Shayari
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahin karte
A
Ahmad Riyazgham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauraan
kisi maqaam pe ham ji buraa nahin karte
غم حبیب غم زندگی غم دوراں
کسی مقام پہ ہم جی برا نہیں کرتے
ग़म-ए-हबीब ग़म-ए-ज़िंदगी ग़म-ए-दौराँ
किसी मक़ाम पे हम जी बुरा नहीं करते
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahin karte
fart-e-gham-e-havaadis-e-dauraan ke baavajud
jab bhi tire dayaar se guzre machal gae
main nukta-chin nahin huun magar ye bataaiye
vo kaun the jo hans ke gulon ko masal gae
kuchh is tarah se luTi hai mataa-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-vafaa nahin karte
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
'jalil' ik sher bhi khaali na paayaa dard o hasrat se
ghazal-khvaani nahin ye dar-haqiqat nauha-khvaani hai
vo to kyaa us kaa tasavvur bhi 'jalil'
ba-sad-andaaz-o-ba-sad-naaz aaya