Shayari
kabhi kabhi kitnaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai
airon ghairon kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai
kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
کسی کے رستے پہ کیسے نظریں جمائے رکھوں
ابھی تو کرنا مجھے ہے خود انتظار میرا
किसी के रस्ते पे कैसे नज़रें जमाए रक्खूँ
अभी तो करना मुझे है ख़ुद इंतिज़ार मेरा

kabhi kabhi kitnaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai
airon ghairon kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai
tamaam rang adhure lage tire aage
so tujh ko lafz mein tasvir kartaa rahtaa huun
tahzib ki zanjir se uljhaa rahaa main bhi
tu bhi na baDhaa jism ke aadaab se aage
kisi ko DhunDte hain ham kisi ke paikar mein
kisi kaa chehra kisi se milaate rahte hain
ab kitni kaar-aamad jangal mein lag rahi hai
vo raushni jo ghar mein bekaar lag rahi thi
ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe
tujh se ho kar ham khafaa khud se khafaa rahne lage
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
laazim hai intizaar karungaa main umr-bhar
mumkin agar ho tum bhi miri raah dekhnaa
maza to shaam ki mahfil ke intizaar mein hai
sahar mein kuchh nahin khvaab-e-sahar mein kuchh bhi nahin
mujhe khabar thi miraa intizaar ghar mein rahaa
ye haadsa thaa ki main umr bhar safar mein rahaa
'ghaalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain
roiye zaar zaar kyaa kijiye haae haae kyuun