Shayari
honTon pe tabassum kaa labaada to nahin thaa
ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahin thaa
tahrir the khvaab aur tamanna ke havaale
itnaa varaq-e-dil koi saada to nahin thaa
تحریر تھے خواب اور تمنا کے حوالے
اتنا ورق دل کوئی سادہ تو نہیں تھا
तहरीर थे ख़्वाब और तमन्ना के हवाले
इतना वरक़-ए-दिल कोई सादा तो नहीं था

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
zaraa Thahro use aane do us ki baat bhi sun lein
hamein jo ilm hai go dil ko dahlaane hi vaalaa hai
zamaane ke darbaar mein dast-basta huaa hai
ye dil us pe maail magar rafta rafta huaa hai
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se huaa kuchh na kuchh havaa se huaa
dil toDne vaale ko khabar ho ki abhi main
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-bimaar nahin huun