Shayari
ab us pe chaand sitaare bhi rashk karte hain
vo ik diyaa jo kabhi dasht mein bujhaayaa gayaa
ghurur-e-tishna-dahaani tiri baqaa ki qasam
nadi hamaare labon ki taraf uchhalti rahi
غرور تشنہ دہانی تری بقا کی قسم
ندی ہمارے لبوں کی طرف اچھلتی رہی
ग़ुरूर-ए-तिश्ना-दहानी तिरी बक़ा की क़सम
नदी हमारे लबों की तरफ़ उछलती रही

ab us pe chaand sitaare bhi rashk karte hain
vo ik diyaa jo kabhi dasht mein bujhaayaa gayaa
tere pahlu mein zaraa der ko sustaa lungaa
tujh tak aa pahunchaa agar niind mein chaltaa huaa main
magar main zaat ke sahraa mein mahv-e-raqs rahaa
mujhe bhi koh-e-nidaa ki taraf bulaayaa gayaa
pairon se Takraate hain jab jhonke sard havaaon ke
haath larazne lag jaate hain chamDe ke dastaanon mein
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge