Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
nazar uThaao zaraa tum to kaainaat chale
hai intizaar ki aankhon se koi baat chale
نظر اٹھاؤ ذرا تم تو کائنات چلے
ہے انتظار کہ آنکھوں سے کوئی بات چلے
नज़र उठाओ ज़रा तुम तो काइनात चले
है इंतिज़ार कि आँखों से कोई बात चले

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
gard-e-safar ke saath thaa vaabasta intizaar
ab to kahin ghubaar bhi baaqi nahin rahaa
jo tire intizaar mein guzre
bas vahi intizaar ke din the
khatm ho jaaegaa jis din bhi tumhaaraa intizaar
ghar ke darvaaze pe dastak chikhti rah jaaegi