Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
dariyaaon ki nazr hue
dhire dhire sab tairaak
دریاؤں کی نذر ہوئے
دھیرے دھیرے سب تیراک
दरियाओं की नज़्र हुए
धीरे धीरे सब तैराक

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
shadid pyaas thi phir bhi chhuaa na paani ko
main dekhtaa rahaa dariyaa tiri ravaani ko
jokham ai mardum-e-dida hai samajh ke ronaa
Duub bhi jaate hain dariyaa mein nahaane vaale
us ki fitrat hai mukar jaane ki
us ke vaa'de pe yaqin kaise karun
nazar uThaao zaraa tum to kaainaat chale
hai intizaar ki aankhon se koi baat chale
maze jahaan ke apni nazar mein khaak nahin
sivaae khun-e-jigar so jigar mein khaak nahin