Shayari
adaa huaa na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr
main kis zabaan se karungaa shikaayatein teri
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
کوئی پرانا خط کچھ بھولی بسری یاد
زخموں پر وہ لمحے مرہم ہوتے ہیں
कोई पुराना ख़त कुछ भूली-बिसरी याद
ज़ख़्मों पर वो लम्हे मरहम होते हैं

adaa huaa na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr
main kis zabaan se karungaa shikaayatein teri
safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamein in aablon ko phoD denaa thaa
ham fanaa-nasibon ko aur kuchh nahin aataa
khuun sharaab kar lenaa jism jaam kar lenaa
lauT kar yaqinan main ek roz aaungaa
palkon pe charaaghon kaa ehtimaam kar lenaa
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diyaa gayaa
jo aib thaa use bhi hunar kah diyaa gayaa
charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa
churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
is judaai mein tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazur ko dekhoge to yaad aaungaa
mujhe khabar thi ki ab lauT kar na aaungaa
so tujh ko yaad kiyaa dil pe vaar karte hue
log to aur bhi akele hain
tum ko ehsaas kuchh ziyaada hai
aao puraani yaad ke shoalon mein taap lein
kitne hain haath sard mulaaqaat ki tarah
kisi ko yaad kar ke ek din khalvat mein royaa thaa
nahin maalum kyuun jab se nadaamat baDhti jaati hai