Shayari
dil ki haalat bayaan nahin hoti
khaamushi jab zabaan nahin hoti
iid kaa din hai gale mil liije
ikhtilaafaat haTaa kar rakhiye
عید کا دن ہے گلے مل لیجے
اختلافات ہٹا کر رکھیے
ईद का दिन है गले मिल लीजे
इख़्तिलाफ़ात हटा कर रखिए

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
ham ko is ki kyaa khabar gulshan kaa gulshan jal gayaa
ham to apnaa sirf apnaa aashiyaan dekhaa kiye