu uchhaal baDi tez dhuup hai mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdaan baras paDe zulfon ki chhaanv Daal baDi tez dhuup hai ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai samjhi hai jis ko saaya-e-ummid aql-e-khaam 'saaghar' kaa hai khayaal baDi tez dhuup hai"
Saghar SiddiquiSaghar Siddiqui
Quote
"ek naghma ek taaraa ek ghuncha ek jaam ai gham-e-dauraan gham-e-dauraan tujhe meraa salaam zulf aavaara garebaan chaak ghabraai nazar in dinon ye hai jahaan mein zindagaani kaa nizaam chand taare TuuT kar daaman mein mere aa gire main ne puchhaa thaa sitaaron se tire gham kaa maqaam kah rahe hain chand bichhDe rahravon ke naqsh-e-paa ham kareinge inqalaab-e-justuju kaa ehtimaam paD gaiin pairaahan-e-subh-e-chaman par silvaTein yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek shaam teri ismat ho ki ho mere hunar ki chaandni vaqt ke baazaar mein har chiiz ke lagte hain daam ham banaaeinge yahaan 'saaghar' nai tasvir-e-shauq ham takhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam"
Saghar SiddiquiSaghar Siddiqui
Quote
"taaron se meraa jaam bharo main nashe mein huun ai saakinaan-e-khuld suno main nashe mein huun kuchh phuul khil rahe hain sar-e-shaakh-e-mai-kada tum hi zaraa ye phuul chuno main nashe mein huun Thahro abhi to subh kaa maaraa hai zau-fishaan dekho mujhe fareb na do main nashe mein huun nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhuup mein bikhraa ke zulf saath chalo main nashe mein huun mela yuun hi rahe ye sar-e-rahguzaar-e-zist ab jaam saamne hi rakho main nashe mein huun paael chhanak rahi hai nigaar-e-khayaal ki kuchh ehtimaam-e-raqs karo main nashe mein huun main Dagmagaa rahaa huun bayaabaan-e-hosh mein mere abhi qarib raho main nashe mein huun hai sirf ik tabassum-e-rangin bahut mujhe 'saaghar' ba-dosh laala-rukho main nashe mein huun"
Saghar SiddiquiSaghar Siddiqui