Shayari
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
jaa ke main ku-e-butaan mein ye sadaa detaa huun
dil o diin bechne aayaa hai musalmaan koi
جا کے میں کوئے بتاں میں یہ صدا دیتا ہوں
دل و دیں بیچنے آیا ہے مسلماں کوئی
जा के मैं कू-ए-बुताँ में ये सदा देता हूँ
दिल ओ दीं बेचने आया है मुसलमाँ कोई

mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
musalmaan kaafiron mein huun musalmaanon mein kaafir huun
ki quraan sar pe but aankhon mein hai zunnaar pahlu mein
jitne achchhe hain main huun un mein buraa
hain bure jitne un mein achchhaa huun
tum ko maalum javaani kaa mazaa hai ki nahin
khvaab hi mein kabhi kuchh kaam huaa hai ki nahin
niind se uTh kar vo kahnaa yaad hai
tum ko kyaa sujhi ye aadhi raat ko
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin