Shayari
mujhe khabar nahin gham kyaa hai aur khushi kyaa hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kyaa hai
ye sadma jiite ji dil se hamaare jaa nahin saktaa
unhein vo bhule baiThe hain jo un par marne vaale hain
یہ صدمہ جیتے جی دل سے ہمارے جا نہیں سکتا
انہیں وہ بھولے بیٹھے ہیں جو ان پر مرنے والے ہیں
ये सदमा जीते जी दिल से हमारे जा नहीं सकता
उन्हें वो भूले बैठे हैं जो उन पर मरने वाले हैं

mujhe khabar nahin gham kyaa hai aur khushi kyaa hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kyaa hai
jab mulaaqaat hui tum se to takraar hui
aise milne se to behtar hai judaa ho jaanaa
ek dil hai ek hasrat ek ham hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paidaa karein
tamaam umr isi ranj mein tamaam hui
kabhi ye tum ne na puchaa tiri khushi kyaa hai
kisi maashuq kaa aashiq se khafaa ho jaanaa
ruuh kaa jism se goyaa hai judaa ho jaanaa
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDaa abhi tak ghar ki daulat ghar mein hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa