Shayari
ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast saare shahr vaale khuun ki holi mein the
aati hai dhaar un ke karam se shuur mein
dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi
آتی ہے دھار ان کے کرم سے شعور میں
دشمن ملے ہیں دوست سے بہتر کبھی کبھی
आती है धार उन के करम से शुऊर में
दुश्मन मिले हैं दोस्त से बेहतर कभी कभी

ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast saare shahr vaale khuun ki holi mein the
husn kaafir thaa adaa qaatil thi baatein sehr thiin
aur to sab kuchh thaa lekin rasm-e-dildaari na thi
saahil ke sukun se kise inkaar hai lekin
tufaan se laDne mein mazaa aur hi kuchh hai
tumhaari maslahat achchhi ki apnaa ye junun behtar
sambhal kar girne vaalo ham to gir gir kar sambhle hain
ham jis ke ho gae vo hamaaraa na ho sakaa
yuun bhi huaa hisaab baraabar kabhi kabhi
bastiyaan kuchh huiin viraan to maatam kaisaa
kuchh kharaabe bhi to aabaad huaa karte hain
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
in rozon lutf-e-husn hai aao to baat hai
do din ki chaandni hai phir andhiyaari raat hai
kahte hain mere dost miraa haal dekh kar
dushman ko bhi khudaa na kare mubtalaa-e-ishq
chaman mein gul ne jo kal daava-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne munh us kaa khuub laal kiyaa