Shayari
abhi se mat mire kirdaar ko maraa huaa jaan
tire fasaane mein zikr aaegaa dobaaraa miraa
ik intizaar mein qaaem hai is charaagh ki lau
ik ehtimaam mein kamre kaa dar khulaa huaa hai
اک انتظار میں قائم ہے اس چراغ کی لو
اک اہتمام میں کمرے کا در کھلا ہوا ہے
इक इंतिज़ार में क़ाएम है इस चराग़ की लौ
इक एहतिमाम में कमरे का दर खुला हुआ है

abhi se mat mire kirdaar ko maraa huaa jaan
tire fasaane mein zikr aaegaa dobaaraa miraa
saath dene ki baat saare karein
aur nibhaae koi koi mire dost
mujhe ab aa gae hain nafraton ke biij bone
so meraa haq ye bantaa hai ki sardaari karungaa
koi charaagh miri samt bhi ravaana karo
bahut dinon se andheraa mire vajud mein hai
ye teraa maal kisi roz Das hi legaa tujhe
agar tu is mein se khairaat kuchh nahin karegaa
thaamungaa nahin ab ke munaajaat kaa daaman
dil tujh se uThaa aur tire dar se uThaa main
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tamaam umr tire intizaar mein hamdam
khizaan-rasida rahaa huun bahaar kar mujh ko
bajaae siine ke aankhon mein dil dhaDaktaa hai
ye intizaar ke lamhe ajiib hote hain
kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise