Shayari
ye sadma jiite ji dil se hamaare jaa nahin saktaa
unhein vo bhule baiThe hain jo un par marne vaale hain
kisi maashuq kaa aashiq se khafaa ho jaanaa
ruuh kaa jism se goyaa hai judaa ho jaanaa
کسی معشوق کا عاشق سے خفا ہو جانا
روح کا جسم سے گویا ہے جدا ہو جانا
किसी माशूक़ का आशिक़ से ख़फ़ा हो जाना
रूह का जिस्म से गोया है जुदा हो जाना

ye sadma jiite ji dil se hamaare jaa nahin saktaa
unhein vo bhule baiThe hain jo un par marne vaale hain
mujhe khabar nahin gham kyaa hai aur khushi kyaa hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kyaa hai
jab mulaaqaat hui tum se to takraar hui
aise milne se to behtar hai judaa ho jaanaa
ek dil hai ek hasrat ek ham hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paidaa karein
tamaam umr isi ranj mein tamaam hui
kabhi ye tum ne na puchaa tiri khushi kyaa hai
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDaa abhi tak ghar ki daulat ghar mein hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
main dariyaa huun magar bahtaa huun main kohsaar ki jaanib
mujhe duniyaa ki pasti mein utar jaanaa nahin aataa
khudi ki daulat-e-uzmaa khudaa ne mujh ko bakhshi hai
qalandar huun main shaahon ki gadaai kar nahin saktaa
qurbatein ret ki divaar hain gir sakti hain
mujh ko khud apne hi saae mein Thahar jaanaa thaa