Shayari
tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai
is se baDh kar tiri yaadon ki karun kyaa taazim
teri yaadon mein zamaane ko bhulaa rakkhaa hai
اس سے بڑھ کر تری یادوں کی کروں کیا تعظیم
تیری یادوں میں زمانے کو بھلا رکھا ہے
इस से बढ़ कर तिरी यादों की करूँ क्या ताज़ीम
तेरी यादों में ज़माने को भुला रक्खा है

tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai
taajjub kuchh nahin 'daanaa' jo baazaar-e-siyaasat mein
qalam bik jaaein to sach baat likhnaa chhoD dete hain
ghar ki viraaniyaan le jaae churaa kar koi
isi ummid pe darvaaza khulaa rakkhaa hai
apne hi khuun se is tarah adaavat mat kar
zinda rahnaa hai to saanson se baghaavat mat kar
us se puchho azaab raston kaa
jis kaa saathi safar mein bichhDaa hai
hai jism sakht magar dil bahut hi naazuk hai
ki jaise aaina mahfuz ik chaTTaan mein hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
zehn par zor bhi Daalo to na yaad aauun main
is tarah parda-e-nisyaan mein chhupaa lo mujh ko
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
mujh se kaafir ko tire ishq ne yuun sharmaayaa
dil tujhe dekh ke dhaDkaa to khudaa yaad aaya
yaad ban ke pahlu mein mausamon ke bistar par
karvaTein badalti hain mehrbaaniyaan saari