Shayari
fart-e-gham-e-havaadis-e-dauraan ke baavajud
jab bhi tire dayaar se guzre machal gae
A
Ahmad Riyazshikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahin karte
شکست عہد ستم پر یقین رکھتے ہیں
ہم انتہائے ستم کا گلا نہیں کرتے
शिकस्त-ए-अहद-ए-सितम पर यक़ीन रखते हैं
हम इंतिहा-ए-सितम का गिला नहीं करते
fart-e-gham-e-havaadis-e-dauraan ke baavajud
jab bhi tire dayaar se guzre machal gae
main nukta-chin nahin huun magar ye bataaiye
vo kaun the jo hans ke gulon ko masal gae
gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauraan
kisi maqaam pe ham ji buraa nahin karte
kuchh is tarah se luTi hai mataa-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-vafaa nahin karte
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
aise mein kis kaa bharosa kijiye
jab kisi pyaase ko paani maar de
yuun mulaaqaat kaa ye daur banaae rakhiye
maut kab saath nibhaa jaae bharosa kyaa hai
tumhaare aane ki ummid bar nahin aati
main raakh hone lagaa huun diye jalaate hue