Shayari
miraa vajud jo patthar dikhaai detaa hai
tamaam umr ki shishagari kaa haasil hai
jahaan tak Dubne kaa Dar hai tum ko
chalo ham saath chalte hain vahaan tak
جہاں تک ڈوبنے کا ڈر ہے تم کو
چلو ہم ساتھ چلتے ہیں وہاں تک
जहाँ तक डूबने का डर है तुम को
चलो हम साथ चलते हैं वहाँ तक

miraa vajud jo patthar dikhaai detaa hai
tamaam umr ki shishagari kaa haasil hai
bahut nazdik the tasvir mein ham
magar vo faasla jo dikh rahaa thaa
be-maqsad mahfil se behtar tanhaai
be-matlab baaton se achchhi khaamoshi
bas ek dhun thi samundar ko paar karne ki
main jaantaa thaa samundar ke paar kuchh bhi na thaa
gaamzan hain ham musalsal ajnabi manzil ki samt
zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue
haadisa kaun saa huaa pahle
raat aai ki din Dhalaa pahle
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
kyaa kyaa dilon kaa khauf chhupaanaa paDaa hamein
khud Dar gae to sab ko Daraanaa paDaa hamein
din ke siine mein dhaDakte hue lamhon ki qasam
shab ki raftaar-e-subuk-gaam se ji Dartaa hai
Dar rahaa huun ki sar-e-shaam tiri aankhon mein
main ne jo vaqt guzaaraa hai koi dekh na le
paDhtaa hai baDe shauq se vo meri kitaabein
jis baat se Dartaa huun vahi baat na paDh le